Sunday 18 March 2012

Toota hai meray piyar ka bandhan to kia hua.

Toota hai meray piyar ka bandhan to kia hua

Barsa hai meri aankh se sawan to kia hua

Yun bhi to saari dunia se kat kr jiya hon main

Tu bhi hua hai ab mera dushman to kiya hua

Seeny me dard aankh mein aansu sjay to hain

Khali hai teray piyar se daman to kia hua,,

Mujhko yaqeen hai k mohabbat bhi aye gi,

Nafrat mai kat gya mera bachpan to kia hua,,

Mujhko b piyar onchi urrano se hai

Muqadr main nhe Koi nashiman to kia hua.

No comments:

Post a Comment