Sunday 30 October 2011

Koi aisa b to howa kry

Koi aisa b to howa kry,
Meri dharkanon ko suna kry,
Main yeh zindagi us pe war doon,
Jo khloos-e-dil se wafa kary,
Mere karb ko wo smjh sake,
Mere dard ki wo dawa kry,
Mujhe us k ishq pe naaz ho,
Wo talab me meri raha kry,
Meri LAAJ uska GHUROOR ho,
Meri aabroo ka difa kry,
Karhy mosamon k azaab me,
wo bahaar bn k mila kry,
Jo zubaan meri khamosh ho,
To jhank dil me lia kry,
Mera DUKH us ka b DARD ho,
Mere sath wo b jala kry...

"Koi aisa b to hwa kry"

Waqat Dost aur Rishty

Waqat Dost aur Rishty ye wo cheezen hain jo hamain muft milti hain,
magar inki keemat ka tb pata chalta hai jb ye kahin kho jati hain'

Tuesday 25 October 2011

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,

Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal Mera,

Chalo Kuch to Khayaal Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi.

Ye Bhe Mujh say Sawaal Kartay ho.

Marna Chaahain to Mar nahe Saktay,

Tum Bhe Jeenaa Muhaal Kartay ho..

ab Kis Kis Ki misaal Doon Tum Ko.

her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .

Monday 24 October 2011

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko.

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko.

Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko.

Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hay Chain Kabhi.

Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko.

Dukh To Yeh Hay K Zamanay Main Milay Ghair Sabhi.

Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko.

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko.

Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko.

Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi.

Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko.

Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha.

Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko.

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi.

Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko.

Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guzare Lamhay.

Yaad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko.

Sunday 16 October 2011

Sono Aesa nahi karte.

Sono Aesa nahi karte.

jis dil me rehte ho. ouse tora nahi karte

bina jis k na ji payen! ouse chora nahi karte.

SONO kuch der rok jao koi tadbir karlenge.

jo sare kohab dehken hen inhen tabir karlen ge.

bina Tere ye jivan Hum kaho kese bitayen ge.

kasam se Tot jaiyen ge.

SONO jab yaad aaou ge bohat kuhd ko rolaiyen ge.

Tumhe kese bholayen ge.

SONO jab dard hoga to Tarap kar Mar hi jaiyen ge !

TUM KO NA BOHL PAIYEN GE.

Saturday 15 October 2011

Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian Girana

Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian Girana

Jitni Ho Taab Mujh Mein utna Naqab Utthana

Tujhe chahne Se Pehly Kon Janta Tha mujh ko

Tere Ishaq Ne Bnai Meri Zindagi Fsana

Mujhy Ghamm Nahi Hai K Badal Geya Zmana

Meri Zindagi Tumhi Ho Kahin tum Badal Na Jana

Tu Jala Sake to Jala dy Tujhe Intzar Kia hai

Tere Pass Bijlian Hain Mere Pass Aashyana

Mere Sath Chalny Wali Teri Justaju K Sadqy

Bari Sakht Manzilen hain Kahin Thakk K Ruk na jana.

Thursday 13 October 2011

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum- e-tanhai ho.

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum- e-tanhai ho..

Baat itni b na brr jaye k ruswai ho.

Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy.

Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho.

Dobne wale to aankho se b kub nikle hain.

Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho.

Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta.

Chahta ye b nahi hon teri paspai ho.

Koi anjan na ho shehr-e- mohabat ka makeen.

KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho.

Yon guzar jata hai Mohsin Tere koche se wo.

Tera wakif na ho jese koi SODAI ho..!

Wednesday 12 October 2011

2 Chiryo Ki Love Story

1 Din Chira Bola: Mjhe Chor Kr Kbhi Tum Urh To Nhi Jaogi?
Chirya: Urh Jaun Tu Pakar Lena
Chira: Main Tmhy Pakr Skta Hn Magr Phr Pa Nhi Skta
Chirya Ki Aankho Mai Aansu Agaye,Usny Apny Pankh Tor Dye Or Boli:Ab Hm Hmesha Sath Rahngy.
1 Din B0ht Zor Sy Tofan Aya,Chira Urhny Laga Tbhi Chirya Boli: Tm Urh Jao,Main Nhi Urh Sakti. Chira Apna Khyal Rkhna Kh Kr Urh Gaya Jb Tofan Thama Or Chira Waps Aya Tu Usny Dekha K Chirya Mar Chuki Thi Or Ek Daali Per Likha Tha Kash Wo 1 Bar Tu Kehta K Main Tmhy Nhi Chor Skta To Shayd Main Tofan Any Sy Pehly Nhi Marti...

Thursday 6 October 2011

Asar dil per karay shikwa, shikayat ho to aisi ho.!

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi Mehsus ho jaisay kai sadiyan guzari hain.

faqat ek pal ki furqat mein, Aziat ho to aisi ho..!!

Mujhe kanta chubhay aur us ki Aankhon se lahu tapke,

Talluq ho to aisa ho, MUHABAT ho to aisi ho.

Wednesday 5 October 2011

Na Wo Din Rahe, Na Wo Mehflen,

Na Wo Din Rahe,
Na Wo Mehflen,
Na Wo Jaan Se Azeez Log...!

Waqt Cheen K Le Gaya Mujh Se Mere Apne Kahan Kahan...!

Monday 3 October 2011

Tu hi haqeeqat khwaab Tu. Dariya Tu hi pyaas Tu.

Tu hi haqeeqat khwaab Tu.
Dariya Tu hi pyaas Tu.
Tu hi dil ki bekarari. Tu sukoon Tu sukoon.
Jaoon Main ab jab jis jagah.
Paoon Main Tujh ko uss jagah.

Saath ho k na ho.
Tu hai Rubaroo Tu hai Rubaroo.

Humsafar Tu Humkadam Tu Humnawah Mera Tu..
Humnawah Mera Aa Tujhe in baahon mein bhar k Aur bhi kar loon main kareeb.

Tu juda ho to lage hai Aata jaata har pal ajeeb.

Iss jahaan mein hai aur na hoga Mujhsa koi bhi khush Naseeb.

Tune Mujhko dil diya hai Main hoon Tere sabse kareeb.

Main hi Tere dil mein hoon.
Main hi Saanson mein basoon.

Tere dil ki dhadkanon me Main hi hoon.
Main hi hoon.

Kab bhala ab ye waqt guzre Kuch pata chalta hi nahi.

Jabse Mujhko Tu Mila hai Hosh kuch bhi apna nahi.

Uff ye Teri palken ghani si Chaanv inki hai dilnasheen.

Ab kise dar dhoop ka hai Kyun ki hain ye Mujh pe bicchi.

Tere bina na saans loon.
Tere bina na Main jiyun.
Tere bina na ek pal bhi Reh sakoon.

Tu hi haqeeqat khwaab Tu.
Dariya Tu hi pyaas Tu.

Sunday 2 October 2011

Judai Sy Marra wo b Nahi Mein b Nahi.

Judai Sy Marra
wo b Nahi Mein b Nahi.

"Dono Insan hain
KHUDA wo b Nahi Mein b Nahi.

wo Mujhe, Aur Mein ossay Ilzam daitay hein Magar,

Apne Åndar Jhankta wo b Nahi Mein b Nahi.

ZÅManey Ny Kar dia dono Mein Paida Ikhtlaaf,

Warna Fitrat Ka ßura wo b Nahi Mein b Nahi.

Mukhtalif SiMto Mein dono Ka SÅfar Jari Raha,

Ek LaMhey Ko Ruka wo b Nahi Mein b Nahi.

"Chahtey dono ßohat hain Ek dosray ko Mgar,

Yeh Haqiqat Manta wo b Nahi Mein b Nahi..

Saturday 1 October 2011

Chalo phir dhoond laayen hum, usi masoom bachpan ko,

Chalo phir dhoond laayen hum,
usi masoom bachpan ko,

Unhi masoom khushion ko,

Unhi rangeen lamhon ko,

Jahan gham ka pata na tha,

Jahn dukh ki samajh na thi,

Jahan bs muskurahat thi,
Baharen hi baharen theen,

Chalo phr dhoond layen hum,
Usi masoom bachpan ko,

K jb saawan barasta tha,
To us kaaghaz ki kashti ko,
Banana aur dubo dena,
Boht acha sa lgta tha,

Aur is duniya ka hr chehra,
Boht sacha sa lgta tha,

Chalo phir dhoond layen hm,
usi masoom bchpan ko..