tu baray piyar say chao say baray man kay sath
apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko
aur betaby say furqat kay khiza lamhon main
tu kisi soch main doby jo ghumaty mujh ko
main teray hath ki khushbu say mehak sa jata
jab kabhi mood main akar mujhay chuma karti
teray honton ki main hiddat say dehak sa jata
rAat ko jab bhi tu nindo kay safar pay jati.
marmarin hath ka eik takiya banaya karti
main teray kan say lag kar kai batain karta
teri zulfon ko teray gal ko chumaa karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri roh kay gulshan main mehakta rehta
main teray jism kay angan main khanakta rehta
kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota
kash main teray hansee hath ka kangan hota
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete