Friday 30 March 2012

Udaas shamon ki siskyon main, Kbhi jo meri awaz sun'na.

Udaas shamon ki siskyon main,
Kbhi jo meri awaz sun'na...

To beety lamhon ko yad kr k,
Unhi fizaon main lot ana...

Tum aya karte thy khawab ban kar,
Kbhi mehkty gulab ban kar...

Main khushk honton se jab pukaroon,
Unhi adaon main lot ana...

Meri wafaoon ka pass rkhna,
Meri duaon ka pass rkhna...

Main khali hathon ko jab uthaon,
Meri duaon main lot ana...

No comments:

Post a Comment