Saturday 31 March 2012

Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna.

Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna.

Dikhai Kuch Nahi Deta.. Sunai Kuch Nahi Deta.

Faqat Kuch Kap-Kapatey Lafz..
Jo Hoonton Per Theher Jayen..

Ubharti Doobti Dharkan... Usey Aawaaz Deti Hai.

Koi Apna K Jis Ka Naam Apne Dil Pe Likha Ho.

Jis K Wastey Dil Se Duaein Hi Nikalti Hoon.

Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna.

Jisey Dil Mein Basaya Ho.
Barey Hi Maan Se Jiss Ko Kabhi Apna Banaya Ho.

Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna.

5 comments:

  1. wah bht khoob aur haqeeqat se kareeb tar alfaz

    ReplyDelete
  2. Neya -ik rabt kyun paida karen hum
    Bicharna hai to jhagrra kyun karen hum

    Khamoshi se ada ho rasam-e-doori
    Koi hungama barpaa kyun karen hum

    Ye kafi hai ke hum dushman nahi hain
    Wafadari ka daava kyun karen hum

    Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabat
    Ab in lafzon ka peecha kyun karen hum

    Hamari hi tamanna kyun karo tum
    Tumhari hi tamanna kyun karen hum

    Kiya tha ehad jab lamhon main hum ne
    To sari umar iifa kyun karen hum

    Naheen duniya ko jab parwah hamari
    To phir duniya ki parwah kyun karen hum

    Ye bassti hai musalmano ki bassti
    Yahan kaar-e-maseeha kyun karen hum

    Ye kafi hai ke hum dushman nahi hain
    Wafadari ka daava kyun karen hum

    ReplyDelete