Saturday, 31 March 2012

Qurb K Na Wafa K Hote Hain. Saray Jhagray Ana K Hote Hain.

Qurb K Na Wafa K Hote Hain.
Saray Jhagray Ana K Hote Hain.

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna.
Waqt Saray Dua K Hote Hain.

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna.
Log Putlay Khata K Hote Hain.

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte.
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain.

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz.
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain.

3 comments:

  1. Dil giraftaa hi sahii bazm sajaali jaye
    Yaad E janaN se koi shaam na khaali jaye
    Rafta-rafta yahi zandaaN mein badal jate hain
    Ab kisi shahr ki buniyaad na daali jaye
    Mushaf E rukh hai kisi ka K beyaaz E Hafiz
    Aise chehre se kabhi faal nikaali jaye
    Wo murawwat se mila hai to jhukadun gardan
    Mere dushman ka koi waar na khaali jaaye
    Be-nawaa shahr ka saaya hai mere dil pe ‘Faraz’
    Kis tarah se meri aashufta khyaali jaye
    (Ahmad Faraz)

    ReplyDelete