Tuesday 31 January 2012

Naya ek Rishta paida kyun karein Hum.

Naya ek Rishta paida kyun karein Hum.



Bicharna hai to jhagra kyon karain Hum.



Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri.



Koi hungama barpa kyon karain Hum.



Ye kafi hai k Hum dushman nahi hain.



Wafa-Dari ka da'awa kyon karain Hum.



Wafa, ikhlaas, qurbani, Mohabbat.



Ab in lafzon ka peecha kyon karain Hum.

Sunday 29 January 2012

Ye Mosam Sard Hawaon Ka Kyun laut k phir se aaya hai

Ye Mosam Sard Hawaon Ka
Kyun laut k phir se aaya hai

Mujhko kar k tanha sa
Be-tabi saath main laya hai

Yakh basta lambi raaton main
Sub un-kahi si baaton main

Meri ankhon main meri sanson main
Ek aks azal se chhaya hai

Ye mosam sard hawaon ka...
Q laut k phir se aya hai

Hr mehfil main tanhai main
Kbhi yaadon ki gehrai main

Hr saye main perchai main
Maine sath he usko paya hai

Ye mosam sard hawaon ka
Q laut k phir se aya hai....!

Karo Phir Sy Koi Wada, Kbhi Na Phir Bicharny Ka,

Karo Phir Sy Koi Wada, Kbhi Na Phir Bicharny Ka,

Tumhein Kya Fark Parta Hai, Bicharny Mein, Mukarny Mein.

Meri khamoshion ka raaz mujhe khud nahi Pata"

Meri khamoshion ka raaz mujhe khud nahi Pata"

"FARAZ"

Jane kiyon log mujhe maghroor
smjhte hain",

Mil Hi Jayga Hum Ko B koi na koi toot k chahne wala...

Mil Hi Jayga Hum Ko B koi na koi toot k chahne wala...

>>Rida<<

"ab Pure Shhar Ka Shehar To Bewafaa Nhi Hota...

Jab sare-e-sham us nay zulfon ko sanwara hoga

Jab sare-e-sham us nay zulfon ko sanwara hoga

Hath main kangan ankh main
kajal awara hoga

Us k jooray main sja wo sufaid gulaab

Raat ko sotay main kisi nay to utara hoga

Aalam-e-Tanhaey main shab bhar karwatain lekar

Koi to hoga jisay us-nay
pukara hoga

Haey ! wo neend me doobi hue makhmoor ankhain

Jisnay dekha wo dill waheen pe hara hoga

Us k betaab larztay huey
honton pe
"Wasi"

Humain yaqeen hai machalta
huwa wo naam hamara hoga

Jb b dekho meri ankhoun ko to apni nigahaein tham k dekhna

Jb b dekho meri ankhoun ko to apni nigahaein tham k dekhna

*"GHALIB"*

kaheen aesa na ho k tmy meri drd bhri ankhoun sa muhabbt ho jaye.

Mujh Say Itnay “Qareeb” ho Jao.

Mujh Say Itnay "Qareeb" ho Jao.



Udaas Shab Ki "Saleeb" ho Jao.



Meri Baanhon Ko Sonp Do Sab Kuch.



Meri Khatir "Ghareeb" Ho Jao.



Mujh Mein Utro Meray Lahu Ki Tarhan.



Meri Rooh Kay "Raqeeb" Ho Jao.



Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye.



Aao Meray "Tabeeb" Ho Jao.



Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch.



Aaj Aisay "Khateeb" Ho Jao.

Friday 27 January 2012

Aaj to Aa Jao Zabt k Sare Bandhan Torr kar,

Aaj to Aa Jao Zabt k Sare Bandhan Torr kar,



Aaj Phr Arooj par hy, January ki Sard Shaam….

Thursday 26 January 2012

Itna toota hoon kay chooney sey bikhar jaon ga.

Itna toota hoon kay chooney sey bikhar jaon ga.

Ab agar aur Dua do gey to mar jaon ga.

Pooch kar mera pata, waqt rayega na karo.

Main tu banjara hoon, kya janay kidhar jaonga.

Har taraf dhunnd hai, jugnu hai na chiraag koi.

Kon pehchane ga, basti main agar jaon ga.

Zindagi Main bhi musafir hoon teri kashti ka.

Tu jahan mujhse kahegi,utar jaon ga.

Phool reh jayenge guldaan mein yaadoon k.

Main tu khushboo hoon, fizaon main bikhar jaon ga.

Wednesday 25 January 2012

Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko.

Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko.

Mohabat Agr Krty Ho To Chura Lo Mjh Ko.

Khony Ka Agr Khaof Hy To Dil Ki Hr Dharkan Me Basa Lo Mjh Ko.

Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalain Gy.

Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo Mjh Ko.

Tere Dukh Ko Seh Lain Gy Hans Kr.

Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mjh Ko.

Sahil Se Pehle Chor To Na Do Gy.

Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mjh Ko.

Zindgi B Tere Nam Kr Dain Gy.

Apny Bazoan Mein Chupa Lo Mjh Ko.

Tuesday 24 January 2012

Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan.

Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan.



Itna dil kash hai ke apnanay ko ji chahta hai.



surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab.



jisay pe kar bhahak janay ko ji chahta hai.



naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan.



jin ki lahroon mein utar janay ko ji chahta hai.



Tum se kya rishta hai, kab se hai, yeh maloom nahin,



Lekin is hussn pe mar janey ko jee chahta hai,



Rakh ley kal ke liye yeh doosri pazeb dil,.



Kal is bazzm mein phir aney ko jee chahta hai,



Be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri,



Jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai,



Kab se khamosh ho aye jane jahan kuch to bolo,



Kya abhi bhi sitam aur dhaney ko jee chahta hai,



Chorr kar tum ko kahan chain miley ga hum ko,



Yahin jeeney yahin mar janey ko jee chahta hai,



Apne hathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,



Dekh ker dekhte reh jane ko jee chahta hai,



Noor hi noor jhalakta hai haseen chehre se,



Bas yahin sajde mein gir janey ko jee chahta hai,



Mere daman ko koi aur na chuu paye ga,.



Tum ko chuu kar kasam yeh khaney ko jee chahta hai,



Chand chehra hai tera aur nazar hai bijli,



Aik ik jalwe pe mar janey ko jee chahta hai,



Chand ki hasti hi kya samne jab suraj ho,



Aap ke kadmon mein mitt janey ko jee chahta hai…

Monday 23 January 2012

Raat bhar girtey rahey un k daman pe mere ansou

Raat bhar girtey rahey un k daman pe mere ansou

.........

Subah hotey he woh bolay k raat shabnam bohat thi.

Shaayed uss ne mujh ko tanha dekh liya hai.

Shaayed uss ne mujh ko tanha dekh liya hai.

Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai.

Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main.

Aayine mein kiska chehra dekh liya hai..

Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska.

Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai.

Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha.

Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai.

Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha.

Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai.

Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they.

Band aankhon se usko jata dekh liya hai.

Sunday 22 January 2012

Dekh lena k kisi dukh ki kahani to nahi,

Dekh lena k kisi dukh ki kahani to nahi,

Yeh jo aansuu hain kahin us ki nishani to nahin,

Dikh rahi hai jo mujhe saaf teri aankhon mein,

Tu ne yeh baat kahin mujhse chupaani to nahin,

Jis tarah sheher se nikla hoon mein beemar tera,..

Yeh ujarrna hai koi nakal- makaani to nahin,.

Yeh jo har morr pe aa milti hai mujhse farhat,

Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahin.

Uss ko Chaha To Mohbbat Ki Samajh Aai,

Uss ko Chaha To Mohbbat Ki Samajh Aai,

Warna Iss lafz Ki Sirf Tareef Suna Kartay thay..

Saturday 21 January 2012

Apni nazron sy jo gir jaye wo chehra na bana,

Apni nazron sy jo gir jaye wo chehra na bana,

Mujh ko Lamha-e-fursat ka khilona na bana,

Sainkron raaste hain ajnabi ho jaane k,

Tark krna hai taluq to bahana na bana,

Jhoot ehsas ki qandeel ko bujha dEta hay,

Mujh ko insan samajh khud ko farishta na bana,

Apni yaadain to mere dil mai basi rehne de,

Iss mehakte huye gulzar ko sehra na bana,

Thak gai hain mere ehsas ki Aankhain
"Mehroz"

Naqsh-e-Deewar pr ab koi fasana na bana...

Ehsas Badal Jaty Hain Bus or Kuch Nhi..!

Ehsas Badal Jaty Hain Bus or Kuch Nhi..!

Warna Mohabbat or Nafrat Aik Hi Dil Sy Hoti Hy.

Friday 20 January 2012

Faslaa gar barhay to bataya karey.

Faslaa gar barhay to bataya karey.

Koi to raasta phir dikhaya karey.

Reet per jab mera naam likha karo.

Phr lehar se kaho na mitaya karey.

Aaj tak wo mehak saans may hai basi.

Phool baalon may woh na sajaya karey.

kiyun hawain jhagarti rehien baam se.

baat sachi humain wo bataya karey.

neend se rooz hoti larrai hai ab.

ab meray khuwab may wo na aaya karey.

hai andehron se pur raastay ye kathin.

kehkashan koi to yahan sajaya karey.

pathron se kabhi dil lagatey hain kia.

pathron se kabhi dil lagatey hain kia.

aag sey haath apney jalatey hain kia.

raat ne phir kiya hai gila chand sey.

husn apna bhala yun dikhatey hain kia.

aayiney gar kabhi toot kar jo girain.

aks ko kirchyun may sajatey haiN kia.

dar khula chhor kar tum chaley aaye ho.

inteezar-e-qaza yun jagatey haiN kia.

jab milo shaam sey to ye kehna usay.

aas ke kuch diye yun bujhatey haiN kia.

Thursday 19 January 2012

Tumhain dekha nahi jana nahi phir bhi ye lagta hai.

Tumhain dekha nahi jana nahi phir bhi ye lagta hai.
QABILA aik hai apna

Wohi dard-e-judai, wohi bhegi hoi palkain. NASEEBA aik hai apna

Kisi se kuch nahi kahna, koi shikwa nahi karna. QAREENA aik hai apna

Kisi ki yaad se, verana dil jagmaga lena. KHAZEENA aik hai apna

Yaqeen ki akhri haad tak, milan ki khush gumani hai.
NATEEJA aik hai apna

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain...

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain...

Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain.

Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan.

Haseen Log Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain.

Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise.

K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain.

Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka.

Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain.

Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan...

Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi.

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi.

Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi.

Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi.

Kya bataon ke tere ishq mein rahat kya thi.

Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hai.

Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi.

Aik muddat huwi Izhar-e- Mohabat kar k.

Aaj tak soch rahi hun k himaqat kya thi.

Kya bataon k yahan pooch rahe hain sab log..

Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi.

Wednesday 18 January 2012

Ishq k ilaqay mein Hukm-e-yar chalta hai. Zaabtay nahi chaltay.

Ishq k ilaqay mein Hukm-e-yar chalta hai.
Zaabtay nahi chaltay.

Husn ki adalat mein aajzi toe chalti hei
Mertabay nahi chaltay.
Dosti k Rishton ki Perwerish Zroori hai.

Silsley ta'aluq k khud say bun toe jatay hein Lekin in shagoofon ko Tootnay bikhernay say Rokna bhee perrta hei.

Chahaton ki matti ko Aarzu k poday ko seenchna bhi parta hai.

ranjishon ki baaton ko bhoolna bhee parta hai
"kyoon k"
ishq k ilaqay main hukm-e-yaar chalta hai zaabtay nahi chaltay!!

Labon Pay Aa Gayi Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar.

Labon Pay Aa Gayi Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar.

Khabar Ye Phaili Shehar Main K Zubaan Daraaz Hain Hum.

Phool khil Jaein To Us Shakhs Se kam kam Milna

Phool khil Jaein To Us Shakhs Se kam kam Milna

"Mohsin"

Aksar December Mein Mohabbat Pe zawaal Aata Hai

Tuesday 17 January 2012

"SANSON" se mil ker "SANSEIN" chalein teri kahin per bhi,,

"SANSON" se mil ker "SANSEIN" chalein teri kahin per bhi,,

Terey "SANS" ki khushboo ab bhi mujh me rehti hai.....

Tu "BHOOL" Gia hoga muj ko main kon thi,,

Per teri "YAAD" Sanam ab bhi mujh me rehti hai.

Jo "HUM" ne "TUM" ne mil ker bitae they "LAMHEY"

Un "LAMHON" ki "MEHEK" ab bhi mujh me rehti hai.

Terey "KADMON" k nishan pe ab bhi roz chalti hon,

Guzrey "RASTEY" ki dhool ab bhi mujh me rehti hai.

Labon se Lab milney ki chah ab bhi yad ho ge tujhe,

Terey Labon ki chahat ab bhi mujh me rehti hai.

"DHOOAN" sa phel gea her simt terey janey k baad,

Terey chorney ki "KASAK" ab bhi mujh me rehti hai.

Jo milney ka hota "IMKA'AN" hum bula lete tujh ko,

Tuj se milne ki "CHAH" ab bhi mujh me rehti hai.

Daikhti rehti hon aty jaty tere "GHER" ke Raah,

Mazi ki wo "DAASTAN" ab bhi mujh me rehti hai.

Socha tha k kisi say payar na karen gay,

Socha tha k kisi say payar na karen gay,

Badal gya irada tujhy dakhny k bad.

Chain say so jata tha mein in sohani ratoon me,

Nendain urh gain meri tujhy dakhnny k bad.

Bahot naaz tha Chand ko apni chandni per,

Chup gya badlon me wo b tujhy dakhny k bad.

Bri fursat sy banaya ho ga KHUDA ne tuj ko,

uth rahy hen sawal tujhy dakhny k bad.

Apny chehry ko chupa k rukho KHUDA k wasty.

Dil ho jata ha be-qabu tujhy dakhny k bad.

Tum jao Hum se door to Ek Kaam kar jana

"Tum jao Hum se door to Ek Kaam kar jana"



"Kuch pal Apne Humare Naam kar jana"



"Agar Aajaye Mout Humain Tere Aanay se pehle"



"To Aa kar Mere Janaze ka Ehteram kar jana"



"Na Rona Isqadar k Takleef ho Humain"



"Mout ko b Mazak Samajh kar Anjaan ban jana"



"May Ek Din So jaon sada k liye"



"Phir Mujhe bewafa keh kr Badnaam kar jana"



"Jo Guzro Meri Qabar se to Nazrain na Phairna"



"Mehman he ban k Dua Salam kar jana.

Wo pyar ka saboot deya krta tha.

Wo pyar ka saboot deya krta tha.

Ansu baha baha kar humen mananya krta tha.

Ye zindagi sirf tum se wabusta hai.

Aksar ye bAat humen btaya karta tha.

Uski batoon main kuch aesa assar tha.

Mein barish ke bina hi bheeg jaya krta tha.

Sony ki fursat thi kisy. Wo humen sari rat jagaya krta tha.

bechani jb had se barh jati thi.

Wo jee bhar ke gale lgaya krta tha.

"Wo itni "Mohabbat" krny wala badal gya.

jo har baat per "Meri qasam khaya krta tha.

Usse kehna uski yaad main be- had azziyat hai..

Usse kehna uski yaad main be- had azziyat hai..

ya to apna naqsh dho jaye, ya phir mera he ho jaye.

Monday 16 January 2012

Door Tak Us K Na Aasaar Nazar Aaye Mujhe.

Door Tak Us K Na Aasaar Nazar Aaye Mujhe.

Door Tak Apna Wahi Waqt Suhana Dhoonda.

Main Ne Har Baar Mulaaqat Ka Socha hai Magar.

To Nay Har Baar Na Milnay Ka Bahana Dhoonda.

Jis K Kirdar Sabhi Apnay Nazar Aaye Mujhe.

Main Ne Ik Aisa Kitaboon Men Fasaana Dhonda.

Shehar Dar Shehar Phiraya Hai Muqadar Nay Mujhe.

Basti Basti Men Mohabbat Ka Khazaana Dhonda.

Saturday 14 January 2012

Rukhsat hua to baat meri maan kr gya,

Rukhsat hua to baat meri maan kr gya,


apne tamaam dard maray nam kr gaya,


bichra khuch es ada se k rut he badal gai,


ik shakhs saray shehar ko viran kr gaya,


dilchasp waqia hay k kal ik aziz dost,


Apnay mafaad par mujay qurban kar gaya,


kitni sudhr gai hai judai mai zindagi,


han wo jafa se mujh pe ahsaan kr gia,


Wo jo baat baat pa kehta tha mujh ko, "JAAN"


Wo shaks mujay aakhir "BeJAAN"
Kar gaya.

Sitara Hamari Qismat Ka us se Mila He Nhi,

Sitara Hamari Qismat Ka us se Mila He Nhi,

Wo Kaise Hota Hamara,
Aisa Kbhe Howa He Nhi,

Hum Ne Apni Hr Khushi Dusron mein Baant Di,

Kisi Ne Humhe Kia Diya,
Ye Kbhe Socha He Nhi,

Baaton Baaton men Mohabat Is Qadar Barh Gai,

Use Ab Bhool Jaen Kaise,
Itna Hosla He Nhi,

Yaad aaon to bus itni si anayat krna,

Yaad aaon to bus itni si anayat krna,

Apny badly huay lehjay ki wazahat krna.

Tum to chahat ka shah'kaar hua krty thay.

Kis se seekha hy ye ulfat mein milawat krna.

Hum sazaon k haq'daar baney hn kb se?

Tum hi keh do k jurm hy kia mohabat krna?

Teri furqat mein ye aankhain abhi tk namm hn.

Kbhi aana, meray ashkon ki ziyarat krna.

Dil mein ab bhi mohabat k diay hn roshan.

Daikh, bhooly nahi teri hasti ki sajawat krna.

Itny phool khilay is dil mein,

Itny phool khilay is dil mein, hum ghar ko sajana bhool gay,

Wo mehfil mein kya aye, hum shamaa jalana bhool gay,

1 tum hi to ho duniya mein, jis sy mujhy umeedein hain,

Kya guzry gi is dil py, agar tum pyar nibhana bhool gay..

Nigahon ky Smandr ka Thikana Chahty hain Hum

Nigahon ky Smandr ka Thikana Chahty hain Hum

Hamen Tum sy Mohabat hai Btana Chahty hain Hum,

Humen achi nhi Lgti Kisi Mosum ki Shadabi,

Tumhein Bs Apni Sansoon mein Bsana Chahty hain Hum,

Hmara Ghar to Roshan hai Hmary Nam sy lakin,

Tumary Nam sy Jevan Sjana Chahty hn Hum,

Humen her Haal mein Tum sy Aqidt or mohabt hai,

Tumary Pas Aany ka Bahana Chahty hn Hum.

Thursday 5 January 2012

Ae Nae SaaL bata tujh me naya kia hai.?

Ae Nae SaaL
bata tujh me naya kia hai.?
AHar Taraf khalq
ne Q shor mcha rakha hai.?

Roshni din
ki wohi
Taron bhari raat wohi.
Aaj B hum
ko nazar aati hy
har baat wohi.

Aasman badla
hai.
na badli ye afsurda zameen.

Ek hindse
ka badalna koi jiddat to nahi.

Pechly barson
ki tarha hon ge qarine tere.

Kisy malom nahi 12 mahiny tere.

Be-sabab
dete hen Q log mubarak baden.

Sub kya bhol gaye waqat ki karwi yaden

Tu naya hy
to dikha subha nai
sham nai.

Warna in
Ankhon ne dekhy hain nae SaaL kai.

Wednesday 4 January 2012

Bohat khamosh reh kar jo sadain mujh ko deta tha,

Bohat khamosh reh kar jo sadain mujh ko deta tha,

Baray sundar se jazbon ki wafain mujh ko deta tha,

Kabhi jo dard ki aatish sulgane mujh ko lagti thi,

Wo apni saans ki mehekti hawain mujh ko deta tha,

Usy mai ajnabi smjha magar her mor per wo,

Apne naam ki saari duain mujh ko deta tha.

Kabi jazbon kabi khawabon ki tijarat kr k.

Kabi jazbon kabi khawabon ki tijarat kr k.

Dil ne dukh dard kamaye hain muhabbat kr k.

Tum jb aao gy to mehfooz milain gy tum ko.

Hum ne dafnay hain kuch khawab amanat kr k.

Ik zAra si bhul hui aur usy kho baithy.

Hum ne paya tha jissy barson ibadat kr k.

Jab log hi jazbon ki toqeer nahi karty.

Jab log hi jazbon ki toqeer nahi karty.

Hum koi be dukh apna tehreer nahi karty.

Lehje ka ye rokha pan dil tor k rakhta hy.

Karti hy zuban wo kuch jo teer nahi karty.

Likhty hain wohi kuch jo es dil pe guzarti hy.

Per u kahani hum tehreer nahi karty.

Pachtawa agar ho to be-fikar chaly aana.

Hum raat ko darwaza zanjir nahi karty.

Do gaz hi zameen sab ka jab akhri makan hy.

Hum koi makan apna tamir nahi karty.

Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai.

Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai.

aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai.

jis ne mere jazbon ki sadaqat ko na jaana.

ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai.

is dil ke kharabe se guzar kis ka hoa hai.

aankhein bhi wohi hont bhi lehja bhi wohi hai.

jo kuch bhi kaha tha meri tanhayi ne tujh se.

is shehar ki deewar pe likha bhi wohi hai.

woh jis ne diye mujh ko muhabbat ke khazane.

badal ki tarah aankh se barsa bhi wohi hai.

Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chund Lafzon Ko Likhta Hoon.

Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chund Lafzon Ko Likhta Hoon.

Jo Batein Dil pe Lagti Hain Unhi Baton Ko Likhta Hoon.

Mein Shayir Hoon Meri Veeraniyan Jab Hadd Se Barhti Hain.

Ussi Lamhe Dhunwan Uthta Hai Aur Aahon Ko Likhta Hoon.

Mein Lafzon Ko Nahi Ehsas Ko Tehreer Karta Hoon.

Na Ghazlon Ko Na Nazmon Ko Faqat jazbon Ko Likhta Hoon.

Kabhi Tanha Jo Hota Hoon Takhayyul Mein Bhi Rehta Hoon.

Purane Dard Ke Lamhe Nayi Sochon Ko Likhta Hoon.

Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Shab Bhar Jaagta Hoon.

Mein Jo Dilse Munsalik Rehti Hain Unn Yaadon Ko Likhta Hoon.

Lahoo Dilse Nikalta Hai Kaleja Moonh Ko Aata Hai.

Kisi Ko Kya Khabar Jab Bhi Kabhi Ghazlon Ko Likhta Hoon.

Yun dost saarey apney apney rastey badal gaye..

Yun dost saarey apney apney rastey badal gaye..

kuch peechey ruk gaye to kuch aagey nikal gaye.

haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui.

jitney wafaa ke peikar they saarey pighal gaye.

waadon ke taarey raaton sey baahar na jaa sakey.

iraadon k din nikalney sey pehley hi dhal gaye.

wafaaon ke rang shabnam ke qatron ney dho deeye.

Mohabbat ke phool jazbon ki shiddat sey jal gaye.

taanon ke teer dunya ki kamaanon pe jab charrhey.

sabar ke daaman haathon sey yakdam phical gaye.

aankhein khulein to khaabon ko bura laga magar.

kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaye.

pehley pehal to ajeeb lagey badley huwe chehrey.

phir yun huwa ke waqt ke saath "Hum" bhi sambhal gaye.

Aarzoo hai teri qurbat main yonhi dhal jaye,

Aarzoo hai teri qurbat main yonhi dhal jaye,

Dil main jo khof-e-judai hai wo nikal jaye,

Aik tufaan jo barpa hai mere seene main,

Tere ehsaas se shayed ye bala tal jaye,

Dil se kia bat karoon ye meri nahi sunta,

Tum zara piyar se kaho isay behal jaye,

Ye jo mosam hai udaasi ka meri shaamon main,

Tum jo chaho to aik Pal main ye badal jaye,

Mere jazbon pe ek barf si jami hai "Mohsin",

Dhoop chahat ki do mujhe k ye pighal jaye.

Wo Shaks Raat Phir Meri Hansti Pe Chaa Gaya.

Wo Shaks Raat Phir Meri Hansti Pe Chaa Gaya.

Itna Kareeb Aya K Dil Main Sama Gaya.

Wo Aik Pal Jo Degaya Asoodgi Ki Lehar.

jazbon Ki Taza Dhoop Main Pagal Bana Gaya.

Phele Mere Wajud Main Utra Wo Bond Bond.

Barsa To Pir Ghata Ki Trhan Mujh Pe Chahgaya.

Wo Jab Mila To Piyas Se Lab Khushk The Bohat.

Lauta To Hasraton Ko Wo Pani Pila Gaya.

Paband Kar Gaya mujhe Lamhon Ki Qaid Main.

Ankhon Pe Apni Yaad K Pehra Bitha Gya.

Patta Patta Gul-o-Gulzar Gawahi Deingay,

Patta Patta Gul-o-Gulzar Gawahi Deingay,

Meri Galiyan Mere Bazar Gwahi Deingay,

Kitnay Tarpay Hain Uski Muhabbat Mein Hum,

Mere Ghar K Dar-o-Diwar Gwahi Deingay,

Mere jazbon Meri Sochon Pe Musslat hai Woh,

Meri Nazmein Mere Ashar Gwahi Deingay,

Duniyan Mein Sirf Us Se Muhabbat Ki Hai,

Is Pe So Bar Mere Yaar Gwahi Deingay,

Usay Panay Ki Jahan Maine Dua'ein Mangi,

Woh Masjidein Woh Darbar Gwahi Deingay...

HUM HI MUMKIN HAIN TERAY NAAZ UTHANAY LAG JAIN.

HUM HI MUMKIN HAIN TERAY NAAZ UTHANAY LAG JAIN.

PEHLAY YE ZAKHEM PURANAY TO THEKANAY LAG JAIN.

TERAY AWARA CHALO HUM HI RAHAIN GAY LAKIN.

YE NA HO TUJH KO BHULANAY MAIN ZAMANAY LAG JAIN.

ROK LO APNAY SULAGHTAY HOYE jazbon K SHARAR.

IS SE PEHLAY K KOI HASHER UTHANAY LAG JAIN.

REZA REZA JINHAY SINAY MAIN BAHEM RAKHTA HOON.

WOHI CHUPKAY SE MERI KHAK URANAY LAG JAIN MERI JAAN.

ROKTAY ROKTAY BHI ANKH CHALAK UTHTI HAI.

KIA KARAIN AGAR DIL KO ROG PURANAY LAG JAIN.

TUM NAY BANDHA HAI JINHAIN PYAR KI NAZAR SAY KHALID.

WOHI DARYA NA KAHIN AAG LAGANAY LAG JAIN

Jo Hum mehsos karty hen.

Jo Hum mehsos karty hen.

Agar Tum tak pohanch jaye.

To bas itna samajh lena.

Ye unn jazbon ki khusbo hai.

Jinhen hum keh nai sakty.

Magar tum jo ijazat do.

To chund lfzon me keh dalen.

K "TUM BIN G NAHI SAKTY"
K "TUM BIN MAR NAHI SAKTY"

Mujhe Likhna Agar Aata. To Likhta Teri Aankhon Per,

Mujhe Likhna Agar Aata.
To Likhta Teri Aankhon Per,

Teri Aankhon Ki PaLkon Per,

Teri Aankhon Ki Shokhi Per,

Tere Honton Ki Jambish Per,

K Jab Tum Baat Karti Ho,

To Goya PhooL Jharte Hain,

Teri Lehrati Zulfon Per,
K Jab Tum Apne Baalon Mai,

Koi Gajra Sajati Ho, Fizaein Gungunati Hain,

Main Apne DiL K jazbon Ko, Tumhare Naam Karta Hon,

Mujhe Likhna Agar Aata. To Likhta Teri Aankhon Per,

Magar Main Kya Karon "JANA".
Mujhe Likhna Nahi Aata.!