Friday 3 February 2012

Mujhe arzoo e sehar rahi Yuhi raat bhar bari dair tak.

Mujhe arzoo e sehar rahi Yuhi raat bhar bari dair tak.



Na bikhar saka na simat saka Yuhi raat bhar bari dair tak.



Tha bohat azab aur akale Hum Shab e gham bhi meri tweel ter.



Rahi zindagi bhi sraab aur Rahi ankh tar bari dair tak.



Yahan her taraf hai ajab samah Sabhi khud pasand sabhi khud numa.



Dil e beqarar ko na mil saka Kohi chara gar bari dair tak.



Mujhe zindagi hai aziz tar Issi waste Mere Hamsafar.



Mujhe qatra qatra pila zahar Jo kare asar bari dair tak….

No comments:

Post a Comment