Teri Yaadon Kaa Wo Aalaam Nahin Hai,
Magar Dil Ki Udaasi Kam Nahin Hai.
Hamen Bhi Yaad Hai Wo Marg- E-Tamannaa,
Magar Ab Fursat-E-Maatam Nahin Hai,
Hawaa-E-Qarb-E-Manzil Kaa Buraa Ho,
Firaaq-E-Hamsafar Kaa Gham Nahin Hai,
Junoon-E-Paarsaai Bhi To Naaseh,
Meri Deewaangi Se Kam Nahin Hai.
Ye Kyaa Gulshan Hai, Jis Gulshan Mein Logon,
Bahaaron Kaa Koi Mausam Nahin Hai,
Qayaamat Hai Ke Har Mai- Khwaar Pyaasaa,
Magar Koi Harif-E-Jam Nahin Hai,
Salibon Pe Khinche Jaate Hain Lekin,
Kisi Ke Haath Mein Parcham Nahin Hai,
"Faraz" Is Qaht-Zaar-E-Raushni Mein,
Chiraaghon Ka Dhooaan Bhi Kam Nahin Hai.
No comments:
Post a Comment