Tujh se Bichhar K Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye,
Phir Jo Bhi Dar Mila Hai Usi Dar Ke Ho Gaye,
Phir Yun Hua Ke Ghair Ko Dil Se Laga Liya,
Andar Wo Nafraten Thin Ke Baahar Ke Ho Gaye,
Kya Log The Ke Jaan Se Barh Kar Aziz The,
Ab Dil Se Mahw Naam Bhi Aksar Ke Ho Gaye,
Ae Yaad-E-Yaar Tujh Se Karen Kya Shikaayaten,
Ae Dard-E-Hijr Hum Bhi To Patthar Ke Ho Gaye,
Samjha Rahe The Mujh Ko Sabhi Nasehaan-E-Shehar,
Phir Rafta Rafta Khud Usi Kaafir Ke Ho Gaye,
Ab Ke Na Intizaar Karen Chaaragar Ka Hum,
Ab Ke Gaye To Ko-E-Sitamgar Ke Ho Gaye,
Rote Ho Ek Jazira-E-Jaan Ko "Faraz"
Tum, Dekho To Kitne Shahr Samandar Ke Ho Gaye.
No comments:
Post a Comment