Wednesday 15 February 2012

Hui Hai Shaam To Aankhon Men Bas Gaya Phir Tu,

Hui Hai Shaam To Aankhon Men Bas Gaya Phir Tu,

Kahaan Gaya Hai Mere Shahr Ke Musaafir Tu,

Bahut Udaas Hai Ik Shakhs Tere Jaane Se,

Jo Ho Sake To Chalaa Aa Usi Ki Khaatir Tu,

Meri Misaal Ki Ik Nakhl-E- Khushk-E-Saharaa Hoon,

Tera Khayaal Ki Shaakh-E- Chaman Ka Taair Tu,

Main Jaanta Hoon Ke Duniya Tujhe Badal Degi,

Main Maanta Hoon Ke Aisa Nahin Bazaahir Tu,

Hansi Khushi Se Bichhar Jaa Agar Bichharna Hai,

Ye Har Maqaam Pe Kya Sochta Hai Aakhir Tu

Faraz Tu Ne Use Mushkilon Men Daal Diya,

Zamaana Saahib-E-Zar Aur Sirf Shaayar Tu.

No comments:

Post a Comment