Friday 3 February 2012

Mera Tum se Aesa Rishta hai.

Mera Tum se Aesa Rishta hai.

Khawb ka jo Tabeer se hai,

Sheeshe ka jo Tasveer se hai,

Sachayi ka jo zameer se hai,

Qaidi ka jo zanjeer se hai,

Ranjhey ka jo heer se hai,

Mera Tum se Aesa Rishta hai,

Chaand ka jo raat se hai,

Saawan ka jo barsat se hai,

Dil ka jo jazbaat se hai,

Mausam ka jo soghaat se hai,

Jeet ka jo maat se hai,

Takdeer ka jo halaat se hai,

Mera Tum se Aesa Rishta hai.

Pyar ka jo iqraar se hai,

Dukh ka jo izhaar se hai,

Sharaab ka jo khumaar se hai,

Nafrat ka jo pyaar se hai,

Til ka jo rukhsaar se hai,

Mera Tum se Aesa Rishta hai.

Kaantey ka jo phool se hai,

Insaan ka jo bhool se hai,

Raah ka jo dhool se hai,

Dua ka jo kubool se hai,

Ilm ka jo husool se hai,

Kitaab ka jo Rasool se hai,

Mera Tum se Aesa Rishta hai.

Bahaar ka jo chaman se hai,

Nigaah ka jo hussan se hai,

Pardesi ka jo watan se hai,

Justuju ka jo lagan se hai,

Choli ka jo daaman se hai,

Yadon ka jo saawan se hai,

Mera Tum se Aesa Rishta hai.

Dard ka jo ehsaas se hai,

Sehraa ka jo pyaas se hai,

Ghareeb ka jo aas se hai,

Dard ka jo paas se hai,

Jism ka jo libaas se hai,

Mera Tum se Aesa Rishta hai,

No comments:

Post a Comment