Monday, 20 February 2012

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai.

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai.

Ye Dil K Tere Baad Sambhalta Bhi Nahi Hai.

Ye Sheher Kisi Aaina Kirdaar Badan Par.

ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai.

Ik Umar Se Hum Is Ki Tamanna Mai Hain Be-Khwaab.

Wo Chaand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai.

Phir Dil Mein Teri Yaad Ke Manzar Hain Firozaan.

Aisay Mein Koi Dekhnay Waala Bhi Nahi Hai.

Is Umar K Sehra Main Teri Yaad Ka Baadal.

Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai..

Hamraah Bhi khwaahish Se Nahi Rehta Hamare.

Aur Baam-e-Rafaaqat Se Utarta Bhi Nahi Hai.

No comments:

Post a Comment