Friday 8 July 2011

Sath rota tha mere sath hansa karta tha

Sath rota tha mere sath hansa krta tha,

Wohi ek tha jo mere dil mein basa krta tha,

Meri chahat ka talbgar tha wo is darja,

K wo musalle pe namazon mein dua krta tha

Ik lamhe ka bicharna bhi gawara na tha use,

Rote rote wo mujh se yehi kaha krta tha,

Rog dil ko jo laga betha tha anjane mein,

Meri agosh mein marne ki dua krta tha,

Baat kismat ki thi k door ho gaye jo hum,"

Warna wo to mujhe taqdeer kaha krta tha...?

No comments:

Post a Comment