Sunday, 17 July 2011

Tum jo hansti ho to pholon ki ada lagti ho,



Tum jo hansti ho to pholon ki ada lagti ho,

Or chalti ho to ik bad -e-saba lagti ho,

Dono haton mein chupa laiti ho apna chehra,

Mashriqi hoor ho dulhan ki haya lagti ho,

Khuch na kehna mere kandhe pe jhuka kr sar ko,

Kitni masom ho tasvir e wafa lagti ho,

Bat krti ho to sagar se khnaak jate hain,

Leher ka geet ho koyal ki sada lagti ho,

Kis taraf jaogi zulfon k ye badal le kr,

Aj machli huui sawan ki ghata lagti ho.


No comments:

Post a Comment