Monday 18 July 2011

Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi Naghma Bankar

Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi Naghma Bankar

Hum se har sham Mili hai Tera Chehra Bankar

Chand Nikla hai Teri Aankh k Ansoo ki Tarah

Phool Mehkay hain Teri Zulf ka saya Bankar

Meri jagi hoi Raaton ko Usi ki hai Talash

So Raha hai Meri Aankhon me jo Sapna Bankar

Dil k kaghaz pe Utarta hai jo Sheron ki Tarah

Mere Honton pe Machalta hai jo Naghma Bankar

Raat bhi aaye To Bujhti Nahin Chehre ki Chamak

Rouh me phail Gaya hai woh Ujala Bankar

No comments:

Post a Comment