Monday 18 July 2011

Aaj kuch waqt ke liye paas mere, kaash tum aa jate,

Aaj kuch waqt ke liye paas mere, kaash tum aa jate,

b0hut tanha hon main aaj kaash tum aa jate,

Kabhi khud ko itna kamz0or na hone diya maine,

Par aaj bikhar gayi hon main,kash tum aa jate,

Tumhi se milta hai hosla harpal mujhe,

Chahiye aaj bahon ka sahara, kaash tum aa jate,

Barson se jee rahi hon bin tumhare,

Aaj nahi guzar raha ek pal kash tum aa jate,

Waqt ki raftar bhi jaise thum si gayi hai,

Thum na jaye meri sans kash tum aa jaty

No comments:

Post a Comment