Monday 18 July 2011

Uljhay huay haalat ka shikwa na kia kar

Uljhay huay haalat ka shikwa na kia kar

khairaat mein khushiyon ki tamanna na kia kar

So baar kaha itni mohabat nhi achi

So baar kaha itna bharosa na kia kar

Halaat tujhko mujhse na milne kabhi dein gay

Ae dost mere...meri tamanna na kia kar

Kya janey ye kis morr pey ley jaey zamana

Tu mujh ko kisi pal b elehda na kia kar

Mumkin hay kisi roz bichar jaon achanak

Tu mujh sy piyar itna ziyada na kia kar...

No comments:

Post a Comment