Wednesday 6 July 2011

koi ham nasheen aisa miley

Koi ham nasheen aisa miley,

Mere dard ki jo dawa karey,

Na mujhe talash kisi or ki,

Na wo reh sakey siwa mere,

Meri aankhon mein hai tera aks,

Shab-e-chand mein ye kaha karey,

Mera chand jab mere saath ho,

To wo shab kabhi na dhala karey,

Meri zindagi mera aks tu,

uski har nazer ye kaha karey,

Uske bin na mujhko naseeb ho,

Wo saans bhi jo jafa karey...

No comments:

Post a Comment