Wednesday 7 March 2012

Meri Zaat Zarra-e-Benishan.

Tere siwa kya jaane koi dil ki haalat Rabba.
Saamne Tere guzri mujh per kesi qayamat Rabba.
Main wo kis tarah se karoon bayaan jo kiye gae hain sitam yahaan.
sune kon meri ye daastan koi hamnasheen hai na raazdaan.
jo tha jhoot wo bana sach yahaan nahi kholi mene magar zubaan.
ye akela pan, ye udaasiyaan meri zindagi ki hain tarjumaan.
Meri Zaat Zarra-e-Benishan.
sooni subh main ghoomna kabhi ujri shaamon ko dekhna.
kabhi bheegi aankhon se jaagna kabhi beete lamhon ko sochna.
magar aik pal hai ummeed ka hai mujhe Khuda ka jo aasra.
na hi mene koi gila kiya na hi mene di hain duhaaiyaan.
Meri Zaat Zarra-e-Benishan.
main bataoun kya, mujhe kya mile.
mujhe sabr hi ka sila mile.
kisi aagahi ki rida mile. kisi dard hi ka sira mile. kisi gham ki dil me jagah mile.
jo mera he wo mujhe aa mile.
rahe shaad yoon hi mera jahaan ke yaqeen me badle mera gumaan.
Meri Zaat Zarra-e-Benishan.
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

No comments:

Post a Comment