Monday, 19 March 2012

Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya Kidher Gaya Wo,

Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya Kidher Gaya Wo,

Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairan Kar Gaya Wo,

Bas Ek Halki Jhalk Dikha Kar, Bus Ek Meethi See Dhun Suna Kar,

Sitara E Sham Ban K Aaya, Barang E Khewab E Sehar Gaya Wo,

Na Ab Wo Yadon Ka Charhta Drya, Na Fursaton Ki Udas Barkha,

Yunhi Zara Si Kasak Hai Dil Mein Jo Zakhm Gehra Tha Bhr Gaya Wo,

Shikasta Pa Rah Mei Khara Hoon, Gaye Dino Ko Bula Raha Hoon.

Jo Qafla Mera Hamsafar Tha, Misal E Gard E Safar Gaya Wo,

Hawas Ki Bunyad Par Na Thehra Kisi Bhi Umeed Ka Gharonda,

Chali Zara Si Hawa Mukhalif,Ghubar Ban K Bikhar Gaya Wo,

Wo Hijar Ki Raat Ka Sitara,Wo Hamnafs Ham Sukhan Hamara,

Sada Rahe Us Ka Naam Pyara, Suna Hai K Rat Mar Gaya Wo,

Mera To Khon Ho Gya Hai Pani, Sitmgarun Ki Palak Na Bheegi.

Jo Nala Utha Tha Raat Dil Se,Na Jane Kiyon Be Asar Gaya Wo,

Wo Jis Ke Shane Pe Hath Rakh Kar Safar Kiya Tu Ne Manzilon Ka.

Teri Gali Se Na Jane Kiyon Aaj Sar Jhukae Guzar Gaya Wo,

Wo RAat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shair,Wo Tera Nasir.

Teri Gali Tak To Hum Ne Dekha,Phir Na Jane Kidhar Gaya Wo.

No comments:

Post a Comment