Sunday 18 March 2012

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah.

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah.

Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah.

Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaishain Bhi Jaan Gaya.

Khula Wo Mujh Se Girebaan-e- Be-Raffuu Ki Tarah.

Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dharak Jaaye.

Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah.

Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose To Kia Kehiye.

Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah.

Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman.

Mein Raaigaan Hi Sahi, Shaakh-e-Be-Namuu Ki Tarah.

Gham-e-Jahan Tha K Mohsin Ujaar Mausam Tha.

Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabuju Ki Tarah.

No comments:

Post a Comment