Saturday 4 February 2012

wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi..



wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi..
k dhoop chaon ka aalam raha judai na thi.
Adawatein thi Taghaful tha Ranjishen thi Magar.
Bicharne wale main sab kuch tha magar bewafai na thi.
Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal.
Ghazal bhi wo jo kabhi kisi ko sunayi na thi.
kisay pukaar raha tha wo doobte huey din.
sada to ayi thi lakin koi duhaayi na thi.
kabhi ye haal k dono main yak- dili thi. "Mohsin"
kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi.

No comments:

Post a Comment