Monday, 6 February 2012

Shok ko aazim e safar rakhiye.

Shok ko aazim e safar rakhiye.

Be khabar ban ke sab khabar rakhiye.

Chahey nazren hon asmanon per.

Paon lekin zameen per rakhiye.

Mujhko dil mein agar basaana hai.

Aik sehra ko apne ghar rakhiye.

Koi nasha ho toot jata hai.

Kab talak kkhud ko bekhbar rakhiye.

Janey kis wakt kooch karna ho.

Apna samaan mukhtasir rakhiye.

Baat hai kya yeh kon parkhey ga.

Aap lehjey ko pur-asar rakhiye.

Aik tuk Mujhko dekhe jati hain.

Apni nazron pe kuch nazar rakhiye.

No comments:

Post a Comment