Saturday 4 February 2012

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya.

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya.

Qaatil Ko Aaj Apney Hi Ghar Le K Aa Gaya.

Taa Umr Dhoondta Raha Manzil Main Ishq Ki.

Anjaam Ye K Gard-E-Safar Le K Aa Gaya.

Nashtar Hain Mer Haath Main Kaandhon Pe Mae-Kada.

Lo Main Ilaaj-E-Dard-Jigar Le K Aa Gaya.

Faakir Sanam Kadey Main Na Aata Main Laut Kar.

Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idher Le K Aa Gaya.

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Le K Aa Gaya.

Qaatil Ko Aaj Apney Hi Ghar Le K Aa Gaya.

No comments:

Post a Comment