Monday, 6 February 2012

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai.

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai.

Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai.

Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki.

Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai.

Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal K.

Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai.

Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai.

Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai.

Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai.

Musarraton Mein Bhi Ham Ko Malaal Hota Hai.

Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain.

K Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai.

Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan Sagar.

Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai.

No comments:

Post a Comment