Friday, 29 July 2011

MJhE AaJ Bhi Us KI BePaNaH MuHaBBaT RoNe Nh DeTi…

MJhE AaJ Bhi Us KI BePaNaH MuHaBBaT RoNe Nh DeTi…
.
.
SaQi…
.
.
Jo KhTi Thi K MeRi JaaN NiKaL JaE Gi TuMhaRe AnSu GiRnE Se PhLe..

Bahaar RuTT mein Ujaar Rastay' Taka Karo gay To Ro Parro gay

Bahaar RuTT mein Ujaar Rastay' Taka Karo gay To Ro Parro gay
,,,,
Kisi sy Milny Ko Jab Bhi 'Mohsin' Saja Karo gay To Ro parro gay
,,,,
Tumharay Wadon ney Yaar Mujh Ko' Tabah Kiya hai Kuch is Tarah sy ,,,,
K Zindgi mein Jo phir Kisi sy' Dagha Karo gay To Ro Parro gay
,,,,
Mein JanTa Hon Meri MuhobaT' Ujaar Day gi Tumhein Bhi aisy
,,,,
K Chaand Raton mein Ab Kisi sy' Mila Karo gay To Ro parro gay
,,,,
Barasti Barish mein Yaad Rakhna' Tumhein Sata'yein gi meri Aankhein
,,,,
Kisi Wali K Mazaar per jab' Dua Karo gay To Ro parro gay........

Baray Masoom Jazbon Se,Wo Apnay Shokh Haathon par.

Baray Masoom Jazbon Se,
Wo Apnay Shokh Haathon par.
Wafa ki Surkh Mehndi Se Usi ka Naam Likhti Hai,


Baray Masoom Jazbon Se
,
Wo Apnay Shokh Haathon par

Wafa ki Surkh Mehndi Se

Usi ka Naam Likhti Hai,


Jisay wo Pyaar karti Hai
.
Mgr wo Na Smajh Larki

Abi Tak Ye Nhi Samjhi,

K Sapnay Toot Jaayen To
.
Bohat Barbaad kartay Hain.

Ye ujhlay Rang Haathon Par,

Kbi Thehra Nhi karte.

Mohabat To Haqeeqat Hai..

Koi Sapna Nahi Hota.

Kisi ka Naam Likhnay Se

Koi Apna Nahi Hota...!

Wednesday, 27 July 2011

Ta’al’luq torna chaho..

Ta’al’luq torna chaho..
Tum mujh ko chorna chaho..
To meri shart hai itni..

Tumhein jo de chuki hon Main..

Mujhay lotaa do woh sab kuch..

Meray woh keemti lamhein..
Jo tujh ko sochtay guzray..

Woh pal jo ik qayamat thay..
Jo tumhara rasta dekhtay guzray..

Khuda ko bhool kar woh din..
Jo tujh ko poojtay guzray..

Kaho lota sako ge tum??

Hayaa ki chandni de di..
Jiyaa ki ragni de di..

Laboon ki chaashni de di..
Hina ki roshni de di..

Tujhay to zindagi de di..
Har ik apni khushi de di..

To phir woh zindagi meri..
Han bolo.. har khushi meri..

Kaho.. lotaa sako ge tum??

Agar mumkin ho aisa to..

TA’AL’LUQ TOR LENA TUM..
BHALAY PHIR CHOR DENA TUM..!!

Uski Ulfat Hai k Nafrat Se Mujhy Dekhte Hai wo ,

Uski Ulfat Hai k Nafrat Se Mujhy Dekhte Hai wo ,

"Wasi

wo Kabi Piyar Se Dekhay To Pighal jaon Main,

Buhat Ummeed rakhna aur Phir Bay-aas hona bhe!

Buhat Ummeed rakhna aur Phir Bay-aas hona bhe!
Bashar ko Maar deta hay buhat Hassas hona bhe!

Suno ik Kaan say aur dusray say Phenk do baahar,
Buhat Takleef-deh hay Sahib-e-Ehsaas hona bhe!

Yunhi tu Abr-e-Rehmat ki Talab karta nahen koi,
Zaruri hay muqaddar men Zara si Pyaas hona bhe!

Buhat say Qalb Ruk jatay hen Khusheyon ki Khabar pa kr,
Hamen tu Khoob Jachta hay Ghamon ka Raas hona bhe.

Baandh Layn Haath Pe , Seenay pe Sajaa Layn TUM ko

Baandh Layn Haath Pe , Seenay pe Sajaa Layn TUM ko
Jee Mein Aata hay k Taveez Bana Layn TUM ko

Phir Tumhayn Roz Sanwaarayn , Tumhayn Barhta Daykhayn
Kiyun Na Aangan Mayn Chanbaili Sa Laga Layn TUM ko

Jayasay Baalon Mein Koe Phool Chuna Karta hay
Ghar K Guldaan Mein Phool Sa Saja Layn TUM ko

Kiya Ajab Khuwahish Uth-ti Hayn Humaray Dil Mein
Kar K Munna Sa , Hawaon Mein Uchaalayn TUM ko

Iss Qadar Toot Kar Tum Par Piyaar Aata Hay
Apni Banhon Mein Bharayn Maar hi Daalayn Tum Ko

Kabhie Khuwaabon Ki Tarha Aankh K Parday Mein Raho
Kabhie Khuwahish Ki Tarha Dil Mein Bula Layn TUM ko

Hay Tumharay Liye Kuch Aysi Aqeedat Dil Mein
Apnay Haathon Mein Dua Sa Utha Layn TUM ko

Jaan Denay Ki Ijazat Bhi Nahi Detay Ho
Warna Mar Jayen Abhie Mar K Manaa Layn TUM ko

Jis Tarha Raat K Seenay Mein Hay Mahtaab ka Noor
Apnay Tareek Makaanon Mein Sajaa Layn TUM ko

Ab Toh Bas Ayk hi Khuwahish hay Kissi Morr Par TUM
Hum Ko Bikhray Huwaye Mil Jao , Sanbhalayn TUM ko

Tum ne jo thaan li hai,Hamare dil se niklo ge,

Tum ne jo thaan li hai,
Hamare dil se niklo ge,

To itna jaan lo pyare,
Samandr saamne hoga agr sahil se niklo ge,

Tuesday, 26 July 2011

Nighaon K Tasadum Se ajab Taqrar Karti Hai,

Nighaon K Tasadum Se ajab Taqrar Karti Hai,
Yaqeen Kamil Nahi Laikin Guman Hai Pyaar Karti Hai,
.
Laraz Jata Hun Main Yeh Soch K Kafir Na Hojaon,
Tabiyaat Uski Pooja K Liye Israar Karti Hai,
.
Usay Maloom Hai Shayad Mera Dil Hai Nshanay Par,
Labon Se Kuch Nahi Kehti, Nazar Se Waar Karti Hai,
.
Main Usay Puchta Hun Khuwab Mein Mujhse Muhabbat Hai…??
Phir Ankhein Khol Deta Hoon Jab Woh Izhar Karti Hai….!!!

Gallion sai meri Tum nay guzar kar nahin daikha

Gallion sai meri Tum nay guzar kar nahin daikha.
Ghum yeh hai keh khushiyon nay mera ghar nahin daikha
.
Mehroom hai wo pyar ki doolat sai abhi tuk
Dil jis nay kahin apna laga kar nahin daikha
.
Gumnaam hai wo phool gulistaan-e- jahan mein
Khusboo ki tarha jis nay bikhar kar nahin daikha
.
Aainay fakat us ki tasali kay liye hein
Dulhan ki tarha jis nay sanwar kar nahin daikha
.
Yeh such hai mera qatal sar-e-aam howa hai
Kis ka tha meri peeth mein khanjar nahin daikha
.
Dil cheer kar niklay hein yeh ashaar mere
Afsoos inhein aap nay parh kar nahin daikha

Yeh Zaruri To Nahi K Sooraj Sawa naze Par Aajaye,

Yeh Zaruri To Nahi K Sooraj Sawa naze Par Aajaye,

Badal jaye Jab Koi To Qayamat Ho Hi Jati Hai……!!!!

Nahi mumkin andheron mein chiraaghon ka bhuja dena …

=>Nahi mumkin andheron mein chiraaghon ka bhuja dena …
=>Bohat mushkil hy meri jan tmhen Dil sy bhula dena …
=>Tumhen ik din sataein gy meri chahat k sb jazbe …
=>Meri gazlein meri nazmein mere khat b jala dena …
=>Kbi jo yad aaon mein tmhen fursat k lamhon mein …
=>Haseen haathon sy kaghiz pr muje likhna mita dena

“Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr,

“Muhabbat is tarah jaise gulabi titliyon k pr,
“Mohabat zindgani ki jabeen-e-naz ka jhoomr,
“Muhabbat arzoo ki seep ka anmol sa gohar,
“Mohabat aas ki dhoop me umeed ki chaadar,
“Mohabat hi tery gesu,
teri palken,
teri ankhen,
“Mohabat he teri baaten,
Mohabat he tmhary hijar ki or wisl ki raaten,
“Mohabat he teri dharkan,
Mohabat he teri saansen,
“Mohabat tmhari baat jesi he,
“Mohabat ko agar samjho, to tmhari zaat jesi he…!

Meri Takmeel mein hissa hai tumhara bhi

Meri Takmeel mein hissa hai tumhara bhi

"Wasi

Main ager Tum sy na milta to adhora hota-

Uski yaad men guzarti meri hr shaam thi,

Uski yaad men guzarti meri hr shaam thi,

Mere dil se nikli hr Dua uske naam thi,

Ab mujhko ilzaam na do bewafai ka yaro,

Mere hathon ki lakeeron men wafa aam thi,

Qadr poocho unse jo krte hain Mohabat ki pooja,

Sirf uske sheher men Mohabat meri badnaam thi,

Apni Jaan ka nzrana kaise pesh krte usko,

Uske ishq men hr saans jo meri neelam thi,

Kaise chhor dete zindagi k safr men tanha usko,

Uske bagher to meri zindagi gumnaam thi.

Monday, 25 July 2011

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

Us nay kaha tha k Tumhari aankhein bohat Roshan hain

Us nay kaha tha k Tumhari aankhein bohat Roshan hain

Mein kuch soch kar hans pari Us bekhabar ko kia khabar K barish k baad hi Mausam nikhartay hain-

Mujhe ehsas-e-ulfat Tum enayat q nhi karte

Mujhe ehsas-e-ulfat Tum enayat q nhi karte

Meri izzat to karte ho mohabbat q nhi karte

ye sare log kehte hain k Tum chanchal tabyat ho

magar Tum samne Mere shararat q nhi karte

jo apni guftagu me phool Tum takseem karte ho

kabhi un pholon ki Mujh par sakhawat q nhi karte.

"Rasm_E_ulfat hi ijazut nahi deti warna.

"Rasm_E_ulfat hi ijazut nahi deti warna.

Hum bhi Aesa tumhain bholein k sada yaad karo.

Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din

Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din

Kya rooz garjtay ho Baras jao kisi din

Raazoon ki tarah utro mere dil mai kisi shab

Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din

Paharoon ki tarha Husn ki baarish mai naha loon

Badal ki tarha jhoom k aao kisi din.

Sunday, 24 July 2011

Chahat bharay wo lafz aur har lafz main dua.

Chahat bharay wo lafz aur har lafz main dua

MOHSIN

Maqrooz kar diya hamein tumharey khaloos ne.

Meri Takmeel mein hissa hai

Meri Takmeel mein hissa hai tumhara bhi

"Wasi

Main ager Tum sy na milta to adhora hota-

Friday, 22 July 2011

Jin K Milte Hi Dil Ko Khushi Mil Jaye

Jin K Milte Hi Dil Ko Khushi Mil Jaye

... Sakhi ,,,


Wo Log Kyun Zindagi Main Kam Mila Karte Hain.

Wednesday, 20 July 2011

Ji to karta hai

Ji To Karta Hay Usay Muft Main Jan Day Dain

MOHSIN

Itnay Masoom Khareedar Say Kya Laina Daina

Monday, 18 July 2011

Hawa ban kar bikhrne se,

Hawa ban kar bikhrne se, usy kia farq prta hai,

Mere jene ya mrne se,
usay kia farq prta hai,

Usy to apni khushion se zara fursat nahi milti,

Mere gham ke ubharne se, usy kia farq parta hai,

wasi us shakhs ki
yaado main tum rote raho lekin

Tumhare aisa karne se, usay kia farq parta hai

Main ek be wafa se wafa kar raha hon.

Main ek be wafa se wafa kar raha hon.

Dil k liy khata kar raha hon.

Qalam khushuk tha to lekha khat laho se

ye tha qarz us ka jo ada kar rha hon

Suna ha yaad karty ho

Suna ha yaad karty ho

K jab b shaam dhalti ha

Hijr mein jaan jalti ha

Tum Apni raat ka aksr

Sukoon brbaad karty ho

Suna ha yad karty ho

K jab panchhi loat aaty hain

Ghamon k geet gaaty hain

Suno! tm loat aao na

Yehi fariyad karty ho

Suna hai yad karty ho!

Sitary jab falak pe jagmagaaty hain

Wo beety huwy pal khoob rulaty hain

Tum us dam apni aankhon main mujy abaad krty ho!

Suna hai yaad karty ho!

Mujy tum yaad karty ho..

Ashk Girtey Hain meri Sans sanbhal Jati Hai

Ashk Girtey Hain meri Sans sanbhal Jati Hai.
De K Ek Dard Naya Shaam nikel Jati Hai.

Tujh Ko dekhon to mere dard Ko milta hy Sakon.
Tujh Se Bichron To Meri Jan NIKAL Jati Hai.

Ishq Kuch Ayse Mitaata Hy Nishan-e-Hasti.
Jaisy Har Raat Ujaaly Ko NIGAL Jati Hai.

Zakham Bharta Hi Nahi Teri JUDAI Ka Mgr.
Phir Teri Yad Naya Dard UGAL Jati Hai.

To Agar Dil Pe Mere Hath Hi Rakh Dey HMDM
Tot'ti sans bhi kch Dair SANBHAL Jati Hai.

Sabhi ashk aankhon me aa gae

Sabhi ashk aankhon me aa gae na chupa saky na bata saky...

Wo jo bheid tha wo khul gya koi baat b na chupa saky...

Na wafa rhi na jafa rhi, na wo dil raha na hm rhy...

Us ki yad ka jo charagh tha na jala saky na bujha saky...

Koi zor khud pe rha nhi koi bs b us pe chala nhi...

Usy dekhty rhy door tk mgar hath tk na hila saky....

Nhi is me uski khata koi na naseeb ka koi dosh tha....

Ye to mera apna mizaaj tha k kisi tarha na nibha saky..

Toot jae na bharam, hont hilaon kese..?

Toot jae na bharam, hont hilaon kese..?

Haal jea B hy, logon ko unaon kese..?

Khuhk ankhon e B ahkon ki mahik aati hy,
Main tere gham ko zamane e chupaon kese..?

TU hi bata meri yaadon ko bhulane wale,
Mai teri yaad ko i DIL e bhulaon kese..?

Phool hota to tere dar pe ajja bhi rahta,
ZAKHM le kar teri dahleez par aaon kese..?

Tu rulata hy to rulaa mujhe ji bhar k,
Teri ankhen hain meri, mai in ko rulaon kese.

Tum Mujhy

Tum Mujhy
AL-Wida Nahi kehna

Tum Se Naata Hay Yun Wafaon ka

Jaisy khushbu Se Hay Hawaon ka

Jaisay Honton Se Hai Duaon ka

Jaisay Rishta Hai Dhoop Chaon ka

Jaisay jismoon Se Aatmaoon ka

Jaisay Poja Se Devtaon ka

Saray Bandhan Na Tor k jana

Ab Tere Bin Mujy Nahi Rehna

Tum Mujy
AL-Wida Nahi kehna..

Na Mila DiL Ka Qadrdan is Zamane Mai

Na Mila DiL Ka Qadrdan is Zamane Mai,

Ye Rishta Toot Giya Dekhne Or Dikahne Mai,

Sochta Hoon Ek Roz SHAMA Se Pochon,

Maza Kis Me He?Jalne Mai Ya Jalane Me

Aaj kuch waqt ke liye paas mere, kaash tum aa jate,

Aaj kuch waqt ke liye paas mere, kaash tum aa jate,

b0hut tanha hon main aaj kaash tum aa jate,

Kabhi khud ko itna kamz0or na hone diya maine,

Par aaj bikhar gayi hon main,kash tum aa jate,

Tumhi se milta hai hosla harpal mujhe,

Chahiye aaj bahon ka sahara, kaash tum aa jate,

Barson se jee rahi hon bin tumhare,

Aaj nahi guzar raha ek pal kash tum aa jate,

Waqt ki raftar bhi jaise thum si gayi hai,

Thum na jaye meri sans kash tum aa jaty

Mujhe Itna Na Yaad Aao

Mujhe Itna Na Yaad Aao K Me Khud Ko Tm Samajh Bethoon,

Mujhe Ehsas Rehnay Do, Meri Apni B Hasti Ha...!!

Rehne walon se nhi,

Rehne walon se nhi,
jane walon se Pucho K zindgi Kya cheez hoti hai.

Pane walon se nhi, Khone walon se Pucho K izzat Kya cheez hoti hai.

ameeron Ko Kya deKhte ho,
zra garibo c Pocho K dolat Kya chez hoti hai.

Are jis ne dil diye h us se nhi
jis Ka dil toota hai us se Pucho K mohabbat Kya cheez hoti hai

Labon ki sirsarahat se.

Labon ki sirsarahat se.

badan k choor hony tak.

Main Tujh ko is Tarah chahoon.

K Teri saans ruk
jaye.

Khataaon par khata'ai hon.

Na ho kuch baat
kehne ko.

Me Tujh main yoon sama jaoun.

K Teri saans ruk
jaye.

Na himmat Tujh mein ho baqi.

Na himmat mujh main ho baqi.

Magar itna qareeb aaoun.

K Teri saans ruk
Jaye.

Tere honton pe jab rakhoon.

Main apny hont kuch aise.

Ya Teri pyaas bujh jaye.

YA TERI SAANS RUK JAYE.

Aao kbhi seene se lagaon tum ko,

Aao kbhi seene se lagaon tum ko,

Rotho jo mujhse tu manaon tum ko,

Meri bahon me neend aa jaye,

Phir khud hi jagaon tum ko,

Too hamesha k liye mera ho jaye,

Aisa taveez pilaon tum ko,

Is andaz se to meri jan mango,

Main inkar na kr paon tum ko,

Apni ankh ka tara, ya chand kahon,

khud hi batao kis naam se bulaon tum ko,

Tm mere dil ki dharkan ban gaye ho

Phir batao kis tarah bhool jaon tum ko

Lahu se dil k kaghaz pr, Koi tehreer hoti hy

Lahu se dil k kaghaz pr, Koi tehreer hoti hy

To ahl-e-dil smjhty hain, Yahi taqdeer h0ti hy

Tujhy khwabon me aksar, Log mjhse cheen lete hain

Suna hy sare khawb0n ki, Ult tabir hoti hy

Yahi chahat ksi ko taaj ki surat nazar aye

Yhi chaht kisi k paon ki Zanjer hoti hy

Wafa ki jung talwaron se jeti ja nhi skti

K sachai or muhabt se wafa taameer hoti hy

Suno ghazlen ye sari be-sbab likhi nhi jati

K shayer k tasawar me koi tasveir hoti hy!

Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi Naghma Bankar

Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi Naghma Bankar

Hum se har sham Mili hai Tera Chehra Bankar

Chand Nikla hai Teri Aankh k Ansoo ki Tarah

Phool Mehkay hain Teri Zulf ka saya Bankar

Meri jagi hoi Raaton ko Usi ki hai Talash

So Raha hai Meri Aankhon me jo Sapna Bankar

Dil k kaghaz pe Utarta hai jo Sheron ki Tarah

Mere Honton pe Machalta hai jo Naghma Bankar

Raat bhi aaye To Bujhti Nahin Chehre ki Chamak

Rouh me phail Gaya hai woh Ujala Bankar

Har simth gham-e-hijr k Toofan hen SaGaR

Har simth gham-e-hijr k Toofan hen SaGaR

Mat pooch k Hum kitne Preshan hen SGR

Har chehra nazar aata hai Tasweer ki soorat

Ham shehr k logon se b Anjan hen SGR

Jis Shehr-e-Mohbt ne Humain Loot lia hai.

Us Shehr se ab Kooch k imkan hen SGR

Kashti abi Umeed ki Doobi to Nhi hai.

Phir Kiyun Teri Aankho main ye Toofan hen SGR.

Kar in ka Adab,Rakh Inhen Seenay se lga kar

Ye Dard,ye Tanhaiyan Mehmaan hen SGR.

Neend Se Kiya Shikwa Karun Main

Neend Se Kiya Shikwa Karun Main

~FaraZ ~

Qasoor To Us Chehray Ka Hai Jo Mujhe Sonay Nahi Deta

Ab lot aa mery hmnawa,

Ab lot aa mery hmnawa,
Meri zindgi ka sawal hai.

Tujhay kia sunao dilruba,

Tery samne mera hal hai.


Teri ek nigha ki bat hai,

Meri zindgi ka sawal hai.


Meri har khushi tere dum se hai,

Meri zindagi tere gham se hei.


Tere dard se rahe ba khabar,

Mere dil ki kab ye majal hai.


Tere husan par ha mari nazar,

Muje sub-o-sham ki kia khaber.


Meri sham hai teri guftgu,

Meri subho tera khayal hai.


Ab lot aa mere hum nawa,
Mere zindgi ka sawal hai.

Bohat farsoda lgty hyn mjy ab yar k qissy

Bohat farsoda lgty hyn mjy ab yar k qissy

Gul-o-gulzar ki baten lab-o-rukhsar k qissy

Yahan sb k muqdar mein faqat
zakham-e-judai hy

Sbi jhothy fasany hyn wisal-e-yar k qissy

Bhala ishq-o-mohbat sy ksi ka pait bharta hy

Suno tum ko sunata hun mein karobar k qissy

Mry ahbab kehty hyn yahi ek aeib hy mujh mein

Sar-e-dewar likhta hun pas-se-dewar k qissy

Mein aksar is lye logoun se ja kr khud nai milta

Wohi be-kar ki batein,wohi be-kar k qissy..

Judaiyon ka azab sehta rha hn main.

Judaiyon ka azab sehta rha hn main.

Pyar ki duhaiyan usa dta rha hn main.

jis tarah koi Aaina tot kr bikhara hota hai.

Kuch usi tarh tot kr bikhr rha hn main.

Yad krta hn usa har pal har sans say phele.

Aur us sy ye keh rha hn tujhe bhol rha hn main.

Dua'waein ki the barso jis k paneY k lia JiYa.

Uski yad mae tnha beht kr aashq pee rha hn Main.

Tm kia smjho gay meri beybsi k ay dunia Walo.

Kisi say kia tha Wada is liye jee rha hn main .

mErE LeHjE ki mitHas

mErE LeHjE ki mitHas! tUjHE boHat rUlaYe gi aY dOst...('!')


Jb tEri bE-RukHi pE! kOi bE-RukHi dikHaYe ga...

Azaab_e_Deed main Aankhain Laho Laho kr k

Azaab_e_Deed main Aankhain Laho Laho kr k,

Main Shramsar howa Teri Justjoo kr k,

Suna hai Shehar main Zakhmi Dilon ka Mela hai,

Chalen ge Hum bhi Magr Pairahan Rafu kr k,

Musafat_e_Shab_e_Hijraan k Ba'ad Bhaid khula,

Hawa Dukhi hai Charaghon ki Aabroo kr k,

Ye kis ne Hum Se Laho ka Khiraaj Phir Manga,

Abhi to Soe thy Maqtal ko Surkhuroo kr k,

Ujaar Rut ko Gulabi Banaey rakhti hai MEER,

Hamari Aankh Teri Deed Se Wazoo kr k...

Wo mera tha ye batana ajeb lgta hy.

Wo mera tha ye batana ajeb lgta hy.

Ab us se ankh milana ajeb lgta hy.

Jo zindagi mein hamara kbi b ho na saka,

Ab uska khawab may ana ajeb lgta hy.

Bary khalus se dawat to us ne bheji hy,

Pr uski bazam mein jana ajeb lgta hy.

Tha jis ka hath kbi hamare hath may

Ab us sy hath milana ajeb lgta hy.

Uljhay huay haalat ka shikwa na kia kar

Uljhay huay haalat ka shikwa na kia kar

khairaat mein khushiyon ki tamanna na kia kar

So baar kaha itni mohabat nhi achi

So baar kaha itna bharosa na kia kar

Halaat tujhko mujhse na milne kabhi dein gay

Ae dost mere...meri tamanna na kia kar

Kya janey ye kis morr pey ley jaey zamana

Tu mujh ko kisi pal b elehda na kia kar

Mumkin hay kisi roz bichar jaon achanak

Tu mujh sy piyar itna ziyada na kia kar...

JAB SAWAN ME tanha bheegoge

JAB SAWAN ME tanha bheegoge

JAB AANGAN khali paoge

JAB SAHIL SE takrati lehron me

TUM TANHA HI KHO jaoge,

JAB RAAT K tanha daman me

TUM CHAND KO aadha paoge,

JAB KHUD SE baten krte krte

TUM DOOR kahin kho jaoge,

JAB DIL KI baat chupane ko

TUM HUM SE nazar churaoge,

HUM TUM SE MUHABBAT KARTE HEN

HAR BAR YE kehna chahoge,

IN SAB LAMHON me jaan lena

TUMTUM SE HUM Ban jaoge..

KABHI Na Hathon Se Hath Chotey

KABHI Na Hathon Se Hath Chotey khayal Rakhna,

Kabhi Na Chahat Ka Maan Totey Khayal Rakhna,

Bacha ke Rakhna Mohabat ko Rahzanon Se,

Wafa ki Dolat Jafa Na Lootey Khayal Rakhna,

Jo ho Mohabat To Ranjishon Se Guraez Karna,

Kisi ka Nazuk Sa DIL Na Tutey Khayal Rakhna..