Saturday, 31 March 2012

Chalo Ham Maan Lete Hain.

Chalo Ham Maan Lete Hain.
Tumhen Hum Kho Chuke Lekin.

Tumhari Yaad Ab Tak Bhi.
Hamen Betaab Rakhti Hai.

Hamaari Saans Ab Tak Bhi.
Tmhaari Aas Rkhti Hai.

Mgr Ab Ye Bhi Sunte Hain.
Tumhaari Raah Roshan Hai.

Tumhen Hai Mil Gaya Koi.
Magar Afsos..!
Ham Jesa.. Agar Paao Kahin Tum To.

Mujhe Do Lufz Likh Dena.. K....
MANZIL MIL GAI MUJH KO.

Qurb K Na Wafa K Hote Hain. Saray Jhagray Ana K Hote Hain.

Qurb K Na Wafa K Hote Hain.
Saray Jhagray Ana K Hote Hain.

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna.
Waqt Saray Dua K Hote Hain.

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna.
Log Putlay Khata K Hote Hain.

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte.
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain.

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz.
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain.

Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna.

Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna.

Dikhai Kuch Nahi Deta.. Sunai Kuch Nahi Deta.

Faqat Kuch Kap-Kapatey Lafz..
Jo Hoonton Per Theher Jayen..

Ubharti Doobti Dharkan... Usey Aawaaz Deti Hai.

Koi Apna K Jis Ka Naam Apne Dil Pe Likha Ho.

Jis K Wastey Dil Se Duaein Hi Nikalti Hoon.

Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna.

Jisey Dil Mein Basaya Ho.
Barey Hi Maan Se Jiss Ko Kabhi Apna Banaya Ho.

Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna.

Teray Siva koi Mere jazbat me nhi,

Teray Siva koi Mere jazbat me nhi,

Ankhon me wo Nami he jo Barsat me nhi,

Pany ki Tujhe koshish Boht ki,

Mgr

Shayed Wo ek Lakeer Mere Hath me nhi.

Tu Apnay Fun Say Meri Chaahat Ko Aazma K Daikh,

"Tu Apnay Fun Say Meri Chaahat Ko Aazma K Daikh,

Main Toot-gai Hoon Tu Phir Say Mujhay Bana K Daikh,

Teray Badan Mein Lahu Ban K Dorrti Hoon Main,

Tujhay Anaa Ki Qasam Hai Mujhay Bhula K Daikh,

Main Itnay Dard Mein B Qehqahay Lagati Hoon,

Tu Aik Dukh Mein Mujhay Sirf Muskara K Daikh,

Tujhay To Main Nay Hamaysha Mannaya Hai Lakin,

Main Aaj Rooth Chali Hoon Mujhay Mana k daikh.

Bary zor-O-shor se chal raha hy Karobaar-E-Mohabbat

Bary zor-O-shor se chal raha hy
Karobaar-E-Mohabbat

*"zindagi g"*

Kahin Chahtain Bikk Rahein Hain
Kahin Log Badal Rahy Hain.

Itni gehri neend se sona choor do,

Itni gehri neend se sona choor do,

Zindagi g

kisi din koi apna choor gaya to sari zindagi neend nahi aayegi.

Aaj phir uthey to Tum yaad aagaye

Aaj phir uthey to Tum yaad aagaye

*Mohsin*

Najany Tum meri subah ho ya Dil ki dherkan.

Nigahon ke samander ka thikana chahte hain hum

Nigahon ke samander ka thikana chahte hain hum

hamey tum se mohabat hai batana chahte hain hum

Hume achi nahi lagti kisi mosum ki shadabi !!

tumhein bas apni sanso mein basana chahte hain hum

hamara ghar tu roshan hai hamarey naam se lakin!

tumare naam se jivan sajana chahte hain hum

hume her haal mai tum se aqidat or mohabat hai

Tumare pas ane ka bahana chahte hain hum.

Kal Shaam Tumharay Ghar Qayam Kis Ka Tha,

Kal Shaam Tumharay Ghar Qayam Kis Ka Tha,
.
Na Tha Koi Musafir
To Ehtemam Kis Ka Tha.
.
Likh Likh Ke Choomtay Rahay Jis Ko Raat Bhar,
.
Hamein Bhi Batao Wo Naam Kis Ka Tha.
.
Jis Ko Sun Ke Ro Pare
Ehle-E-Mehfil,
.
Itna Bheegta Hua Anjam
Kis Ka Tha.
.
Haaye Saqi
Hamein Pee Ke Hosh Na Raha,
.
Wo Hath Kis Ka Tha
Wo Jaam Kis Ka Tha..

Friday, 30 March 2012

D0ori ka Ab Ek Pal ßi Gavaara Nahi H0ta.

D0ori
ka Ab Ek Pal
ßi Gavaara
Nahi H0ta.

Piyaar Ek
ßaar Hi H0ta
Hai Dubaara
Nahi H0ta.

Sadiy0'n ki Musafaat H0
T0 Milta Hai Hamsafar.

Pal ßhar
k0i Mil kar Hamara
Nahi H0ta.

Mai'n J0 ßaat karta H0n T0
V0 Rehta Hai khama0sh.

Tasveer
Sey Ab Us
ki Guzara
Nahi H0ta.,

=* =Ye Soch Lia Hai K, Ab kisi ko Aawaaz Nahi Deni,

=* =Ye Soch Lia Hai K,
Ab kisi ko Aawaaz Nahi Deni,,,

=* =K Ab Main Bhi To
Dekhon,
koi kitna Talabgar Hai
Mera..

Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe.

Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe.

Qateel Mere Samney Chura Liya Gaya Mujhe.

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Siyahiyan Bikhar Gaen To.

Roshni K Wastey Jala Liya Gaya Mujhe.

Barah-E-Rast Rabta Na Mujhse Tha Qabool Unhain.

Likhwa K Khat Raqeb Se Bula Liya Gaya Mujhe.

Jab Un Ki Deed K Liye Khara Tha Main Kataar Me.

Na Jane Kyon Kataar Se Hata Liya Gaya Mujhe.

Mein Rondney Ki Chez Tha Kisi K Paon Se Magar.

Kabhi Kabhi To Zulf Mein Saja Liya Gaya Mujhe.

Poucha Gaya Wafa Hai Kya.? Jawab Tha K Zindagi.

Qateel Piyar Se Galey Laga Liya Gaya Mujhe.

Hasti ka aitbaar kiye bagair reha na jaye,

Hasti ka aitbaar kiye bagair reha na jaye,



Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,

Kat'ti nahin yeh zindagi umeed k bagher,



Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,



Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,



Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,



Dunya k is afshaar me hai us ki yaad yoon,



Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,



Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,



Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai.

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai.

Magar Jeene Ki Surat To Rahi Hai.

Main Kyun Phirta Hun Tanha Mara Mara.

Ye Basti Chain Se Kyon So Rahi Hai.

Chal Dil Se Ummidon K Musafir..

Ye Nagari Aj Khali Ho Rahi Hai.

Na Samjho Tum Ise Shor-E- Baharan.

Khizan Patton Main Chup K Ro Rahi Hai.

Hamare Ghar Ki Diwaron Pe 'Nasir'

Udasi Bal Khole So Rahi Hai

Zindgi Mili "Zara Si Thi"

Zindgi Mili
"Zara Si Thi"

Kuch Is Me Kami
"Zara Si Thi"

Woh Roz Hota Gaya Paas Mere.!
Lekin Phir Bhi Dori
"Zara Si Thi"

Chand Jaagte Jaagte So Bhi Gaya!

Raat Abhi Beeti
"Zara Si Thi"

Mohabat Baant Di Us Ne Zamaney Mein Lekin.!

Jo Mere Hissey Mein Aai
Wo MuhabBAt
"ZARA Si Thi"

Ussey bewafa kehna b mere liye gunnah ki baat hai..

Ussey bewafa kehna b mere liye gunnah ki baat hai..
"gullab"

Bewafa to ussey kehtay hain jo wafa kar k chour jaye.

Kitna bebas hai insan kismat k aage,

Kitna bebas hai insan kismat k aage,

Har sapna toot jata hai haqikat k aage,

Jisne kabhi jhukna nahi seekha duniya mai,

Wo B jhuk jata hai mohbt k aage

Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,

Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,

Koi likhta b nahi koi jalata b nahi,

Is qader akeley hogaye hain ham aj kal,

Koi satata b nahi koi manata b nahi.

PHIR KOI UDAAS HAI

PHIR KOI UDAAS
HAI""

ajnabi c raahon mein,

door tak nigaahon mein,

berukhi ka mosam hy,

aaj phir nigaahon ko,

beetay pal ki pyaass hai,

"aisa lgta h jesy,

" PHIR KOI UDAAS HAI"

bat to kray koi,

saath to chlay koi,

khamoshi ka pehra hy,

zakhm dil ka gehra hy,

phir rha hoon dar baddar,

mojzay ki aas hy,

"aisa lgta hy jesy,
"" PHIR KOI UDAAS HAI"

kash main teray haseen hath ka kangan hota

kash main teray haseen hath ka kangan hota

tu baray piyar say chao say baray man kay sath

apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko

aur betaby say furqat kay khiza lamhon main

tu kisi soch main doby jo ghumaty mujh ko

main teray hath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main akar mujhay chuma karti

teray honton ki main hiddat say dehak sa jata

rAat ko jab bhi tu nindo kay safar pay jati.

marmarin hath ka eik takiya banaya karti

main teray kan say lag kar kai batain karta

teri zulfon ko teray gal ko chumaa karta

mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha

main teri roh kay gulshan main mehakta rehta

main teray jism kay angan main khanakta rehta

kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota

kash main teray hansee hath ka kangan hota

Haal Pochnay sy konsa Haal Theek Ho Jata Hai.

Haal Pochnay sy konsa Haal Theek Ho Jata Hai.

"MOHSIN"

Tasalli-e-dil Ho Jati Hai k koi Hamara B Hai......

Udaas shamon ki siskyon main, Kbhi jo meri awaz sun'na.

Udaas shamon ki siskyon main,
Kbhi jo meri awaz sun'na...

To beety lamhon ko yad kr k,
Unhi fizaon main lot ana...

Tum aya karte thy khawab ban kar,
Kbhi mehkty gulab ban kar...

Main khushk honton se jab pukaroon,
Unhi adaon main lot ana...

Meri wafaoon ka pass rkhna,
Meri duaon ka pass rkhna...

Main khali hathon ko jab uthaon,
Meri duaon main lot ana...

Toot jae na bharam, hont hilaon kese.

Toot jae na bharam, hont hilaon kese...?

Haal jesa bhi hy, logon ko sunaon kese...?

Khushk ankhon se bhi ashkon ki mahik aati hy,

Main tere gham ko zamane se chupaon kese...?

TU hi bata meri yaadon ko bhulane wale,
Mai teri yaad ko is DIL se bhulaon kese...?

Phool hota to tere dar pe sajja bhi rahta,
ZAKHM le kar teri dahleez par aaon kese...?

Tu rulata hy to rulaa mujhe ji bhar k,

Teri ankhen hain meri, mai in ko rulaon kese?.

Wo jo dil main tera maqam hai,

Wo jo dil main tera maqam hai,

Kisi or ko wo dia nahi,

Wo jo rishta tujh se hai ban gaya,

Kisi or se wo bana nahi,

Wo jo pyar tujh se ho gaya,

Kisi or se wo hua nhi,

Wo jo raaz tujh se hai kehdia,

Kisi or se wo kaha nhi,

Wo jo sukh mila teri zaat se,

Kisi or se wo mila nhi,

Tu basa hai ankhon mey jis trha,

Koi or aise basa nhi,

Tu hua hai jitna qareebtar,

Koi or itna hua nhi,

Tera nam dil mey hai jistrha,

Koi naam aise likha nahi.

Koi Gilla Nahin Hai Mujhy Tumharey Yaad na Kerny Ka,

Koi Gilla Nahin Hai Mujhy Tumharey Yaad na Kerny Ka,

"JAN-E-JAN"

Ujrrey Huey Chaman Ko To Parindy Bhi Chorr Jaaty Hain.

Yehi lab pe duain hain, mjy tm bool mt jana

Yehi lab pe duain hain,
mjy tm bool mt jana

Suno dil ki sadain hain
mjy tm bhool mat jana,


Meri kushion ka mahvr ho,
meri dharkan ki sargm ho,

Tuhmi se sb wafain hain,
mjy tm bhool mt jana,


Yun khil k muskra lena,
sbi arman daba lena,

Ye sb qatil adain hain,
mjy tm bhool mt jana,

Phoolon me teri khshbu,
meri neendon me chaya tu,

Suno kali ghatain hain,
mjy tm bhool mt jana,


Wafa ki akhri shama,
tm us ko jala rkhna,

Bohat zalim hawain hain,
mjy tm bhool mt jana..

"Hum nahi itne ghafil k apne chahne walon ko bhool jaen

"Hum nahi itne ghafil k apne chahne walon ko bhool jaen

"Ay"
"humdam"

'sote zaror hen lekin thori dair yaadon ko sulane k liye..

Dil se Majbor Ho kar is Umeed pe So Jati Hon..

Dil se Majbor Ho kar is Umeed pe So Jati Hon..

Haqeeqat Mein Na Milnay walay shayad khawabon Mein Aa Milen..

Thursday, 29 March 2012

Dhundla rahe hain shehr k jalte howe chirag.

Dhundla rahe hain shehr k jalte howe chirag.


Aey nèénd aa b ja k boht raat ho chuki.

Parwane ko shama pe jal k kuch to milta hoga.

Parwane ko shama pe jal k kuch to milta hoga.

Sirf marne k khatir to koi mohobbat nhi karta.

Wednesday, 28 March 2012

Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein.

Khusbo'n Ki Tarha Meri Har Saans Mein.



Pyar Apna Basane Ka Waada Karo.



Rang Jitne Tumhari Mohabbat K Hain.



Mere Dil Me Sajane Ka Waada Karo.



Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen.



Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen.



Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara.



Mujh ko Apna Banane Ka Waada Karo.



Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum.



Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum.



Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir.



Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo.



Main Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaon Kasam.



Tum Mujh ko Na Bhulne Ka Waada Karo…

Itni himat nahi k kisi ko hall-e-dil suna sakkein.

Itni himat nahi k kisi ko hall-e-dil suna sakkein...

=Mehroz=

Bus jis k liye udas hain wo mehsos kar le to kia baat hai.

Gunah to nahi kia tha sirf dil hi lagaya tha.

Gunah to nahi kia tha sirf dil hi lagaya tha...


Par us nay mujrim qarar day kar saza tanhai day di..

"Hum se wafa k baray main jo chaho poochh lo,

"Hum se wafa k baray main jo chaho poochh lo,

"Lekin wafa ki kya hai saza ye na poochna,

"Rah-e-wafa main hum par jo guzri wo pooch lo,

"Manzil par kya hua salook ye na poochna,

"Chahat ki dastan to hai zaati mamla,

"Tora hai kis ne ehd-e-wafa ye na poochna,

"Rastay main kon kon mila pooch shok se,

"Kis kis ka sath chhoot gaya ye na poochna,

"Kya hum ne zindgi ko diya ye sab ko hai khabar.

"Kya zindgi ne hum ko dia ye na poochna.

Bohat Masroof Lamhon mein,

Bohat Masroof Lamhon mein,

kabhi ik pal ko socho to,

koi kitna akela hai,

kisi ki Zindagi Tum ho,

kisi ki Bandagi Tum ho,

kisi ko Teri khwahish hai,

kisi ki Chahtein Tum ho,

kabhi ik pal ko socho to,

Tumhari Be'wafai ne,

Tumhari Laa'parwahi ne,

Tumhari Be'Niazi ne,

kisi ko Maar dala hai,

koi Zinda to hai lekin,

Faqat wo saans leta hai,
.....
....
...
..
.
Zara....!

ik pal ko socho to, tumhary yun na yaad karny sy koi kitna Akela hai.

Kabhi Hum Se B Do Pal Ki Baat Kar Liya Karo,

Kabhi Hum Se B Do Pal Ki Baat Kar Liya Karo,

~::"JAN"::~

Kya Pata Aaj Hum Taras Rahe Hain Kal Tum Dhondte Reh Jao.

Ay Mohabat Tere Anjam Pe Rona Aya

Ay Mohabat Tere Anjam Pe Rona
Aya

Jane Q Aj Tere Naam Pe Rona Aya

Yun To Hr Sham
Umedon Mn
Guzr Jati Thi

Aj Kuch Bat Hy
Jo Sham Pe Rona
Aya

Kabhi Taqdir Ka
Matam Kbhi Duniya Ka
Gila

Manzil-e-ishq Me
Har Kaam Pe Rona
Aya

Jab Hua Zikr Zamaane Me Mohabat
Ka.

Mujhko Apne Dil-e-Nakam Pe Rona Aya.

"Meri Aarzu Hai, Usey Piyar Doon,

"Meri Aarzu Hai, Usey Piyar Doon,

"Usey Chahaton Se Nikhar Doon,,


"Kahin Aansuon Mein Doob Kar,,,


"Usey Har Gharri Mein Qaraar Doon,,,

"Main Janoon-E-Ishq Mein Jhoom Kar,,,
"Usey Qurbaton Ka Hisaar Doon,,,

"Mujhe Us Se Kitna Piyaar Hai,

"Taaron Ka Kaise Shumaar Doon,,,

"Mere Har Taraf Us ki Soch Hai,,,

"Kaise Mein Khud Ko Farar Doon,,,

"Aa Kar Wo Phir Kahin Jaye Na,,,


"Usey Apni Rooh Mein Youn Utar Doon.

Kabhi Tota Nahi Merey DiL Se Uski Yaad Ka Rishata.

Kabhi Tota
Nahi Merey DiL Se
Uski Yaad Ka
Rishata.

=NOMAN=

Guftugo.
Jis Sey Bi Ho.
Khayal uska
Hi Rehta Hai

Raat itni Haseen he k sab gehri nend mein hen.

Raat itni Haseen he k sab gehri nend mein hen.

Ek hum hi badnaseeb hain k jal rhy hen ksi ki YaAd me.

Tuesday, 27 March 2012

Rach-Bas Gaya Hai Zehan Mein NASIR kisi Ka Roop.

Rach-Bas Gaya Hai Zehan Mein NASIR kisi Ka Roop.

Ab Kya Karen Gay Hum Koi Shah-Kaar Dekh Kar.

Raat K Pichly Pehr Aa K Jaga Dyti Hai.

Raat K Pichly Pehr Aa K Jaga Dyti Hai.

Yaad Teri Bhi Tahajud Ki Azaan Ho Jesy.

HUM NE MANA K TAGHAFUL NA KARO GEY LEYKIN.

HUM NE MANA K TAGHAFUL NA KARO GEY LEYKIN.

KHAAK HO JAAIN GEY HUM TUM KO KHABAR HONEY TAK

Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay k leye,

Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay k leye,

Shama jalnay k leye hai ya jalanay k leye.

Ronay walay tujhe ronay ka saliqa bhi nahi,

Ashq peenay k leye hain ya bahanay k leye.

Aaj keh donga shab-e gham ki shararat un say,

Roz aa jati hai kambakht satanay k leye.

Mujh ko maloom tha aap aingay merey ghar lakin,

Khud chala aya hoon main yaad dilanay k leye.

Hum ko lota hai usi sheher ne aye jan-e-wafa,

Hum ko lota hai usi sheher ne aye jan-e-wafa,

Jis ki galiyon mein mohabbat ka kuch hisab na tha,

Woh jo rehty thy mere sath hamesha din bhar,

Unke mazhab mein wafaon ka koi baab na tha,

Wo jo ankhon mein mohabbat ko liye phirtay they,

Unke dil mein thi woh nafrat, k kuch hisab na tha,

Mene jisko bhi musebat men maseeha jana,

Jo dia usne bara us se kuch azaab na tha,

Mujhy khayal tha yeh log mere apne hain,

Magar, wahan pe to aysa koi rewaaj na tha.

Teri yadoon ki barish barasti hai jab bhi,

Teri yadoon ki barish barasti hai jab bhi,


Main bheegta zaror hon mgr palkoon ki had tak.

Har Shakhs Sochta Hy K Wo Be'misaal Hy,

Har Shakhs Sochta Hy K Wo Be'misaal Hy,

Kiya Dour Aa
Gaya K Har Ek
Ba'kamal Hy,

Unki Nazar Me Ishq To Shayad
Mazaq Hy,

Teer-o-Tabar Me Unky Junoon-o-
Jalaal Hy,

Nazrain Milin
Jo Un Se To Dunya Badal Gai,

Nazrain Hatin
Jo Unki To Jeena Mohaal Hy,

Chiraagh Bhuj Gaye, Ummed Ki Sehar Na Hoi,

Ankhon Me Mere Aaj Bi Khuwabo Ka Jaal Hy,

Awaz Kis Ko Don K Koi Hamsafar Nahi,

Kaisey Kahon K Jism Bhi Kitna Nidhaal Hy,

Anila Teri To Saari Hi Dunya Ujar Gai,

Jin Khuaishon
Pe Jeeti Thi Unka Wisal Hy..

Shaira
"ANILA SHAHAB"

Ek shaam wø dhaltey saye mein,

Ek shaam wø dhaltey saye mein,

Mere samnay chup chup bethi thi..

Zuban se tø khamøsh mgar,
ankhøn se sab kuch kehti thi..

Chand se us k chehray Per Ek ajab udasi chai thi,

Jheel si uski aankhøn men Ek nami umad si aai thi..

Kuch kehna tha usko mujh se,
jø kehna tha na keh Pai thi...

Alfaz na thay us ke Paband,
Ye baat batanay aai thi

Jø kuch bhi us k dil mein tha,
main bina suney hi jaan Gaya

Us ki ankh k aansu ne,
har baat mujhe batlai thi..

Wohi muntzir Nigahain wohi sham e gham ka aalam.

Wohi muntzir Nigahain wohi sham e gham ka aalam.

"DOST"

,,,,,,,,,,Hm Azal sy dekh Rhay hn teri Waapsi Ki Raahein..