Wednesday, 29 February 2012
Mere ik Ashak ne girte girte khe hi dia in Ankhon se.
K jo Tera Kabhi hoa hi nahi Gira dia to ne Mujhe Us k liy.
Tuesday, 28 February 2012
Bil-aakhir thak k yaaro "Hum ne bhi Tasleem kiya,
Apni zaat se ishq hai sacha, baqi sab afsaanay hain.
Aisa nahi k Hum ko Mohabat nahi mili,
Haan jaisi chahte the wo qurbat nahi mili,
Milne ko zindagi mai kayiHumsafar milay,
Lekin Tabiyatton se tabiyatt nahi mili,
Chehron k har hajoom mein Hum dhondte rahey,
Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili,
Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak Hamien,
Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili,
Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila,
koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili.
Uss ko maloom hay, ke uss bin hum toot jate hain,
Phr kiyon wo azmaata hai Hum ko, bichar bichar kar..
IN AANSUON KO APNA MUQADDAR BANA LIYA..
TANHAIYO KI RAAH ME EK GHAR BANA LIYA..
SUNA HAI YAHAN PATTHARO KO PUJTE HEIN LOG.
IS WASTE IS DIL KO PATHAR BANA LIYA.
Kuch Aisa Ho Yeh Shaam Dhale.
Koi Haath Me Thame Haath Mera.
Koi Le K Mujh Ko Saath Chale.
Koi Baithe Mere Pehlu Me Mere Haath Pe Apna Hath Dhare.
Aur Ponch Ke Aansu Ankhon Se Woh Dheere Se Yeh Baat Kahe.
Yun Tanha Safar Ab KatTa Nahi Chalo Hum Bhi Tumhare Saath Chalain.
Monday, 27 February 2012
Sunday, 26 February 2012
Mila k haath ek roz khud hi daaman churh liya usne,
Wahi ladki jo kabhi aagosh me sone ki zid karti thi…
Zara si zindagi hai Arman bohat hain.
Arman bohat hain.
Hamdard nhi koi
Insaan bohat hain.
Dil ka dard sunain to Sunain kis ko.
Jo dil k qarib hain
Wo anjan bohat hain.
kuch to sochti mujhe bhulane se pehle.
Mere khat meri tasveerain jalane se pehle.
Tere haath kyun nahi kaanpe.
Kisi aur ki menhdi lagane se pehle.
Teri Aankh bhi na barsi sanam.
Mera pyar dil se mitane se pehle.
Kuch waday kuch qasmain khayi theen tum ne.
Gairon ki saij sajane se pehle.
Meri zindagi main koi gham na tha .
Us bewafa k ane se pehle.
Kuch Is Liye RATON Ko Sona Chor Diya Hum Ne.
< DosT >
AgAr Who KHWaB Me B BichR Gaya To MAR Jayenge Hum...
Tum to bicher gaye magar sapnay wohi rahay,
Maosam badal gaye magar manzar wohi rahay,
Hoti rahin sergoshian tanhaioun k saath,
Lehrain badal gaien magar sahil wohi rahay,
Kuch aisay taqdeer ne faisley kiye,
Duaien badal gaien magar daman wohi rahay
Hum chah k b umar bhar nashad hi rahay
Umr beat gai magar jazbay wohi rahay
Kia hua jo rishtoon ki pehchan badal gayi
Wasi
Hum b wohi rahay aur tum b wohi rahay...
Saturday, 25 February 2012
Milo K aj Koi Baat Ru-Baru Kar Len.
Ye Q Hen Durian Kuch Is Pe Guftugu KarLen
Karen ge Phir Ziyarat Tumhare Chehre Ki
K Pehle Ankh Ko Ashko Se Ba-Wuzu Kar len
Zara Khayal Na Aye Humein Bicharne Ka
Diloon Mein Peda Koi aesi Arzu Kar len
Taveel Fasle Simat B Skte Hen
Bus Ek Bar Jo Thori si Justju Kar Len...!
Tum to bicher gaye magar sapnay wohi rahay,
Maosam badal gaye magar manzar wohi rahay,
Hoti rahin sergoshian tanhaioun k saath,
Lehrain badal gaien magar sahil wohi rahay,
Kuch aisay taqdeer ne faisley kiye,
Duaien badal gaien magar daman wohi rahay
Hum chah k b umar bhar nashad hi rahay
Umr beat gai magar jazbay wohi rahay
Kia hua jo rishtoon ki pehchan badal gayi
Wasi
Hum b wohi rahay aur tum b wohi rahay...
Mat kr kisi se pyar itna Ke wo pyar Teri zindagi ban jaye.
"dost"
Tu ye kese bhool gaya
K zindagi kabi kisi se wafa nahi karti.
Tere Naam Se Teri Zaat Se, Mere HumSafar kOi Gila Nahi
Jo Zakhm Mila Tere Hijr Se, Wo Phir Kabhi Sila Nahi
Barre Shauq Se, Barre ChaaO sE Main Ne Naam Tera Rakha Wafa
Mere Hum Nasheen Mere Hum Nawa, Tu Ne Ki magr Wafa Nhi
Teri Yaad Mein hOn Dar-Ba-Dar TuJhe Dhoondta Main Shehar Shehar
Kisi Or Ka Na Main Ho Ska, Jb Tu Hi Mujh Ko Mila Nahi
Kal Raat Meri Chand Se Baatein Teri hOti Raheen
Wo B Raat Bhar Jagta Raha, Main B Raat Bhar Soya Nahi.
Friday, 24 February 2012
Main uske chehre ko dil se utar deti hoon,.
Main kabhi kabhi to khud ko bhi mar deti hoon,
Ye Mera haq hai ke me usko thora dukh b doon,
Main chahat bhi to use beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soojhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon.
Thursday, 23 February 2012
Wafa K Zikar Mein udas Mujhy Guman Hua,
Wo Dard Ishq, Wafaoon Ko Kho Chuka Ho Ga,
Jo Mere Sath Mohabat Mein Hadd-E-Junun Tak Tha,
Wo Khud Ko Waqt K Pani Se Dho Chuka Ho Ga,
Meri Awaaz Ko Jo Saaz Kaha Karta Tha,
Meri Aahon Ko Yaad Kar K So Chuka Ho Ga,
Wo Mera Pyar, Mera
Chain-O-Qaraar,
Jafa Ki Hadd Mein Zamany Ka Ho Chuka Ho Ga,
Tum Us Ki Raah Na Daikho Wo Ghair Tha.
Bhula Do Us Ko Wo Ghairon Ka Ho Chuka Ho Ga.
Tujhe bhulany ki koshish to bohat ki
"Ae bewafa"
Teri Yadain gulab ki wo shaakh hain jo roz Mehakti hain
Wo Aksar Bhool Jane Ki Shikayat Hum Se Karte Hain,
Wasi
Main Jis Ko Yaad Rakhne K Siwa Kuch Bhi Nahi Krta.
Wednesday, 22 February 2012
Abhi Tum ishq Mat Karna,
Abhi Mitti Se Khelo Tum
Tumhari Umer Hi Kya Hai
Abhi Masoom se Ho TuM..!
Nahi Maloom Abhi Tum Ko K
Jab Ye ishq Hota Hai
To insan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi tum Ne Nahi Dekha
K Jab Saathi Bicharrtay Hain
To Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mosam Mein
Hazaron Gham Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Miltay Hain
Suno..!
Abhi Tum ishq Mat Krna
ABhi Masoom se Ho TuM.
Tuesday, 21 February 2012
Dil Main Afsoos Aankhon Main “NAMI” Si Rahti Hai,
Zindagi Main Shayad Koi "KAMI" Si Rahti Hai,
Mujh Se Rooth Jatay Hain Aksar Meray Dost "WASI"
Shayad Mere Khaloos Main Koi "KAMI" Si Rahti Hai.
Kabhi to aasman se chand utre jaam ho jaye.
Tumare naam ki ek khoob sooret shaam ho jaye.
Mujhe maloom hai uska thikana phir kahan hoga.
Parinda aasman choone main jo nakaam ho jaye.
Ajab halet main yun dil ka sauda hogaya aakhir.
Mohabbat ki haveli jis tareh neelam ho jaye.
Main khud ahtiyatan us taref kam guzarta huin.
Koi masoom kyon mere liye badnaam hojaye.
Ujale apni yadon k hamare saath rahne do.
Na jane kis gali me zindgi ki shaam ho jaye.
Teri Yaadon Kaa Wo Aalaam Nahin Hai,
Magar Dil Ki Udaasi Kam Nahin Hai.
Hamen Bhi Yaad Hai Wo Marg- E-Tamannaa,
Magar Ab Fursat-E-Maatam Nahin Hai,
Hawaa-E-Qarb-E-Manzil Kaa Buraa Ho,
Firaaq-E-Hamsafar Kaa Gham Nahin Hai,
Junoon-E-Paarsaai Bhi To Naaseh,
Meri Deewaangi Se Kam Nahin Hai.
Ye Kyaa Gulshan Hai, Jis Gulshan Mein Logon,
Bahaaron Kaa Koi Mausam Nahin Hai,
Qayaamat Hai Ke Har Mai- Khwaar Pyaasaa,
Magar Koi Harif-E-Jam Nahin Hai,
Salibon Pe Khinche Jaate Hain Lekin,
Kisi Ke Haath Mein Parcham Nahin Hai,
"Faraz" Is Qaht-Zaar-E-Raushni Mein,
Chiraaghon Ka Dhooaan Bhi Kam Nahin Hai.
Kyun Tabiat Kahin Thaharti Nahin.
Dosti To Udaas Karti Nahin.
Hum Hamesha Ke Sair-Chashm Sahi.
Tujh Ko Dekhen To Aankh Bharti Nahin.
Shab-E-Hijraan Bhi Roz-E-Bad Ki Tarah.
Kat To Jaati Hai Par Guzarti Nahin.
Ye Mohabbat Hai, Sun, Zamaane, Sun.
Itni Aasaaniyon Se Marti Nahin.
Jis Tarah Tum Guzaarte Ho Faraaz.
Zindagi Us Tarah Guzarti Nahin
Ab K Hum Bichre To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Milen,
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Men Milen,
Dhondh Ujre Hue Logon Mein Wafaa Ke Moti,
Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Mein Milen,
To Khudaa Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisaa,
Donon Insaan Hain To Kyun Itne Hijaabon Mein Milen,