kuch peechey ruk gaye to kuch aagey nikal gaye.
haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui.
jitney wafaa ke peikar they saarey pighal gaye.
waadon ke taarey raaton sey baahar na jaa sakey.
iraadon k din nikalney sey pehley hi dhal gaye.
wafaaon ke rang shabnam ke qatron ney dho deeye.
Mohabbat ke phool jazbon ki shiddat sey jal gaye.
taanon ke teer dunya ki kamaanon pe jab charrhey.
sabar ke daaman haathon sey yakdam phical gaye.
aankhein khulein to khaabon ko bura laga magar.
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaye.
pehley pehal to ajeeb lagey badley huwe chehrey.
phir yun huwa ke waqt ke saath "Hum" bhi sambhal gaye.
No comments:
Post a Comment