Friday 20 January 2012

Faslaa gar barhay to bataya karey.

Faslaa gar barhay to bataya karey.

Koi to raasta phir dikhaya karey.

Reet per jab mera naam likha karo.

Phr lehar se kaho na mitaya karey.

Aaj tak wo mehak saans may hai basi.

Phool baalon may woh na sajaya karey.

kiyun hawain jhagarti rehien baam se.

baat sachi humain wo bataya karey.

neend se rooz hoti larrai hai ab.

ab meray khuwab may wo na aaya karey.

hai andehron se pur raastay ye kathin.

kehkashan koi to yahan sajaya karey.

No comments:

Post a Comment