Tuesday 17 January 2012

"SANSON" se mil ker "SANSEIN" chalein teri kahin per bhi,,

"SANSON" se mil ker "SANSEIN" chalein teri kahin per bhi,,

Terey "SANS" ki khushboo ab bhi mujh me rehti hai.....

Tu "BHOOL" Gia hoga muj ko main kon thi,,

Per teri "YAAD" Sanam ab bhi mujh me rehti hai.

Jo "HUM" ne "TUM" ne mil ker bitae they "LAMHEY"

Un "LAMHON" ki "MEHEK" ab bhi mujh me rehti hai.

Terey "KADMON" k nishan pe ab bhi roz chalti hon,

Guzrey "RASTEY" ki dhool ab bhi mujh me rehti hai.

Labon se Lab milney ki chah ab bhi yad ho ge tujhe,

Terey Labon ki chahat ab bhi mujh me rehti hai.

"DHOOAN" sa phel gea her simt terey janey k baad,

Terey chorney ki "KASAK" ab bhi mujh me rehti hai.

Jo milney ka hota "IMKA'AN" hum bula lete tujh ko,

Tuj se milne ki "CHAH" ab bhi mujh me rehti hai.

Daikhti rehti hon aty jaty tere "GHER" ke Raah,

Mazi ki wo "DAASTAN" ab bhi mujh me rehti hai.

No comments:

Post a Comment