Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai.
Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main.
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai..
Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska.
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai.
Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha.
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai.
Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha.
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai.
Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they.
Band aankhon se usko jata dekh liya hai.
No comments:
Post a Comment