Sunday, 1 April 2012

Harf-e-Ranjish Pe koi Baat Bhi ho Sakti hai.

Harf-e-Ranjish Pe koi Baat Bhi ho Sakti hai.

Ain Mumkin hai Mulaqaat Bhi ho Sakti hai.

Zindagi Phool hai Khushbu hai Magar Yaad Rahe.

Zindagi Gardash-e-Halaat Bhi ho Sakti hai.

Hum Ne ye Soch K Rakha Tha Qadam Gulshan Me.

Lala-o-Gul mein Teri Zaat Bhi ho Sakti hai.

Chaal Chalte huwe Shtranj ki Baazi k Usool.

Bhool Jao ge to Phir Maat Bhi ho Sakti hai.

Aik to Chat ke Bina Ghar hai Hamhara "Mohsin"

Us pe Ye Khauf K Barsaat Bhi ho Sakti hai.

No comments:

Post a Comment