Saturday, 28 April 2012

Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain.

Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain.



Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain.



Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho.



Osi ki aarzo main hum zamana bhool jatay hain.



Chhupa kar baith jatay hain naseebon ka diya zaiwer.



Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain.



Bas apni zaat main kho kar apna hi ziker karna.



Kisi doojay ka koi gham othhana bhool jatay hain.



Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main.



Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain.



Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko.



Khatam karkay wafa'on ka zamana bhool jatay hain.



Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main.



Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain.



Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ki halat ko..



Magar apni khata'on ko dikhana bhool jatay hain.



by Shaukat Ali Khan

No comments:

Post a Comment