ek shakhs andheron mein ujaloon ki tarha tha,
khawabon ki tarha tha na khyalon ki tarha tha,
wo ilm-e-ryazee k sawalon ki tarha tha,
uljha huwa aisa k kabhi suljhay ga nahi
suljha huwa aisa k misalon ki tarha tha,
wo mil to gya tha magar apna he muqadar,
shatranj ki uljhi huee chalon ki tarha tha,
wo rooh mein khushbu ki tarha ho gya tehleel,
wo door bohat chaand k halon ki tarha tha.
No comments:
Post a Comment