Monday 5 September 2011

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon

ghambheer andheron mein sahar dekh rahi hon

Dil ka sahar o shaam tarapna woh machalna

dekha nahi jaata hay magar dekh rahi hon

Ghabra k palat jaaon meray bus mein nahi hai

go samnay anjam e safar dekh rahi hon

aankhon mein idhar ashk udhar aag hay dil mein

barsaat mein jalta hoa ghar dekh rahi hon

Afsurda si lagti hay mujhay bazm e sukhan bhi

aazurda mein Tum ko jo QAMAR dekh rahi hon

No comments:

Post a Comment