Aaj Kuch To Faisla Kar
Jeene De Mujhe Apne Saath
Ya Phir Mujhe Khud Se Juda Kar,
Bebasi Ki Zindagi Na Mujhe
Manzoor Hai Na Tujhe
Phir Chup Se Kyon Rehte Ho,
Kuch To Kehne Ka Hausla Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,
Manzil Jab Dono Ki Ek Hi Thi To,
Alag-Alag Raahon... Par Aakhir
Kyon Chal Pade,
Jo Hua So Hua,Ab Chal Saath
Mere
Dono Ki Ab Ek Hi Zameen-
Aasman Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,
Jahan Rukh Jaayenge Safar Mein
Usse Hi Apni Manzil Samaj Lenge
Ab 'Khwaish" Se Na Koi Faasla
Kar,
Jaanta Hoon Is Duniya Mein
Phoolon Ki Kadar Bahut Hai Par
Kabhi To Kaanto Se Bhi Pyaar
Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,
Har Shaks Ki Apni Apni Nazar,
Apni Apni Soch Hai
Kaun Kya Sochega?
Aisi Baaton Se Khud Ko Na Yuh
Bezaar Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,
Zindagi Ki Raahon Mein Bahut Se
Log Milenge Tujhe
Par Kya Koi Humsa Mil Paayega?
Aaj Apne Dil Se Yeh Sawaal Kar,
Jeene De Mujhe Apne Saath
Ya Phir Mujhe Khud Se Juda Kar
Par Aaj Kuch To Faisla kar....!
No comments:
Post a Comment