Nafrat ho ya Mohabbat, Aasaan nahin hoti.
Aansoo khushi ke gham ke, hote hain ek jaise In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti
Har baat hai vahi par Matlab badal gaye hain
Dil dagmagaa gaya tha par hum sambhal gaye hain
Aise bhi aate hain din, jeete hain log lekin
Hota hai aur sab kuch, par jaan nahin hoti
Hote hai is jahan Mein Chehre bhi ek jaise
Ghoonghat bhi ek jaise, sehre bhi ek jaise
Sab jaanti hain Nazrein, pehchaanti hai Nazrein
Apni paraayi Soorat anjaan nahin hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaaye jab akela
Rehta hai saath iske yaadon ka ek mela
Duniya bhi chhoot jaaye, har Aas Toot jaaye
Mehfil kabhi yeh dil ki veeran nahin hoti
Har ek Muskuraahat Muskaan nahin hoti.
Nafrat ho ya Mohabbat, Aasaan nahin hoti.
No comments:
Post a Comment