Friday, 30 September 2011

Shaayad koi Taraash Kar Kismat Sanwaar De.

Shaayad koi Taraash Kar Kismat Sanwaar De.....!

Ye Soch Kar mein Umar Bhar Pathr Bana Raha....!

"Nazuk" Mizaaj Hai Wo Itna

"Nazuk" Mizaaj Hai Wo Itna K Kuch Na Pocho
"WASI"

"Suna" Hai Usay Neend Nahi Ati Apni Dharknon K Shor Se..

Thursday, 29 September 2011

Hansi Aati Hai Mujhy Hasrat-E-Insan Par,

Hansi Aati Hai Mujhy Hasrat-E-Insan Par,

Gunah Karta hai khud, Laanat Bhejta Hai Shetaan Par..
(Allama Iqbal)

Wednesday, 28 September 2011

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,

K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon.

Gali Kochon Mein Sannata bohut Hai,

Na Milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,

Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,

In Aankhon Ne Tujhe Dekha bohut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,

Abhi Shayid Mujhe Rona bohut hai,

Tujhe Maloom To hoga Mere humdum,

Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!!!

Tuesday, 27 September 2011

MAHABBAT Bhi "AJEEB" Cheez Banai Hy Tu Ny,,

MAHABBAT Bhi "AJEEB" Cheez Banai Hy Tu Ny,,

<*AY~KHUDA*>

Teri Hi "MASJID" Men,
Tery Hi "BANDAY"
Tery Hi "SAMNAY"
"ROTAY" Hen Kisi Or K Liye.!!

Mujhko ruswa sarr e mehfil to na kerwaya kary

Mujhko ruswa sarr e mehfil to na kerwaya kary

kaash aansu Meri aankh mai hi reh jaya kery

Ae hawa mane to bs uska pta pucha tha

Ab kahani to na hr baat ki bn jaya kery

Bus boht dekh liye khawab suhaany din k

Ab wo baton ki rafaqat se na behlaya kary

Ik Museebat to nahi tooti hai so is dil par
Jis qayamat ne guzrna hai guzar jaya kary

Jis k khawabon ko mai aankhon mai saja ker rakhun

Uski khushbu kbhi Mujhko bhi to mehkaya kary

Monday, 26 September 2011

Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi

Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi



WAFA HAI ZAAT AURAT KI



Magar Jo Mard Hote Hain Bohat Be-Dard Hote Hain



Kisi Bhanwre Ki Soorat Gul Ki Khushbu Loot Lete Hain



Suno Tum Ko Qasam Meri ! Riwaayat Tor Dena Tum

Na Tanha Chhor Dena Tum

Na Ye Dil Tor Ke Jaana



Magar Phir Yun Hua Hamdam



Mujhe Anjaan Raste Par Akela Chhor Kar UsNe



Mera Dil Tor Kar UsNe



Muhabbat Chhor Di UsNe



"WAFA HAI ZAAT AURAT KI Riwaayat Tor Di UsNe

Koi Mujhko Mera bharpoor saraapa la dey

Koi Mujhko Mera bharpoor saraapa la dey

Mere baazoo Meri aankhen Mera chehra la dey

Aisa dariya jo kisi aur Samandar mai girey

Is se behter hai k Mujh ko Mera sehra la dey

Kuch nahi chahiye Tujh se Meri ae umr-e-rawan

Mera bachpan Mere jugnoo Meri guria la dey

Jiski aankhen Mujhe ander se bhi parh sakti hon

Koi chehra to Mere sheher mai aisa la dey

Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se

Ae Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey

Sunday, 25 September 2011

Agar wo pyaar kar laiti

Agar wo pyaar kar laiti



Mera daaman pakar laiti



To jeevan main faqat us say Mohabbat farz ho jaati



Mohabbat qarz ho jaati



Magar Acha kiya us nay Mujhe samjha kay chal nikli



Mujhe thukra kay chal nikli



Bohat Nadaan si hai wo Abhi anjaan si hai wo



Kahan ma'loom hai us ko Mohabat zindagi main bus Faqat ik baar milti

hai



Agar thukra kay chal niklain To umrain beet jaati hain



Mohabbat ki tamanna me Har aik rastay pay Sirf ruswaaii milti hai



Faqat tanhaai milti hai

Saturday, 24 September 2011

Wafaa k Qaid Khano Mein Sazayen kab Badalti Hain

Wafaa k Qaid Khano Mein Sazayen kab Badalti Hain

Badalta Dil ka Mosam Hai Hawayen kab badalti Hain

Libada Aurrh kr Gham ka Nikal jate Hain Sehra ko

Jawab Aye k Na Aye Aadayen kab Badalti Hain

Koi pa kr Nibhata Hai Koi kho kr Nibhata Hai

Naye Andaaz Hote Hain Wafayen Kab Badalti Hain !!

Friday, 23 September 2011

Ab Tak Wahan Utartey Hain Khushbuo’n k Qaafley

Ab Tak Wahan Utartey Hain Khushbuo'n k Qaafley



Bhoolay Sy Likh Dia Tha Tera Naam Jis Jaga

Ek Aarzoo hai puri parwardigar kare,

Ek Aarzoo hai puri parwardigar kare,



Main dair se jaon wo Mera intzar kre.



Apne hathon se Sanwarun zlfein uski,



Wo shrma kr Mohabbat ka iqrar kre.



Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men,



Or josh-o-janun men Mohabat ka izhar kre.



Ho shab-e-wisal aesi ya RAB!,



K bheegi zulfon se Mujhe bedaar kre.



Jab use chor k jana chahun Wasi,



Wo roke or ik raat ka israr kre,



"Qasam khuda ki Main kisi or ki ho nhi sakti",



Ye wada-e-wafa wo bar bar kre."

Wednesday, 21 September 2011

Aye khuda aaj yeh faisla karde

Aye khuda aaj yeh faisla karde
Use Mera ya Mujhe uska karde

Bahut dukh sahe hain Main ne Zindagi me
Koi khushi ab to Mera Muqaddar kerde

Bahut Mushkil lagta hai usse door rehna
Judai k is safar ko kam karde

Jitna door chala gaya hai woh Mujh se
Use utna hi Mere kareeb karde

Nahi likha agar Mere Naseeb me uska naam

To Khatma kr zindagi Meri.
Aur Mujhe Fanaa karde

Mere pagal Piya Meri chahat na kar



Mere pagal Piya Meri chahat na kar Mujhey dekha na kar
Mujhe sochaa na kar.
Meri Be.Khawab Aankhon mein na janka kar

Mein to khoo jao gi Mujhey dhoonda na kar…
Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi

Mein hun Aesi Ghatta jo barasti nahi
Mien Aesi leher hun jis mein Halchal na ho
Na tum ko Dabo dey ye lehrein kahein
Mere pagal Piya Aesi khawaesh na kar

Mein woh sapna hun jo k sach na ho

Mein woh Umid hun jo k adhoori rahey

Mein woh rasta hun jiski na manzil miley

Mein woh sehraa hun k jis mein Bhatak jao ge

Mere pagal Piya Aese raste pe na chal

Mein Aesi kiran hun jo k be- noor hai

Mein to woh sep hun jiss mein moti na miley

Mein to woh khooshbo hun jiss ko bikar jana hai

Mere pagal Piya mera picha na kar

Mein to woh shaam hun jo k dhal jaye gi

Teri Tareef Karte Hai To IsMe Kya Burayi Hai,

Teri Tareef Karte Hai To IsMe Kya Burayi Hai,

Khuda Ne Apne Hathonse Teri Surat Banayi Hai,

Hazaron Ki Tarah Sunle Teri Ruswai Ke Dar Se,

Teri Tasveer Humne Kitabon Mein Chhupayi Hai,

Teri MasooM Surat Ki Yehi Tarif Hai Sun Le,

Zubaan Pe Hai Yehi Sab Ke Khudayi Hai Khudayi Hai,

Marz Ye IshQ Ka Aisa Laga K Phir Nahi Chhuta,

Dua Bhi Humne Ki Dawa Bhi Aazmaayi Hai...

Monday, 19 September 2011

Maut Ki Reh Guzar Mein Hoti Hai,



Maut Ki Reh Guzar Mein Hoti Hai,

Zindagi Jab Safar Mein Hoti Hai
.
Unke Ghar Mein Chiraagh Jalte Hain,

Roshni Mere Ghar Mein Hoti Hai.

Kya Mohabbat Isi Ko Kehte Hain,

Kyun Yeh Sozish Jigar Mein Hoti Hai
.
Unka Ana Hai Maut Ka Aana,

Zindagi To Khabar Mein Hoti Hai.

Kya Zaroori Ke Esi Dil Mein Ho,

Jesi Nafrat Nazar Mein Hoti Hai.

Jo Bhi Kehna Hai Saaf Saaf Kaho,

Mujh Ko Uljhan Agar Mein Hoti Hai.

Pani Hota Hai Ankh Mein Manzar,

Aag Bhi Chashm e Tar Mein Hoti Hai.


Har ek Muskuraahat Muskaan nahin hoti.

Har ek Muskuraahat Muskaan nahin hoti.

Nafrat ho ya Mohabbat, Aasaan nahin hoti.

Aansoo khushi ke gham ke, hote hain ek jaise In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti

Har baat hai vahi par Matlab badal gaye hain
Dil dagmagaa gaya tha par hum sambhal gaye hain

Aise bhi aate hain din, jeete hain log lekin
Hota hai aur sab kuch, par jaan nahin hoti

Hote hai is jahan Mein Chehre bhi ek jaise
Ghoonghat bhi ek jaise, sehre bhi ek jaise

Sab jaanti hain Nazrein, pehchaanti hai Nazrein
Apni paraayi Soorat anjaan nahin hoti

Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaaye jab akela
Rehta hai saath iske yaadon ka ek mela

Duniya bhi chhoot jaaye, har Aas Toot jaaye

Mehfil kabhi yeh dil ki veeran nahin hoti

Har ek Muskuraahat Muskaan nahin hoti.

Nafrat ho ya Mohabbat, Aasaan nahin hoti.

Sunday, 18 September 2011

Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge




Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge

Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila to sochenge

Sara sheher shanasai ka , dawedar to hai lekin

Kon hamara apna hai , waqt mila to sochenge

Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo

Us ne likh ker bheja hai , waqt mila to sochenge

Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein

Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge

Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki

Mashwara uska acha hai ,waqt mila to sochenge

Teri Har Nazar Kisi Aur Ki

Teri Har Nazar Kisi Aur Ki

Meri Zindagi Teri Bandagi

Teri Zindagi Kisi Aur Ki

Kabhi Waqat Jo Mille Tujhe

Zara Aa k Dekh Mere Hal Ko

Meri Har Ghari Tere Liye

Teri Har Ghari Kisi Aur Ki

Mujhe Sirf Teri Talab Thi Par Jane Mujhe Tu Kyun Na Milla

Tu Usse Milla Mere Sanam Jise Thi Talab Kisi Aur Ki

Saturday, 17 September 2011

Dil Pe Aise Bhi Azaabon Ko Utarte Dekha

Dil Pe Aise Bhi Azaabon Ko Utarte Dekha

Hum Ne Chup Chap Use Khud Se Bichhadte Dekha

Usko Socha To Har Ek Soch Mein Khushboo Utri

Usko Likha To Har Ek Lafz Mehakte Dekha

Yaad Aa Jaye To Qaboo Nahi Rehta Dil Par

Warna Duniya Ne Na Kabhi Humko Tarapte Dekha

Teri Surat Ko Faqat Aankh Nahi Tarsi Hai
Raaston Ko Bhi Teri Yaad Mein Rote Dekha

Hum Mohabbat K Liye Aaj Bhi Deewane Hain

Yeh Alag Baat Hai K Tum Ne Nahin Morr Kar Dekha

Jab bhi aati hain khayalon main Tumhari aankhen,

Jab bhi aati hain khayalon main Tumhari aankhen,

Bheeg jati hain kisi ghum se hamari aankhen.

Dhal gai shaam andehre ne tani phir se apni chadar,

So gaien thak k Tere hijjar ki maari aankhen.

Tum Mere pass nahi phir bhi Tumhara chehra,

Sochti rehti hain ye dard ki maari aankhen.

Silsila toot bhi sakta tha barsaat ka kabhi,

Thaam leti mere ashkon ko Tumhari aankhen.

Hum isi aas pe aankhon ko khula rakhte hain,

Laut aain na kisi rooz Tumhari aankhen.

Gaate gaate hamain ik shakhs ki yaad aati hai,

Bheeeg jaati hain ser-e-bazam hamari aankhen.

Jaane kya baat hai kyon dekhti rehti hain,

Meri aankhon ki taraf shehar ki saari aankhen

Friday, 16 September 2011

Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai

Tum Ne Poocha Hai ke Dukh kiya Hota Hai
To Suno
Aisa Karna Kabhi kisi ko Chahna aur Chahate Hi Rehna...

Din Bher uss ko Sochte hi Rehna....

Apne Haath ki Lakeeron mein uss ka Naam Tarashte hi Rehna...

aur Jab kabhi Wo, in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey, samne aaey to .......
Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena. Ager Wo kuch kahey to,
Muskura ker Anjaan Ban Jana.
Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to... Apne Ander Jhankna,
aur, Khud se Poochna ....Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga, K....
Dukh kisko kehtey Hain.
aur... Dukh kiya Hota Hai.

Na Wajod apna, Na rooh apni

Wajood apna, na rooh apni

Bas ik tamasha ye zeest thehri,

Na dil'lagi mein sakon paia,

Na ashqi mein qarar paia,

Na wasl lamhy hi raas aaye,

Na firaq hi hum guzar paey,

Ajab ye chaht k marhaly hain,

Na jeet paey,
na haar paey,

Na hi yadon ki dhund utri,

Na dil k daman ko jhar paye,

Na ankhein khawbon ko dhond paien,

Na khawb ankhon ko dhond paye,

Bs ik tamasha ye zeest thehri

Na Wajod apna, Na rooh apni..

Thursday, 15 September 2011

Chandd Maasum se patto’n ka lahu hai

Chandd Maasum se patto'n ka lahu hai



Mohsin



jisko Maheboob k hatho'n ki hina kahte hai,

Bicharnay Waalay Tujhay Khabber Hai

Bicharnay Waalay Tujhay Khabber Hai

K Tairay Jaanay se Mera Jeevan Hazaar Khanoon main Batt Gaya Hai!

Tujhay Khabber Hai Bicharnay Waalay!

K Meri Khushiyan hi Kho Gai Hain Main Kitna Tanha Sa Ho Gaya Hoon
Wajood Maira Tu Iss Safar Main Yeh Daikh Zakhmoon se Att Gaya Hai

Main Sochta Hoon! Mager Yeh Sochain, Kyun Aik Nuqtay Pe Jamm Gai Hain,
Mujhay Yeh Mehsoos Ho raha Hai!
K Jaisay Saansain He Thamm Gai Hain

Mujhay Bata Day Bichrnay Waalay!

K Khud ko Kaisay Sambhalna Hai
Hijar K Rastooon Pe Chaltay Chaltay!
Yeh Mairay Paaon Laho main Terr Hain
Yaqeen Ker Lay Main Thakk Gaya HooN

Bicharnay Waalay! Tujhay Khabber Hai

Main Kab ka Khud Se Bicharr Chukka Hoon

Chal Chalte Hain Us paar Sanam.....!

Chal Chalte Hain Us Paar Sanam

Jahan Lehron ki Khmoshi Ho

Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho

Jahan Jazbon Ki Behoshi Ho

Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho

Ik Nai Aas Lgany Ko

Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko

Chal Chalte Hain Us Paar SaNam Jahan

Aasan Sari Rahain Hon

Jahan Ik Doje ki Banhain Hon

Jahan Lab Pe Sard c Aahain Hon

Jahan pyar Ki kuch Pnahain Hon

Chal Chalte Hain Us paar Sanam.....!

Wednesday, 14 September 2011

Kisi ki khaatir qaraar khona, koi Sune ga to kya kahe ga.

Kisi ki khaatir qaraar khona, koi Sune ga to kya kahe ga.

Tumhara Raaton ko uth k Rona, koi Sune ga to kya kahe ga.

Zamana ehd-e-shabaab ka hai, Naye khuwab-o-khayal ka hai.

yeh shab'bedaari aur din ka Sona, koi Sune ga to kya kahe ga.

Bhanwar mein Tum Mujh ko chor aatey, yunhi mohabbat ka raaz rehta.

Laa k saahil pe yun dubona, koi Sune ga to kya kahe ga.

Kaha yeh main ne daro Khuda se, Hamare dil ko dukha rahe ho.

woh hans k bole chup Raho na, koi Sune ga to kya kahe ga.

Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi

Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi

Na rok haath k ghum be-hisaab hai Saaqi

Shau'ur zehen ko dasta hai naagino ki tarah

Pila! k hosh mein rehna azaab hai Saaqi

Sakun hayat ka chota sa baab hai piyaare

Sukun k baab mein poori kitaab hai Saaqi

Gham-o-Alam ka, musarrat ka, shaadmani ka

Har ik sawaal ka bus ik jawaab hai, Saaqi

Mubaada kaan dharun naasihon ki baaton par

Behak na jaaon, zamana kharaab hai Saaqi

Tuesday, 13 September 2011

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay

Hum ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisay

Wo shakhs to yaklakht hi hat jata tha peechHay
Hum TooT k qadmon main bikhartay bhi to kaisay

Ilzaam ye aata k Tujhay bhool gaye thay

Aye dost! Tujhay yaad jo kartay bhi to kaisay

Kia khaak Muqaddar se koi Hum ko gila ho

BigRon k Muqaddar thay, sanwartay bhi to kaisay

Mehroom hi rehtay jo Tere radd- e-amal say

Aye jaan! Tere pyaar main martay bhi to kaisay

Jeevan hi guzara tha thapairon main jo Hum nay

Hum ab kisi Toofaan se Dartay bhi to kaisay

Ek paaki-e-damaan pe sada Naaz raha tha

Darya-e-muhabbat main utartay bhi to kaisay

Har roz ki zillat bhi gawara to nahi thi

Us raah se Hum Roz guzartay bhi to kaisay

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahi daiti

Dunya! Tera Tawaan jo bhartay bhi to kaisay

Bach kar na nikal paaye Saraab ishq se un kay

Dooba tha samandar main, ubhartay bhi to kaisay.

Monday, 12 September 2011

Aansuon ka hisaab rakhta hai

Aansuon ka hisaab rakhta hai

Dil mein kitne azaab rakhta hai.

jane kis ki hai Qabar wo jis par

Roz Taazaa Gulaab rakhta hai.

jaag kar kat'ta hai shab aksar

Phir bhi palkon pe khwaab rakhta hai.

Choota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

Choota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye

Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne

Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye

Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka

Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se

Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath

Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye

Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka

Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki

Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye

Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad

Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi

Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa

Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish

Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Sunday, 11 September 2011

Mohabbato’n Main Hawas k Aseer Hum B Nhi

Mohabbato'n Main Hawas k Aseer Hum B Nhi



Ghalat Na Jaan, K Itne haqeer Hum B Nhi



Humari Doobti Nabzo'n Sy Zindagi To Na Maang

Sakhi Tu Hyn Lekin Itny Ameer Hum B Nhi



Humai'n Bujha De, Yun Humari Anaa Ko Qata Na Kr



Be-Zarar Sahi 'MOHSIN' Be-zameer Hum B Nhi …

Saturday, 10 September 2011

Mohabbat Na Rahe Tou Phir Raha Kuch Bhi Nahi Kerta

Mohabbat Na Rahe Tou Phir Raha Kuch Bhi Nahi Kerta

k Itni Taiz Aandhi Main Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta

Wo Mujh Ko yaad Rakhna Ab Gawara Hi Nahi Kerta

Main Jis Ko Yaad Rakhne K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta

Kaha Tha Tujh Se Nadaan k Zulm Ki Taiz Baarish Main

Siwaye Kachy Makano'n k Gira Kuch Bhi Nahi Kerta …

Mohabbat Humse Na Hogi.

Mohabbat Humse Na Hogi.



Suna hy Is Mohabt me Bohat Nuksan hota hai



Mehakta Jhoomta Jevan Ghamo k Naam hota hai

Suna hai Chain Kho kr Wo Sehr se Sham Rota hai



Mohabbat Jo b krta hai Bohat Bdnaam hota hai



Mohabbat Humse na hogi



Suna hai Is Mohabbat me Kahin bi Dil nahi lgta

Bina Uski Nigahon main Koi Mosam nahi Jachta



Khfa Jis se Mohabbat ho Wo Jevan Bhr nahi Hansta



Bohat Anmol hai Jo Dil Ujjar kar Phir nahi basta.

Mohabbat Humse na ho gi…!

Suno! Zindagi Apni Hans K Basar Kerna

Suno! Zindagi Apni Hans K Basar Kerna



Nafrato'n k Raasty Py Na Safar Kerna



Suno! Wafa Na Ho To Mohabbat Adhuuri Hy



Mohabbat k Safar Main Wafa Ki Fikar Kerna



Suno! Zamana Jitna Bhi Ho humdard Tumhara Zamany Ko Na Shareek-e-Safar

Kerna



Suno! Mohabbat Har Kisi Ka Muqaddar Nahi Hoti



Milay Jo Mohabbat To Us ki Qadar Kerna …

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia



Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia



Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai



Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye Kabhi Main Ne Darya Baha Dia



Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye Meri Bandgi Hai Wo Bandgi



Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia

Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba



Tumain Zindagi Ki Hai Arzu Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,



Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai, .



Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,



Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai, .



Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,



Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai, .



Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,



Aise Logon Se Muraw'wat Bhi Nahi Rakhni Hai, .



Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,



Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai……!!!!

Asar dil per karay shikwa, shikayat ho to aisi ho.!

Asar dil per karay shikwa, shikayat ho to aisi ho.!



Galay lag kar koi roye, Nadamat ho to aisi ho.! …



yehi Mehsus ho jaisay kai sadiyan guzari hain



faqat ek pal ki furqat mein, Aziat ho to aisi ho..!!



Mujhe kanta chubhay aur us ki ankhon se lahu tapke,



Talluq ho to aisa ho, MUHABAT ho to aisi ho.

Mohabat khud batati hai Kahan kiska thikana hai

Mohabat khud batati hai Kahan kiska thikana hai

Kisay aankhon main rakhna hai

Kisay dil main basana hai

Reha karna hai kisko aur Kisay zanjeer karna hai

Mitana hai kisay dil say Kisay tehreer karna hai

Issay malom hota hai Safar dushwar kitna hai

Kisi ki chasm-e-girya main Chupa iqrar kitna hai

Shajar jo girnay wala hai Wo saya daar kitna hai

Mohabbat khud batati hai Kahan kiska thikana hai..!

Friday, 9 September 2011

Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna

Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna

Is Dor Mein Logon Se Wafa Soch Ke Karna

Ik Bar Jo Roothe Hum To Mana Tum Na Sako Ge

Hum Jaise Wafadar Ko Khafa Soch Ke Karna

Gul Shakh Se Bichre To Kahin Ka Nahi Rehta

Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna

Us ne khuda se mangi bhi to meri mout mangi.

Us ne khuda se mangi bhi to meri mout mangi.

Faraz

wo aik bar to hum se aa kar kehtay hum usy dua mangne ki bhi taklef na detey.

Wednesday, 7 September 2011

zamane ko chor aayi thi sirf tere liye

zamane ko chor aayi thi sirf tere
liye
main apnon se moonh moor aayi
thi sirf tere liye
tune meri mohabbat ka aisa sila
diya ke ab soochti hoon
ke kyun apne dil ko dhoka de
aayi thi sirf tere liye ,
aarmaan to mere bhi bahut the
par
aarmaan pura karne wala hi
nahi raha
tasweer teri bana li thi apne
main par tasweer main
rang bharne wala hi nahi raha
khwaab
jo toote to dil bhi toota par dil
ko jorne wala hi nahi raha
ab bhi ro ro ke yaad karti hai
yeh bewafa sirf tere liye
, beet gayi raatein beet gaye din
par neendein urhne wala hi nahi
raha
chand bhi badalon main chup
gaya
taaron ne bhi chamakna band
kar diya par
geet sunanne wala hi nahi raha
dukh to hamein hota hai dukh
tumhein bhi hota hai
par us dukh ko mitane wala hi
nahi raha
ab nishaaniyaan bhi pyaar ki mita
di hain sirf tere liye,

Meray dil mein utro zara zara,

Meray dil mein utro zara zara,
Mujhay holay holay tum pyar do,
Meri tishnagi ko barhaao phir,
Meri be-kali ko qaraar do,
Mujhay harf harf samait lo,
Mujhay lafz lafz shumaar do,
Jo umar bhar na utar sakay,
meri aankh ko woh khumaar do,
Mujhay likh lo dil ki kitaab par,
Meri rooh ko khud mein utaar
lo,
Tum ur-haa k chunri pyaar ki,
Meri Bikhri zulf sanwaar do,
Aao pyaar ke is khail mein, faysal
Tum jeet jao mujhe haar do

Usko Baray khuloos se Samjhaya tha

Usko
Baray khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
magar
Usne khamooshi se
Mere bahte howe ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kehte huowe chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya...!

Aaj Kuch To Faisla Kar

Aaj Kuch To Faisla Kar
Jeene De Mujhe Apne Saath
Ya Phir Mujhe Khud Se Juda Kar,
Bebasi Ki Zindagi Na Mujhe
Manzoor Hai Na Tujhe
Phir Chup Se Kyon Rehte Ho,
Kuch To Kehne Ka Hausla Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,
Manzil Jab Dono Ki Ek Hi Thi To,
Alag-Alag Raahon... Par Aakhir
Kyon Chal Pade,
Jo Hua So Hua,Ab Chal Saath
Mere
Dono Ki Ab Ek Hi Zameen-
Aasman Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,
Jahan Rukh Jaayenge Safar Mein
Usse Hi Apni Manzil Samaj Lenge
Ab 'Khwaish" Se Na Koi Faasla
Kar,
Jaanta Hoon Is Duniya Mein
Phoolon Ki Kadar Bahut Hai Par
Kabhi To Kaanto Se Bhi Pyaar
Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,
Har Shaks Ki Apni Apni Nazar,
Apni Apni Soch Hai
Kaun Kya Sochega?
Aisi Baaton Se Khud Ko Na Yuh
Bezaar Kar
Aaj Kuch To Faisla Kar,
Zindagi Ki Raahon Mein Bahut Se
Log Milenge Tujhe
Par Kya Koi Humsa Mil Paayega?
Aaj Apne Dil Se Yeh Sawaal Kar,
Jeene De Mujhe Apne Saath
Ya Phir Mujhe Khud Se Juda Kar
Par Aaj Kuch To Faisla kar....!

Tujhay kia sunaon mein dil ruba

Tujhay kia sunaon mein dil ruba
Tere samny mera haal hy
Teri ek nigaaha ki bat hy
Meri zindagi ka sawal hy
Tery hu'sn per hy meri nazar
Mujhay subho-shaam ki kia
khabar
Meri shaam hy teri justuju
Meri subho tera khayal hy
Mery dil jigar main sama bhi ja
Rahy kyun nazar ka bhi faasla
K tery baghair to jan-e-jann
Mujhay zindagi bhi muhal hy
Meri her khushi tery dam sy hy
Meri zindagi tery gham sy hy
Tery dard sy rahy b-e-khabar
Mery dil ki kab ye majal hy...!

Suna hoga bohat Tum ne

Suna hoga bohat Tum ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN …
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!

Na Jaane Ye Yaadein Bhi Kya Chiz Hai,

Na Jaane Ye Yaadein Bhi Kya
Chiz Hai,
Jab Aati Hai To Rukne Ka Naam
Hi Nahi Leti,
Jab Nahi Aati To Barson Baras
Tak Nahi Aati,
Kabhi Kabhi Main Sochta Hoon
Jab Hamare,
Apne Hamare Paas Hote Hai To
Hamein,
WaQt Ke Guzarne Ka Ehsaas Tak
Nahi Hota,
Magar Jab Hamare Apne Humse
Door,
Chale Jate Hai Yani Ek Jahan Se
Dusre Jahan,
Ek Sheher Se Dusre Sheher Ek
Ghar Se Dusre Ghar,
Phir Wo Hamein Najane Kyon
Itna Yaad Aate Hai,
Bananewala Aise Rishte Banata
Hi Kyon Hai,
Jis Mein Yaad Naam Ki Koi Shay
Ho,
Jaane Wale To Chale Hi Jate Hai,
Kisike Chehre Pe Muskurahat
Saja Ke,
Aur Kisiki Aankhon Mein
Jhilmilate Aansu Saja Ke,
Wo Sab Baatein Bhool Jaate Hai
Wo Sab Shikwe,
Bhi Khatam Ho Jate Hai Garz Ke
Har Baatein,
Bhula Di Jati Hai Bas Reh Jati Hai
To Inki Yaadein,
Jo Hamesha Yaad Rehti Hai In
Mehki Hui,
Gulabon Ki Tarah Jo Patti Patti
Bankar Bikhar To Jate Hai,
Magar Apni Khushbu Bikher
Jaate Hai...

Rang To Laye Gi Sawan Ki Ghata

Rang To Laye Gi Sawan Ki Ghata
Merey Ba'ad
Tuj Ko Tarpa'ey Gi Sawan Ki
Ghata Merey Ba'ad
Ek Ek Bond Ko Tarsi Hon Magar
Janti Ho
Jhoom Kar Aaye Gi Sawan Ki
Ghata Merey Ba'ad
Yeh Ghata Surkh Hai,Lagta Hai
Kuch Aisa Mujhey
Khon Barsaye Gi Sawan Ki Ghata
Merey Ba'ad
Kis Qadar Garam Hawa Hai K
Badan Toot'ta Hai
Aag Barsaye Gi Sawan Ki Ghata
Merey Ba'ad
Haan Rulaya Hai Bohaat Aur
Sataya Hai Bohaat
Kis Ko Tarpa'ey Gi Sawan Ki
Ghata Merey Ba'ad

Dil Chahta hai Badal ayain

Dil Chahta hai Badal ayain
Ghor andhaira cha jaye
Badal cham cham toot ke
barsain
Sara sheher naha jaye
Main bhi us baarish main
bheegoon
Sab kuch bhool ke nachoon
gaoon
Khulay aasman ke neechay
Darakht main jhoola dal ke
jhooloon
Baarish barasti jaye
Aur main itna bheegoon ke
Saray dukh aur gham aur yadain
Sab us main beh jayain
Har pachtawa aur har sapna
Har khwahish beh jaye
Aay mere Malik!
Kabhi to aisa sawan aye

Zindagi me raste kese b hon guzr jain ge

Zindagi me raste kese b hon guzr jain ge

Ek din hum B chupke se mar jain ge,

Aaj rehte hen doston k dil me ek yad ban k

Kal aanso ban k aankho se nikal jaenge.

Tuesday, 6 September 2011

Yeh barshien b Tum c hain,

Yeh barshien b Tum c hain,

Jo baras gai to bahaar hain,

Jo theher gai to qarar hain,

Kbi aa gai yunhi besabab,

Kbi chaa gai yunhi roz-o-shab,

Kbi shor hain,
kbi chup c hain,

Yeh barshien b tum c hain,

Kisi yaad mei kisi raat ko,
ik dabi hui c rakh ko,
Kbi youn hua k bujha diya,
Kbi khud se khud ko jala diya,

Kahin bond bond mei gum c hain,
Yeh barshien b tum c hain.

Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho

Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka
Aaina Na Kahoo
Ye Zindagi To Hai Rehmat Isay
Saza Na Kahoo
Na Janay Wo Kon C Majboriyon
Ka Qaidi Ho
Wo Sath Chor Gaya Hai To
Bewafa Na Kahoo
Tamam Shehar Ne Nazroon Pe
Kyun Uchala Muje
Yehi It'tfaq Tha Tum Isay Hadsa
Na Kahoo
Ye Aur Baat Ke Dushman Hua
Hai Wo Aaj Mager
Wo Mera Dost Tha Kal Ussay
Bura Na Kahoo
Meray Aaib Mujhe Ungliyon Pe
Ginwao
Meray Peechay Mujhe Bura Na
Kahoo

Monday, 5 September 2011

Main Logo’n Se Mulaqato’n K Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Logo’n Se Mulaqato’n K Lamhy Yaad Rakhta Hoon Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe Jin Logo’n Ki Parti Hyn Nigaho’n k Hawaly Se Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon Zara Sa Hut k Chalta Hoon Zamany Ki Riwa’yat Se K Jin Pe Bojh Main Daalo’n Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha

Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga

jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha

suna hai log ab boht sataty hain usy

main jis ka itna khyal rakhta tha

Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa

Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa

aa phir e mjhy chor k jany k liye aa

pehly se marasim na sahi phir b kabi to

rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa
kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum

tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa

ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden

ye aakhri shammen b bujhany k liye aa

Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz

Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz

Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz

Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane

Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz

Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main

Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein

Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz Apne

sitam dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam dekhein Gay kisi roz

Ye kiya k sab se bayaan dil ki haalaten karani

Ye kiya k sab se bayaan dil ki haalaten karani

`Faraz` tujh ko na aain Muhabbaten karani

Ye qurb kya hai k tu saamane hai aur hamen

Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani

Koi khudaa ho k patthar jise bhi hum chaahen

Tamaam umr usi ki ibaadaten karani

Sab apane apanee qarine se muntazir us k

Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani

Hum apne dil se hain majabuur aur logon ko

Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani

Milen jab un se to mubaham si guftaguu karana

Phir apane aap se so-so vazaahaten karani

Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain

Hamin to raas na aain muhabbaten karani

Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa

Kabhi talaash puraani raqaabaten karani.

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon

ghambheer andheron mein sahar dekh rahi hon

Dil ka sahar o shaam tarapna woh machalna

dekha nahi jaata hay magar dekh rahi hon

Ghabra k palat jaaon meray bus mein nahi hai

go samnay anjam e safar dekh rahi hon

aankhon mein idhar ashk udhar aag hay dil mein

barsaat mein jalta hoa ghar dekh rahi hon

Afsurda si lagti hay mujhay bazm e sukhan bhi

aazurda mein Tum ko jo QAMAR dekh rahi hon

Jis ko aksar socha tha tanhaai mein

Jis ko aksar socha tha tanhaai mein

shamil hai woh shakhs meri ruswaai mein

Mujh say mat poocho woh chehra kaisa tha

doob gaya main aankhon ki gehraai mein

Jagtay rehnay ki kitni targhiben thin

us ki bojhal thaki hoi angrdaai mein

Piyar bhi karta hay woh be parwaai say

nadani ka rang bhi hay danaai mein

Woh ek pal ko rootha to mehsoos hoa

jaisay beet gaya ek saal judaai mein

Jao apnay jaisay log talash karo

kia pao gay Mohsin say harjaai mein

Kabhi azeez thay Hum jinko zindagi ki tarah

Kabhi azeez thay Hum jinko zindagi ki tarah

abhi qareeb say guzray hen ajnabi ki tarah

Khuda karay to gham e zeest say rahay mehfooz

k to hai gulshan e hasti mein kali ki tarah

Hamen hi zabt ki Talqeen kiun ho mehfil mein

hamen bhi izn e takallum milay sabhi ki tarah

Hamaray dil mein ziaraiz hay kisi ki yaad kanwal

k phool mein khowabida chandni ki tarah

Hamen mila hai QAMAR gham badal badal kar

kabhi basoorat e girya, kabhi hansi ki tarah

Sheher mein Teri paziraai na honay dongi

Sheher mein Teri paziraai na honay dongi

To Mera hai Tujhay harjaai na honay dongi

Chup rahon gi jo kahay ga koi Tujh ko majno

is sy bar kar teri ruswaai na honay dongi

Yaad aaon gi Tujhay achhay dinon ki soorat main

Mukammal Teri tanhaai na honay dongi

Janti hon k Mera hona hai us say Mashroot

apnay dushman ki main paspaai na honay dongi

Achhay lagtay hen Qamar mujh ko parinday lekin

us ko unka bhi Tamannaai na honay dongi

Waqt ki gardish-e-Ayam mein beh janay do

Waqt ki gardish-e-Ayam mein beh janay do

zindagi jaisay guzarti hay guzar janay do

Meray dil nay kabhi phoolon ki tamanna ki thi

aaj kanton hi ko daman say lipat janay do

Roshni jag mein hay aur dil mein andhera mere

in andheron say bohat door nikal janay do

doston nay poocha, kahan hen us k qasmen waday

main nein kaha, chordo usay nai dunya basanay do

Woh chaand tha woh chand hay usay chamaknay do falak pe

Main khak tha main khak hon mujhay khaak mein mil janay Do

Bharosa Toot janay se zara pahlay bata daina

Bharosa Toot janay se zara pahlay bata daina

Mujhe Tum Azmanay se zara pahlay bata daina

Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina

Mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

Zameen ki rait pe Tum ne Mohabbat se likhi thi

Woh Tahrerain Mitanay se zara pahlay bata daina

Mairay dilber k is dil per main rakh loon zabat ka pathar

Suno daman churanay se zara pahlay bata daina

Kisi bhi mor pe “Mohsin” bura pao agar Mujh ko

Bharosa Toot janay se zara pahlay bata daina..

Sari duniya k Riwajon se adawat ki thi

Sari duniya k Riwajon se adawat ki thi

Tum ko Yaad hai jab maine ik hamaqat ki thi

Usay Razdan samajh kr btaya tha haal-e-dil apna

par us shakhs ne Meri zaat se baghawat ki thi

Jab kisi ki yaadun ne ankhun ko bhigoya tha meri

Maine aik naam ki tasbeeh peh tilawat ki thi

Woh Mujhe chor gaya to Main Itna Roye

Meri ankhon ne Aansuo se shikayat ki thi

Mere ujarnay ka Sabab jb b kisi ne poucha

Main ne bs itna bataya k "MUHABBAT" ki thi..

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan

Chand nikla hai Tujhay dhoondhnay pagal ki tarhan

Khushk patton ki tarah log uray jatay hain

Shehr bhi ab to nazar aanay laga jungle ki tarah

Phir khayalon main Tere kurb ki khushbu jaagi

Phir barasnay lagi anakahin meri badal ki tarhan

Be-wafaoon say wafa kartay guzari zindagi

Main barasta raha weeranay pe badal ki tarhan.

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai

Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai

Jisam se sath nibhane ki mat umeed rakho

Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai

Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar

Mein yehi soch k zinda hon k Mar jana hai

Nasha Aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha

Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai

Mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar

Mere jazbay ko mere sath hi mar jana hai…

Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hoon Abhi

Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hoon Abhi

Phir Say Maqtal Ko Sanwaro K Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say

Jao So Jao Sitaro K Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay

Apni Zulfun Ko Sanwaro K Main Zinda Hoon

Abhi Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Dhoba To Nahi

Mujh Ko Sahil Say Pukaro K Main Zinda Hoon Abhi

Qabar Say Aaj Bhi ‘Mohsin’ Ki Aati Hai Sada

Tum Kahan Ho Meray Yaroo K Main Zinda Hoon Abhi

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,

Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,

Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,

Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery Aangan my aaj andhera hai bohat,

Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy Tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,

Main nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do

“TUM KHAFA KYUN HO.?”

“TUM KHAFA KYUN HO.?”

Tumhen Mujse gila kya hai.

Achanak berukhi itni.

Batao to hua kya hai.

Manaaun kis tarah Tum ko.

Mujhy itna to batla do.

Agar ab ho saky Tum se.

To ye Ahsan farma do.

Meri manzil Mohabat hai..

Mujhy manzil pe pohncha do..

Tumhari aankh men aansu..

Mujhy achy nhi lagty..

Tumhary narm honton pe..

“Gily achy nhi lagty”..

Tumhary Muskurany se..

Mera dil muskurata hai..

Tumhary rooth jany se..

Mera dil Toot jata hai

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko

Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hay Chain Kabhi

Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko

Dukh To Yeh Hay K Zamanay Main Milay Ghair Sabhi

Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko

Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Ab To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi

Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko

Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha

Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko

Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi

Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko

Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guzare Lamhay

Yaad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko

Muqaddar K Sitaron Par

Muqaddar K Sitaron Par
Zamano K Isharon Par
Udasi K Kinaro Par
Kabhi Veeran Shehron Main
Kabhi Sunsan Raston Par
Kabhi Heran Ankhon Main
Kabhi Bejain Lamhon Par
Tumhari Yaad Chupkay Say
Kabhi Ser-Goshi Karti Hay
Yeh Palkain Bheeg Jati Hain
To Aansoo Toot Girtay Hain
Hum Palkon Ko Jhukatay Hain Bazahir Muskuratay Hain
Faqat Itna Hi Kehtay Hain
Mujhe Kitna Satatay Ho
Mujhe Tum Yaad Aatay Ho
Mujhe Kitna Rulatay Ho

Pathar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya

Pathar Bana Diya Mujhe Rone Nahin Diya

Daman Bhi Tere Gham Main Bhigone Nahin Diya

Tanhaiyan Tumhara Pata Pochti Rahin

Shab Bhar Tumhari Yaad Ne Sone Nahin Diya

Dil Ko Tumhari Yaad K Aansoo Aziz The

Dunya Ka Koi Gham Samone Nahin Diya

Nasir Yon Us Ki Yaad Chali Hath Tham Ker

Mele Main Is Jahan K Khone Nahin Diya

Apko Chahne Wale Kam Na Honge





Apko Chahne Wale Kam Na Honge

Waqt K Sath Shayd Hum Na Honge

Ap Kisi Ko Kitna B Pyar Kar Lena

Par Yadon K Asli Haqdar Sirf Hum Hi Honge

Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho

Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho

Jab Sham Udasi Wali Ho

Jab Zabt Ka Bandan Tuta Ho

Jab Aas Ka Daman Chuta Ho

Jab Darshan Pyas Bujate Hon

Jab Mosam Geet Sunate Hon

Jab Kan Hon Tarse Baton Ko

Jab Nend Na Aaye Raton Ko

Jab Ankon Mai Jagrate Hon

Jab Apne Dard Statay Hon

Tab Yad Bohat Tum Atay Ho
Tab Yad Bohat Tum Atay Ho..

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia

Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara Mujhe Kyun Tamasha Bana

Dia Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai

Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye Kabhi Main Ne Darya Baha Dia

Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye Meri Bandgi Hai Wo Bandgi

Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia

Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba

Tumain Zindagi Ki Hai Arzu Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!!!

Yadain Jaag Jati Hain Barisho K Mosam Main

Yadain Jaag Jati Hain Barisho K Mosam Main

Har Ghari Satati Hai Barisho K Mosam Main

Shaam B Kisi Surat,Chain Se Nahi Kat-ti

Subhain B Satati Hai Barisho K Mosam Main

Zehn K Jarokay Mai Jab Koi Sadaa Obray
Aankain Bheeg Jati Hai, Barisho K Mosam Main…..

Phir palat aai hain barish ki sohani raatain,

Phir palat aai hain barish ki sohani raatain,

Phir Teri yaad main jalny k zamany aaye…

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo

Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo

Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey

Yun To Dushman Na Bunno Sare K Sare Yaroo

Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain

In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq K Marey Yaroo

Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa K Moti

In Hi Ankhon Main Sittam K Hain Sharary Yaroo

Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan

Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo

Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua

Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo

Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir

Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo

""Wo aik pal hi sahi jis mein '"TuM'" mil jao mujy""

""Wo aik pal hi sahi jis mein
'"TuM'"
mil jao mujy""


""Or Us aik pal se zyada to
"'Zindgi"'
Ki Khwahish bi nhi mujy,

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

Main apney Khaab bhikharney ki baat kis sey karun

Abhi woh jaan-e-Ghazal duor hai nighahoon sey

Abhi main Jaan sey Guzarney ki baat kis sey karun

ABhi toh hijr ki tareekiyan hain dono taraf

Abhi main Chaand Nikalney ki baat kis sey karun

Abhi toh ghammoon sey Nidhaal hain sabhi

Abi main tery Bicharney ki baat kis sey karun.

TEri talab mein yeh beichaain ab bhi rehta hai

Main apney dil k machalney ki baat kis sey karun…

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho

Jis simt bhi dekhooN nazar aata
hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa
hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai,
ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke
saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye
rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya
hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin
hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra
hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre
to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag
ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-
suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila
hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai
ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya
hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar
bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa
hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se
nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda
hai ke tum ho
Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq
kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi
gawaara hai ke tum ho

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya ..!

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya ..!

Itna usy parha k mujy yaad ho gaya ..!

Main aaj tak hon jis k faraib-o- hisar mein ..!

Wo aur hi kisi ka mery bad ho gaya ..!

Aandhi hawa ka saath nibhany k shok mein ..!

Koi tabah hua koi barbad ho gaya ..!

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya ..!

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya ..!

Itna usy parha k mujy yaad ho gaya ..!

Main aaj tak hon jis k faraib-o- hisar mein ..!

Wo aur hi kisi ka mery bad ho gaya ..!

Aandhi hawa ka saath nibhany k shok mein ..!

Koi tabah hua koi barbad ho gaya ..!

Jo meri ankhon se khawab dekho To ek bhi shab na so sako ge

Jo meri ankhon se khawab dekho To ek bhi shab na so sako ge

K Laakh chaho na hans sako ge Hazar chaho na ro sako ge
K Khawab kia hain azaab hain yeh Mere dukhon ki kitaab hain ye

Rafaqaten un ki choot-ti hain Mohabbaten un ki rooth-ti hain

Panapti hain un main wehshaten si Aziyaten un main phoot-ti hain

Ghamon ki bandish main khawab mere Dukhon ki barish main khawab mere

Ubal raha hai dukhon ka laawa Zameen aatish hain khawab mere

Khayal saaray jhulas gaye hain

Sulagti khawahish hain khawab mere Ukharti saansen hain zindagi ki

Jo meri ankhon se khawab dekho To ik shab bhi na so sako ge

Kisi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Kisi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Aadha Sapna Ho To Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

use Kehna K Palkon Per Na Tanke Khawbon Ki Jhalar

Samandar K Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai K Apas K Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kisi K Hijr Mein Neendein Ganwaa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jaye ga Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta….

Sunday, 4 September 2011

kabhi jo hum nahi hoon gy, kaho kis ko batao gy,

kabhi jo hum nahi hoon gy,
kaho kis ko batao gy,
wo apni uljahnain sari,
wo becheni main dooby pal,
wo ankhon main chupe ansu,
kise phir tum dikhao ye,
kabhi jo hum nahi hoon gy,
bohat bechain ho gy tum,
bohat tenha reh jao gy,
abhi b tum nahi sumjhe,
hamari unkahi batein,
mager jub yaad aayen gy,
bohat tum ko rulayen gy,
bohat chaho gy phir b tum,
humein na dhoond pao gy,
kabhi jo hum nahi hoon gy..

Alfaz tO Bohat Hai Meri Mohabbat Baiyan Karney K Liye....!!

Alfaz tO Bohat Hai Meri Mohabbat Baiyan Karney K Liye....!!


Wo Meri Khamoshi Nahi Samjhta Merey Alfaz Kya Samjhay Ga..

Main roya nhi rulaya gaya hon


Main roya nhi rulaya gaya hon

Bana kr pasand phr thukraya gaya hon

Chor do ab to taqdeer k sahare

Pyar k naam pe jalaya gaya hon,

Bht hi narm-o-nazuk tha mizaj apna,

Jeete ji khaak m milaya gaya hon,

Kbi jo palkon pe naaz uthaate the,

Aaj usi nazar se giraya gaya hon.

Pal Bhar Ki Mulaqaat Ne Dil Torr Diya Hai,

Pal Bhar Ki Mulaqaat Ne Dil Torr Diya Hai,

Bus Choti Si Ik Baat Ne Dil Torr Diya Hai,

Ab Sheher Mein Ho Kar Bhi Woh Hum Se Nahi Milta,

Badlay Huwe Halaat Ne Dil Torr Diya Hai,

Kuch Duniya Ki Baaton Ne Sukoon Loot Liya Tha,

Kuch Us K Khayalaat Ne Dil Torr Diya Hai,

Kis Kis Ko Main Har Baat Ki Tafseel Bataaoon,

Logon K Sawalaat Ne Dil Torr Diya hai.

Apne Saaye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Ker Rona,

Apne Saaye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Ker Rona,

Jab Bhi Rona Ho To Chiragon Ko Bhuja Ker Rona,

Log Parh Letey Hein Chehrey Pe Likhi Sab Baatein,

Bara Mushkil Hai Logon Se Chupa Ker Rona,

Hath Bhi To Wo Shakhs Mila Ker Na Gaya,

Jis Ko Chaha Tha Seeney Se Laga Ker Rona,

Yaad Aati Hai To Tanhai Mein Rou Deta Hon,

Apni Ye Aadat Nahi Logon Ko Dikha Ker Rona,

Aik Aadat Nahi Aaj Tak Badli Meri,
!!!

Uski Tasveer Ko Seeney Se Laga Ker Rona

~Kyå MiLà Us Bèwàfà Kò Mèri Dùñiyà Chòr Kàr ~',f A r Z,,

~Kyå MiLà Us Bèwàfà Kò Mèri Dùñiyà Chòr Kàr
~',f A r Z,,

~Khùd Bhi Tàñhà Phir Ràha Hy Mùjh kò Tñhà Chòr Kr.

Anna ka Masla darpesh hy, warna Haqeeqat mein ..

Anna ka Masla darpesh hy, warna Haqeeqat mein
..

Usay meri, mujhy Us ki, Kami Mehsoos hoti hy...

Khat likh raha hoon ehd e mohabat ko torr kar....!

Khat likh raha hoon ehd e mohabat ko torr kar....!
:
Kagaz pe aansu'on ki jagha chorr chorr kar....!
:
Tu fikar mand q hai mere dil ko torr kar....!
:
Main khud hi ja raha hoon tera shehr chorr kar....!
:
Kal raat likhne baitha gazal tere naam ki....!
:
Alfaaz samnay thy kharray haath jorr kar....!
:
Main jis main dekhta tha tera aks ay dost...!
:
Tu ne hi rakh diya wo aaina torr kar...!

Hum aj B Hain Soch Mein Dobay Howy "MOHSIN"

Hum aj B Hain Soch Mein Dobay Howy "MOHSIN"

Khud Se, Kabi Dunya Se Hain Rothy Howy "MOHSIN"

Dene K Liye Usko, Jo Hum Ne Thy Sambhalay

Wo Phool Kitabon Mein, Hain Sokhay Howy "MOHSIN"

Wo Apni Jafaon Mein Kuch Kami To Karain Aaj

Ik Umer Hui Shehar, Wo Choray Howy "MOHSIN"

Hum Ne Ye Kha Tha K Unhein Pyar Hai Hum Se

Hum Aj Bhari Bazm Mein Jhotay Howy "MOHSIN"

YAD Mein Unki Humain Rahat Jo Mili Hai

Hum Aaj Kuch Andar Se Hain Totay Howy "MOHSIN"..

Friday, 2 September 2011

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi

Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai

Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein

Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai

Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani

Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai

Bichar k us se main bas is liye nahi bikhra

Wo keh gaya tha yehi waqt imtehaan ka hai


Thursday, 1 September 2011

Mudat se koi shakhs rulany nahi aya.

Mudat se koi shakhs rulany nahi aya.

jalti hui ankhon ko bujhany nahi aya.

kehta tha k Hum sath jiyen sath Maren ge.

Ab rooth gaye hain to Manany nahi aya