Sunday 6 May 2012

na kisi ki ankh ka nur hun.

na kisi ki ankh ka nur hun.

na kisi k dil ka qarar hun.



jo kisi k kam na a saky. main wo ek musht-e-gubar hun.



na to main kisi ka habib hun.

na to main kisi ka raqib hun



jo bigar gaya wo nasib hun.

jo ujar gaya wo dayar hun.



mera rang-rup bigar gaya.

mera yar mujh se bichar gaya.



jo chaman fizan mein ujar gaya.

main usi ki fasl-e-bahar hun.



parhne fateha koi aye kyun.

koi char phul charhaye kyun.



koi ak shamma jalaye kyun.

main wo bekasi ka mazar hun.



main nahin hun nagma-e-janfishan.

mujhe sun k koi karega kya.



main bare barog ki hun sada.

main bare dukh ki pukar hun.

No comments:

Post a Comment