Sunday 6 May 2012

Hum Toot K Kerte Hain Meri Jaan Muhabbat,

Hum Toot K Kerte Hain Meri Jaan Muhabbat,



Ye Kaam Humain Hasb-e-Zarurt Nahi Aata.

1 comment:

  1. Mohabbat humne tumse bepanaah kari,
    Hoga tumhe iska asar dheere dheere.

    Yaha hume har cheez ki jaldi hai,
    Jaane kyu waha sab kuch hai dheere dheere.

    Andhera bhot hai is zamaane mein,
    Ho raha ho roshan magar yeh aftaab dheere dheere.

    Haasil ho rahi hai manzil is dariya ko,
    Jo mil rahi hai yeh ab samandar se dheere dheere.

    Tanhai mein hume aksar yun lagta hai,
    De rahi ho yeh khamoshi ek awaaz dheere dheere.

    Mil rahi hai zindagi mujhe kuch aise,
    Kar raha ho koi dua jaise dheere dheere.

    Waqt se hum yeh sawaal karte hai,
    Chal to raha hai, magar kyu chale itna dheere dheere.

    Fir ab mai khud se wahi sawaal karta hoon,
    Dhoondh raha hu zindagi bhar jiska jawaab dheere dheere.

    Mohabbat humne tumse bepanaah kari,
    Hoga tumhe iska asar dheere dheere,
    Hoga tumhe iska asar dheere dheere.

    http://kkonline.org/kuch-kalam-se/dheere-dheere

    ReplyDelete