Monday, 30 April 2012
Agr Tum jo ijaazat do,
to chand Lafzon me keh dalain,
k Tum Bin Mar To Sakte Hain.
"TUM BIN jee NAHIN SAKTE.
Ik Yehi Roshni Imkaan Me Hai.
TU Abhi Tak Dil-e-Veeran Mein Hai.
Shor Barpa Hai Teri Yaadon Ka.
Ronaq-e-Hijr Bayabaan Mein Hai.
Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hai.
Koi Zinda Dil Be-Jaan Mein Hai.
Aaj Bhi Tere Badan Ki Khushbu.
Tere Bhaijay Howay Guldaan Mein Hai.
Zindagi Bhi Hai Meri Aankhon Mein.
Mout Bhi Deeda-e-Hairaan Mein Hai.
Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se.
Ik Qaidi Abhi Zindaan Mein Hai.
Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha.
Aansoo baha kr mjhe manaya krta tha.
Ye zindagi sirf tum se wabasta hai.
Aksar ye baat mjhe bataya karta tha.
Us ki baton mein kuch aisa asar tha.
Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha.
Soney ki fursat kis ko thi.
Wo mjhe sari raat jagaya karta tha.
Bechaini jab had se barh jati the.
Wo ji bhar k galae lagaya karta tha.
Wo itni Muhabbat krne wala badal gaya.
Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha.
Hanste hain yun hi hans kr rula jate hain log
Milte hain yun hi mil kr juda ho jate hain log"
"Pal do pal ki Mohabbat ko umar bhar ka sath na samjhna.
Muhabat b karte hen or khafa b hojate hen log.
Naseeb me pyar na tha jo mujhe mila hi nhi.
Kar k izhar-e muhabt beparwaah hojatey hen log.
Ab kis se karen Shikwa.
Apni qismat ka.
....wisi..
Kar k vaadey wafaa k bewafaa hojate hen log..
Sunday, 29 April 2012
Uthaa Kar Dil Mera Oss'nay.
Wahee'n Pathar pay Dey Maara.
Main Kehta hii raha daikho.
Mera Dil Hai.
Mera Dil Hai.
Bohat muddat se aisa hai,
K wo khamosh rehta hai.
Koi gehra hai ghum shayad,
Jise chup chap sehta hai.
Youn hi chalte hue tanha,
Koi ghamgheen sa nagma.
Wo aksar gungunata hai,
Milaye nazron se jab nazrain.
To baatain bhool jata hai,
Kabhi bethe hue tanha.
Ya phir barish k mausam me,
Faqat itna hi kehta hai.
Udaasi be-waja si hai,
Bohat bojhal tabiyat hai.
Bhala sach q nahi kehta,
Usay Mujh Se MUHABAT Hai.
MUJHY ACHA SA LGTA HAI
Tumhary sang sang chalna.
wafa ki aag men jalna.
Tumhen naraaz kar dena.
kabhi naraaz h0 jana.
Tumhari be-rukhi par bhi.
Tumhari aarzu karna.
khud apny dil ki dharkan sy.
Tumhari guftug0 karna.
===MUJHY===
ACHA SA LAGTA HAI
Tumhi k0 dekhty rehna.
Tumhi k0 s0chty rehna
b0hat gehry khayaal0n me.
jawaab0n me.
sawaal0n me.
m0habbat k hawaal0n me.
Tumhary naam ka aana.
MUJHY ACHA SA
LGTA HAI
Tere Hath Ki Main Wo Lakeer Ban Jaon
SirF Main Hi Tera Muqadar Teri Taqdeer Ban Jaon
Main Tujhe Itna Chahun K Tu Bhool Jaye Her RiShta
SirF Main Hi Tere Her RiShte Ki TaSweer Ban Jaon
Tu Aankhain Band Kare To Aaon Main Hi Nazar
IS Tarha Main Tere Her Khawab Ki Tabeer Ban jaon.
Qabool-e-Jurm Karte Hain, Tumhare Qadmon Me Gir K,
"Jaan"
"Saza-e-Mout Hai Manzoor, Magar Teri Judai Nhi.
Saturday, 28 April 2012
Mumkin jo agar hota,
agar hota,
Hum Tum ko
bhula detay,
Yaadon ko
kafan dey kr,
Be waQt
sula detay,
Tanhai mein
jee letey,
Tum ko na
sada detay,
Iss Dil sey
Tere Dil tak,
Deewaar
uthha detay,
mumkin hi
nahi warna,
Hum Tum ko
bhula detay..
Shararat Le kr Aankhon mein , wo uska Dekhna Tauba.
Main Nazr'on pe Jami Nazr'ein , jhukaana BhooL Jaati hoon.
Koi Pouch Raha Hai Mujh Sy, Meri Zindagi Ki Qeemat.
Mujhe Yaad Aa Raha Hai, Tera Halka Sa Woh Muskurana .
Qurban Ho Jaun Us Shakhs K Hathon Ki Lakeeron Par.
Jis Ne Tujhe Manga Bi Nahi aur Tujhe Apna Bana Liya.
Hum Jala K Baithy Hai Sahil Pa Khashtian Is Liye Apni.
K Jab Muhabbat Me Nikal Aye Tu Wapsi Mumkin Nhi
Tum Rooth Jao Mujhse Aisa Kabi Na Karna.
Main Ik Nazar Ko Tarsaon Aisa Kabi Na Karna.
Main Pooch Pooch Haroon So So Sawal Kar K.
Tum Kuch Jawab Na Do Aisa Kabi Na Karna.
Mujhse Hi Mil K Hasna, Mujhse Hi Mil K Rona.
Mujhse Bichar K Jee Lo Aisa Kabi Na Karna.
Tum Chand Ban K Rehna, Main Dekhti Rahon gai.
Kisi Roz Tum Na Niklo Aisa Kabhi Na Karna.
Tum Chale Jao Jab Bhi, To Dekhoon Tumhara Rasta.
Tum Lot K Na Aao Aisa Kabhi Na Karna.
Chahat Teri chhupa k jiye ja rahi hun main,
khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main,
Tu bewafa hai phir bhi mera honsla to dekh,
Tujh pe wafa nisar kiye ja rahi hun main,
bharke Tere daman mai musarrat ki kahkashan,
saugat aansuo ki liye ja rahi hun main,
ruswa na ho jaye Tu is jahan mai isliye,
honto ko apne khud hi siye ja rahi hun main,
Murat Teri Tarash kar poojungi isliye,
pathar Teri gali ka ek liye ja rahi hun main…
Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain.
Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain.
Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho.
Osi ki aarzo main hum zamana bhool jatay hain.
Chhupa kar baith jatay hain naseebon ka diya zaiwer.
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain.
Bas apni zaat main kho kar apna hi ziker karna.
Kisi doojay ka koi gham othhana bhool jatay hain.
Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main.
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain.
Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko.
Khatam karkay wafa'on ka zamana bhool jatay hain.
Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main.
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain.
Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ki halat ko..
Magar apni khata'on ko dikhana bhool jatay hain.
by Shaukat Ali Khan
Thursday, 26 April 2012
MUHABT KHOUF HOTI HAI..
Kbi Nadaan Karti Hai.
Kbi Heraan Karti Hai.
MUJHE MALOOM HAI MOHSIN
Boht Nuksan Karti Hai. Ye Ghar Weeran Karti Hai
Jahan Hon Ronaqain Zinda Wo Dil Sunsan Karti Hai
Mager Ab Sun Mere Humdam
Mujhe Karni Muhabat Hai.
Muhabat Wo Haqeeqat Hai.
Jo Dil Abaad Karti Hai Muhabbat jeet hoti hai mgar yeh haar jati hai kbhi dil soz lamhon se kbhi be - kaar rasmon se
Muhabbat khud nahi marti
"Muhabbat mar dati hai"
Muqadar Aazmane Mein Zamane Beet Jatey Hain,
Muraden Dil Ki Paney Mein Zamane Beet Jatey Hain...
Nahi Karta Koi Himat Agar Ezhar_e_Ulfat Ki,
Zuban Par Baat Laney Mein Zamane Beet Jatey Hain...
Mohabat Zindagi Mein Bari Mushkil Se Milti Hai,
Magar Isko Nibhane Mein Zamane Beet Jatey Hain...
Agar Ek Baar Aankhon Mein Achanak Aa basy Koi,
Usay Dil Se Bhulane Mein Zamane Beet Jatey Hain.
Jatey Hoey Dil Me Lagan Chhor Gaya,
Wo Muhabat Ki Dehleez Pr Kafan Chhor Gaya.
Door Rehney Se MuhaBat Barhti Hai, "Faraz"
Yeh Keh Kr WO Ye Shehar Chhor Gaya.
ik lafz hy; "MOHABBAT"
"MOHABBAT"
isay kr k dekho
tum tarap na jao
to kehna.!
ik lafz hy;
"MUQADDAR"
is se larr k dekho
tum haar na jao
to kehna.!
ik lafz hy;
"WAFA"
zamanay me nahi milti
kahin dhoond pao
to kehna.!
ik lafz hy;
"AANSU"
dil me chupa kr dekho
tumhari aankhon se na niklay
to kehna.!
ik lafz hy;
"JUDAYI"
isay seh kr to dekho
tum toot K bikhar na jao
to kehna.!
ik lafz hy;
"ALLAH"
usay pukaar kr to dekho
sb kuch paa na lo to phr khena...
"Nafrat ko hazaar moqay do k wo Mohabbat ban jaye.
.
Lekin...!
.
Mohabbat ko aik bhi moqa na do k wo nafrat ban jaaye.
Wednesday, 25 April 2012
Wafayein Kar k Kuch Nahi Milega
( Heer )
Karni Hai To
"Bewafai" Karo Sadaa Yaad Raho Ge.
Meri Rooh Mein Jo Utar Sakein.
Woh Muhabbatein Mujhe Chaahiyein.
Jo Saraab Hon Na Azaab Hon.
Woh Rafaqatein Mujhe Chaahiyein.
Unn Hi Sa'aton Ki Talaash Hai.
Jo Calendaron Se Utar Gayi.
Jo Samey Ke Saath Guzar Gayi.
Wohi Fursatein Mujhe Chaahiyein.
Kahin Mil Sakein To Sameit Laa.
Meri Roz-o-Shab Ki Kahaaniyan.
Jo Gubaar-e-Waqt Mein Chup Gayi.
Woh Hikayatein Mujhe Chaahiyein.
Jo Meri Shabon Ke Chiraagh Thay.
Jo Meri Umeed Ke Baagh Thay.
Wohi Log Hain Meri Aarzoo.
Wohi Suratein Mujhe Chaahiyein.
Teri Qurbatein Nahin Chaahiyein.
Meri Shayari Ke Mizaaj Ko.
Mujhe Faaslon Se Dawam Dey.
Teri Furqatein Mujhe Chaahiyein.
Poetry Send : Farida Mohammad.
Kahan ansoaon ki ye soghat hogi.
Naye log honge nai baat hogi.
Main har haal mei muskurata rahun ga.
Tumhari muhbt agr sath hogi.
Charaghon ko ankhon mei mehfoz rakhna.
Bari door tak raat hi raat hogi.
Musafir ho tum b,Musafir hain hum b.
Najany Kaha pir *Mulaqat* hogi.
Yu To meri Har BaaT Smjh Jate Ho TUM
Phir Bhi Q mujhe Satate Ho TUM
TUM Bin Koi OR NAHi mera
Kya isi Baat Ka faida uthate Ho
TUM
Ansu Se Kaha K Tanhai Mai Aya Karo
Itne Sare Logo Mai Mazak Na Banaya Karo
Ispe Ansu Tarap K Bola
Itne Logo Mai tujhy Tanha Paya
To Sath Dene Chala Aya..
Zindgi Main Zindgi Ki Ada Nahi Milti.
Muft Main To Kisi Ki B Dua Nahi Milti
Tum Lakh Aazmatey Raho Logon Ko
Kisi Se DIL Nahi Milta, To Kisi Ki Raza Nahi Milti
Mujhey Maghroor Mat Samjho Dunya Walo
Ek Bas Uski Yaad Se Mujhey Panah Nahi Milti
Baat Agr Muhabat Ki Hai To Jaan Lo "Dost"
Kisi Ko Milti Hai Be Had, To Kisi Ko Zara Nahi Milti
Yun To Milti Hai Har Cheez Dunya K Bazaar Main,
Nahi Milta Agar Kuch To Faqt Wafa Nahi Milti.
~Youn Hosla Dil Ne Hara Kb Tha,
~Bin Zehar Piye Guzara Kb Tha,
~Kuch Pal Usy Aur Daikh Sakty,
~Ashkon Ko Magar Gawara Kab Tha,
~Hum Khud Hi Judai Ka Sabab Thy,
~Us Ka Hi Qasor Sara Kb Tha,
~Ab Auron K Sath Hy To Kia Dukh,
,MEER
~Pehly Bhi Wo Humara Kab Tha..
Tumhary Chand Se Chehry Pe Ghum Achhay Nahi Lagty
Se Chehry Pe
Ghum Achhay
Nahi Lagty
Hamain Keh Do
Chaly Jao Jo Hum
Achhay Nahi
Lagty
Hamain Woh
Zahakham Do
Jo Sari Umar
Na Bhar Payein
Jo Jaldi Bhar K Mit
Jayen Woh
Zakham Achhay
Nahi Lagty
Tumhain Har
Ghazal Main
Likhna Mera
Dastoor Hai
LEKIN
Sari Mehfil Kare
Tere Charchay mujhay Achay
Nahi Lagty
Main Chahat Ki Es
Manzil Pe Aa
Pahuncha Hoon
WASI
Tumhary Chahny
Walay Mujhy
Achhay Nahi
Lagty..
Tuesday, 24 April 2012
Mana k Tere dil me koi aur Makeen hai,
Tu bhi To Meri jaan hai aur Mera yaqeen hai,
Main jabar k sajdon me giroo'n Toot na jaao'n,
Patthar k Khudao.! Meri shishey ki jabee'n hai,
Aainey Tujhe Teri khabar de na saken gey,
Aa dekh Meri aankh me Tu kitna haseen hai,
Deewar me chunwa k mujhe jurm e wafa par,
Ay Mere "Shehnshah" Tu pareshan To Nahi hai,
Palkon se tha Tarasha, jisey Hum ne wo Heera,
Mat Pochh k wo kis ki Angoothi ka nagee'n hai.
Har Shaks Se Ulfat Ka Iqrar Nahi Hota,
Har Chehre Se Dil Ko Kabi Pyar Nahi Hota,
Jo Rooh Ko Choo Jaye Jo Dil Mai Utar Jaye,
Us Ishq Ka Lafzon Mai Izhaar Nahi Hota,
Jab Pyar Juda Ho To Yeh Husn Bhi Veeran Hai,
Mehboob Bina Koi Singaar Nahi Hota,
Jo Ishq Mein Mar Jaye Samjho Woh Nageena Hai,
Ban Jaye Woh Patthar Bhi Bekar Nahi Hota,
Kya Samjhogy Tum Hamari Benaam Mohabbat Ko,
Yeh Ishq Ka Sauda Hai Sar-e-Bazar Nahi Hota.
Pather tha magar rooi k galon ki tarha tha,
ek shakhs andheron mein ujaloon ki tarha tha,
khawabon ki tarha tha na khyalon ki tarha tha,
wo ilm-e-ryazee k sawalon ki tarha tha,
uljha huwa aisa k kabhi suljhay ga nahi
suljha huwa aisa k misalon ki tarha tha,
wo mil to gya tha magar apna he muqadar,
shatranj ki uljhi huee chalon ki tarha tha,
wo rooh mein khushbu ki tarha ho gya tehleel,
wo door bohat chaand k halon ki tarha tha.
Ye Chahton k Silsile Ajeeb thy Ajeeb hain
Ajeeb thy Ajeeb hain
,
Kabi Wo Hum_Se Door hein
Kabi bohat Qareeb hein
,
Jo chaha wo na Paa sake
Jo Paa liya Use na Chah sake
,
Gila karen to kiya karen
Sab k apne apne Naseeb hein
,
Na koi apna hai Yahan
Jise Haal-e-Dil Suna sakain
,
Jo Dost hain
Wo Door hain
Jo Paas hain
Wo Raqeeb hain.
,
Gila karen to kiya karen
Sab k apne apne Naseeb hein
,
Ye Chahton k Silsile
Ajeeb thy Ajeeb hain.
Zarrori Kam Hai, Lekin Rozana Bhool Jata Hun.
Mujhe Us'Se Mohabbat Hai, Batana Bhool Jata Hun..
Uss Ki Galiyon Mein Phirna Itna Acha Lagta Hai..
Me Rasta Yaad Rakhta Hun, Thikana Bhool Jata Hun..
Bus Itni Bat Par Logon Ko Main, Acha Nahi Lagta..
Main Naiki Kar To Daita Hun, Jatana Bhool Jata Hun..
Shararat Le Ke Aankhon Mein, Wo Uss Ka Dekhna, Tauba Tauba..
Me Nazron Par Jami Nazrein, Jhukana Bhool Jata Hun..
Mohabbat Kab Hui, Sab Yaad Hai Mujhay, Kyun Ke..
Main Ghalti Kar Ke Ghalti Ko Bhulana Bhool Jata Hun.
Sunday, 22 April 2012
Itni Khamoshi Kyun Hai Teri Aagosh Main Ay"
Aagosh Main
Ay",
"QabRastaN"
"Log To Apni "JAAN" Dy Kar Tujhy ABaad Karty Hain,....