Nadaan hain hum bhi kay ye kya dhoond rahy hain.
Hum log muqadar kay sikandar to nahi hain.
Kiya soch ke phir aab-e-baqa dhoond rahy hain.
Khamosh fizaaon main ye bechain parindy,
Is habs ke mosam main hawa dhoond rahy hain.
Jo Dil se nikalty hei tere Qalb ko chhu lay,
Hum log wohi harf e Dua dhoond rahy hain.
Ek shakhs nay manga tha kabi hum ko Dua me,
Us shakhs ko ab tak Ba-Khuda dhoond rahy hain.
Asalam u alakum.... Is poet ka name batao jis ney ye ghazal likhi hay.... shukria...
ReplyDelete