Sunday, 20 November 2011

Phoolon se to Wafa mil na saki aao kanton se Dosti kar lain.

Phoolon se to Wafa mil na saki aao kanton se Dosti kar lain.

"Dost"

Suna hai k ye Daman pakar lain to phir itni asani se chora nahi karte...

Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain.

Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain.

Nadaan hain hum bhi kay ye kya dhoond rahy hain.

Hum log muqadar kay sikandar to nahi hain.

Kiya soch ke phir aab-e-baqa dhoond rahy hain.

Khamosh fizaaon main ye bechain parindy,

Is habs ke mosam main hawa dhoond rahy hain.

Jo Dil se nikalty hei tere Qalb ko chhu lay,

Hum log wohi harf e Dua dhoond rahy hain.

Ek shakhs nay manga tha kabi hum ko Dua me,

Us shakhs ko ab tak Ba-Khuda dhoond rahy hain.

Mujhe Zabt_e_Gham Pe Ghuror Tha

Mujhe Zabt_e_Gham Pe Ghuror Tha Sar_e_Bazam Aaj Ye Kia Hua.?
.
Meri Ankh Kese Chalak Pari
.
Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua
.
Mujhe Ap Kyon Na Samjh Sakay Ye Apne Dil Se Puchiay
.
Meri Dastan_e_Hayyat Ka
.
Hai Warq Warq Khula Hua
.
Mujhe Hamsafar B Mila Koi
.
To Meri Tarah Hi Luta Hua
.
Kabi Manzilo'n Se Hata Hua
.
Kbi Qafilo'n Se Luta Hua
.
Mje Ik Gali Mein Para Hua Kisi Badnseeb Ka Khat Mila
.
Kahin Khoon_e_Dil Se Likha Hua Kahin Ansuo'n Se Mita Hua.

Main kaisay shikwa karon wo nadan hai bohut,

Main kaisay shikwa karon wo nadan hai bohut,

udas kar k mujhe khud bhi paraishan hai bohut,

kehny ko wo mery kareeb hai bohat lekin,

faslay ab tak humaray darmiyan hain bohat,

wo naye zakhmo k nishan na dekh payeigy,

dil pay pichlay zakhmo k nishan hain bohat,

beach bhanwar say bhi nikal kar kia mila,

khamosh sahilo par tufan hain bohat,

main naa bhi chahoon to chali aati hai,

teri yadain mujh par meharban hain boht.

Tuesday, 15 November 2011

Youn tu kharidaar hain bohot mere dil k.

Youn tu kharidaar hain bohot mere dil ke.""

"-MOhsin-"

""Baich dete ager iss main Teri yaad na hoti.""...

Thursday, 3 November 2011

Bari Gustakhiyan karny laga hai

Bari Gustakhiyan karny laga hai Mera DIL Mujh se....

Ye Jab sy Tera howa hai Meri sunta hi nahi..