Wednesday, 28 December 2011

DECEMBER JAB BHi AATA HAi

"DECEMBER JAB BHi AATA HAi"

wo pagli phir se beetay mosam ko yaad krti hai.

porane cards parhti hai, k jis main oss Ne likha tha,

MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN

Naye kaprey banati hai, wo sara ghar sajati hai,

DECEMBER k har aik din ko wo gin gin ker bitati hai.

joon hi 15 gozarti hai, wo kch kch toot jati hai,

Nahi maloom ye oss ko, K beete waqt ki khoshiyaan bohot takleef deti hain.
mehiz dil ko jalati hain.

yoon hi din beet jate hain.

DECEMBER lout jata hai.

magr wo khosh feham larki, dobara se calendar main, DECEMBER k mahine k safey ko mor ker phir se DECEMBER k sehar main dhob jati hai.

k akhir os Ne likha tha,

"MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN".

Wednesday, 14 December 2011

Jo daagh dil paiy lagay un ko mita kar jeetay

Jo daagh dil paiy lagay un ko mita kar jeetay
Kaisay hum un ki jafaon ko bhola kar jeetay
Baat karnay k leye kis ka waseela chahtay
Ya to pathar ka koi bott hai bana kar jeetay
Na andhaira na swaira na kiran ki koi umeed
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay
Jaanay wala koi sobha ka bhoola na tha
Warna darwazaiy paiy shama jala kar jeetay
Rung pheekay thay chaman main bhi gulon k warna
Aashiyaan shaakh-e-gulistan paiy bana kar jeetay
Na koi hud haiy ulfat mai azaadari ki..
Na hi laazim tha k hum ansoo baha kar jeetay
Zindagi bhi to badalti hai thikaanay shaukat
Warna momkin tha galay isko laga kar jeetay

poetry shaukat ali khan

Monday, 12 December 2011

Mujh se Gilay hain mujh py Bhrosa Nhi Usy.

Mujh se Gilay hain mujh py Bhrosa Nhi Usy.

Ye soch kr Hum ny Bhi To Roka Nhi Usy..

Wo shaks kbhi Chand Sitaro se ye puchey.

Hy kon C wo Raat jab socha Nhi Usy.

Alfaz Teer bn k utarty rhy Dil me.

Suntay rhy chup chap Hi Toka Nhi Usy.

Sagar ye Mohabt nhi Asul-e- wafa hai.

Hum Jaan to Dengy Magr Dhoka Nhi Usy.

Mera har lafz kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Mera har lafz kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Meri har Saans kehti hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Main jab dekh k Tum ko Naye Duniya basati hon.

Ya jab bhi khobsorat khuwobon main Apnay pal betati hon.

Mera har khuwab kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Yeh sach hai main kabhi Tum se kuch keh nahi paye.

Tum se izhar-e-Muhabbat kabhi kar nahi paye.

Mere Hum-Dum

Meri Muskan kehti hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Sunday, 11 December 2011

December Main Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge,

December Main Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge,



Abhi Tak Tum Nahi Lautay December Laut Aaya Hai…!!!

Na jaane Dhoondte ho kia Meri veeran aankhon main

Na jaane Dhoondte ho kia Meri veeran aankhon main

chupa rakhe hain Hum ne to kayi toofan aankho me.

kahan wo shokhiyaan pehle si. ab kuch bhi nahi baqi.

Chaley Aaye ho Tum kiya khojne be-jaan aankhon main.

kisi ka hath le kar haat main jub wo miley Hum se.

to kaise toot k bikhra tha mera maan aankho me.

na samjho chup hain Hum to us se koi shikwa nahi.

Hum apne dard ki rakhte nahi pehchaan aankhon mein.

Saturday, 10 December 2011

Mein aksar shaam k manzar se larazta is liye bhi hon,

Mein aksar shaam k manzar se larazta is liye bhi hon,

ufaq pe doobta suraj Mera anjaam lagta hai...

Usy kehna december k palat any ki khushion main

Usy kehna december k palat any ki khushion main

Hmain b yad rakhna tm,K hm b is december ki sunehri yad-e-mazi ka
Aik chota sa hisa hain

Wo pal jo sth main guzray, hm un lamhon ka qisa hain

So ab k bar to hm sth main tere nhi hun gy,

Magar barish ki rim jim main, unhi sunsaan galyun main

kbi niklo jo tm ghr sy
hmain tm yad kr lena,
Hmain tm bhool mat jana.

Sari RAAT 'Takleef' Deta Raha Yehi Ek Sawal Humein"

Sari RAAT 'Takleef' Deta Raha Yehi Ek Sawal Humein"

="wasi"=

="Wafa Karnay Walay Humesha 'Akelay' Kyun Reh Jatay Hain.

Qasoor War Usse Kiyun Samjhein,

Qasoor War Usse Kiyun Samjhein, Ghalti Toh Apni Hai.

"U$M@N"

Zindagi La Parwahon Ko Sonp Di, Aur Mohabbat Bhi Maghroron Se Ker Bethey.

Be khwab zndgi ka Paristar kn tha ?

Be khwab zndgi ka Paristar kn tha ?


Itni udas raat main Bedaar kn tha ?

Ks ko ye fikr thi K mohabbat me kya hwa?

Hum is py larr rhy thy

... wafadaar kon tha ?

100 kashtiyan jala k Chaly sahilon sy hm !

Ab tm ko kya btayein K us paar kon tha ?

Ye faisla tu Waqt b Shayd na kr ske !

Such kon bolta tha,Adakar kon tha ?

Friday, 9 December 2011

Kuch tum se mohabat aisi thi.

Kuch tum se mohabat aisi thi.
Hum batein karna bhool gaye!

Kuch or hi hum ne keh dala.
Jo kehna tha wo bhool gaye!

Hum ne to kaha tha lout aana.
Par tum to aana bhool gaye!

Huwi Rat, falak par tary thy.
Hum diya jalana bhool gaye!

Mein sahil par betha hi raha.
Tum kashti lana bhool gaye!

Ab kaisa gila main tum se karon.
Jab naseeb hi mujh ko bhool gaye!

Hum tum se khafa bethy hi rhe.
Tum hum ko mana'na bhool gaye..!.

Thursday, 8 December 2011

Kon Kehta Hy k Nafreton Main Dard Hy

Kon Kehta Hy k Nafreton Main Dard Hy

"sahil"

Kuch Mohabbtain B Barri Aziyet Naak Hoti Hain.

TOOT sa gaya hai meri Chahaton ka wajood"

TOOT sa gaya hai meri Chahaton ka wajood"

"Mohsin"

"Ab koi Acha bhi Lagay to Men Izhar nhi krta."

Tuesday, 6 December 2011

Talash kar mer¡ kam¡ k0 apne d¡l me¡n

Talash kar mer¡ kam¡ k0 apne d¡l me¡n

"Dost

Dard h0 t0 smajh lena k m0habbat ab Bh¡ bak¡ ha¡

Kisi Ko Neend Aati Hai Mgr Khawbon Se Nafrat Hai

Kisi Ko Neend Aati Hai Mgr Khawbon Se Nafrat Hai

Kisi Ko Khawb Piyare Hain Mgr Wo So Nahi Sakta.

Kuch is tarha Me Apni Zindagi Tamam kar dun

Kuch is tarha Me Apni Zindagi Tamam kar dun

Waqt-e- Sehar tujko Dekhon Or Shaam kar dun

Khuwab me b koi ap k Siwa Dikhai na de

Umar bhar k liye Aankhon ko ap ka Ghulam kar dun

Ap k Pehlo ki Khushbu se Mehken Sada Meri Sansen

Or Jitni hen Meri Sansen sab ap k Naam kar dun...

Na ho udas Mohsin tujh se agr nhi milta...

Na ho udas Mohsin tujh se agr nhi milta...

Yahan kisi se koi umer bher nhi milta~

Hua hai sheher veeran tujh ko to khabar hogi~

Bohat dino se mujhay apna hi ghar nahi milta~

Her ek morr pe miltay hain,
hazaron dost~

Main dhundta hon jisay wo magar nahi milta.

Monday, 5 December 2011

Khushk Honton Se Hua Krti Hen Meethi Baatain

Khushk Honton Se Hua Krti Hen Meethi Baatain



"Mohsin"



Pyaas Bujh Jaye Tu Lehjey bhi Badal Jaty Hein…!

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta

Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta

Yak tarfa takazay to nibaye nahi jate

Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,

ilzamm lagata wo bare shok se par,

Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,

Kuch us ko bi ehsas Meri Tanhai ka hota,

Kuch khuwab mere pyar se takmeel wo karta.

Thursday, 1 December 2011

Zaat ban k meri zaat main raha krta hai!

Zaat ban k meri zaat main raha krta hai!

Ik shaks hai jo muj main basa krta hai!

Mere chehre main nazar aata hai chehra uska

Uska tabassum mere honton pe khila krta hai!

Mere lafzon se aada hoti hain batain uski,

Mere lehje sy garoor uska chalka krta hai!

Meri neendon pe hai barson sy hakumat uski,

Khuwaab ban k wo meri palkon pe saja krta hai!

Is had tak meri hasti main mojood hai wo shaks,

Mere har naqsh main "WASI"akks uska mila krta hai.