Tuesday 30 August 2011

Kehty Hain Usy Shehr K Sub Log Maseeha,

Kehty Hain Usy Shehr K Sub Log Maseeha,

Wo Shakhs Mery Dard Se Anjaan Sa Q Hai?

Be- adal He Hoti Rhi Yahan Pyar Ke Takseem,

Is Mulk Me Pyar Ka Fukdaan
Sa Q Hai?

Izhaar K Bawajood B Wo Mujhko Muyasar Nhi To Phir,

Seenay Me Us Se Pyar Ka Toofan Sa Q Hai?

Jo Hum Se Koi Ta'alluk He Nhi Rakhna Chahta,

Us Shakhs K Lout Aanay Ka Imkaan Sa Q Hai?

Mitti Ka Bana Hai To Ghul Q Nhi Jata?

Pathar Ka Agar Hai To Phir Insaan Sa Q Hai...?


Monday 29 August 2011

Marte huey zameer ko bachana para mujhe

Marte huey zameer ko bachana para mujhe

Badal ki tarah dasht mein Aana para mujhe

Wo kar nahi raha tha meri baat ka yaqeen!

Phir yun hua k mar k dikhana para mujhe

Bhoole se meri simt koi dekhta na tha!

Chehre pe ek zakham lagana para mujhe

Ek aJnabi se hath milane k waaste!

Mehfil mein sb se hath milana para mujhe

Us bewafa ki yaad dilata tha bar bar!

Kal Aaine pe hath uthana para mujhe..


Sunday 28 August 2011

Usko fursat hi nahi waqt nikaly Mohsin

Usko fursat hi nahi
waqt nikaly Mohsin

Aisy hoty hain bhala
Chahny waly Mohsin

Yaad k dasht me phirta hon
Main nangy paon

Dekh to aa k kabi
Paon k chhaly Mohsin

Kho gai subho ki umeed
or ab lgta hai

Hum nahi hon gay
K jb hon gy ujaly Mohsin

Wo jo ik shakhs
Mtaa-e-dil-o-jan tha
Na raha

Ab bhala kon mery
Dard sambhaly Mohsin


Saturday 27 August 2011

suno tum ne kaha tha na!! mjhy jazb-e-muhbt say kabhi jo tum pukaro gi main uss din lot aaon ga!!

suno tum ne kaha tha na!!
mjhy jazb-e-muhbt say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!

to daikho na!!
kai lamhon
kai salon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntzar ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki mojoan ne
bari halchal mchai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hmaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairhon ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sun’nay ki
mere kamray ki bai tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum!!!!


Friday 26 August 2011

Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti..

Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti..

Bichar jana muhabat ki sadaqt ki alamat hai ..

Muhabat aik fitrat hai , Han fitrat kab badaltai hai ..

So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein..

Tu yeh mat soch lena tum, Keh muhabat mar gai ho gi..

Nahi aise nahi hoga ..
Mujhe yaad kr k gar tumhari ankhein bhar ayein..
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye..
To bas itna samaj lena ,
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai..
Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri muhabat hai ..

Muhabat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai ..
Muhabat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai ..
Muhabat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti..
Usay kehna bicharne se Muhabat to nahi marti….!!!


Thursday 25 August 2011

Usne jab jab bhi Mujhe dil se pukara Mohsin. Main ne tab tab yeh bataya ke Tumhara Mohsin.

Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin.

Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin.

Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain.

Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin.

Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega.

Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin.

Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha.

Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin.

Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin.

Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin………


Wednesday 24 August 2011

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy

Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy

Wo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna

Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy

Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham Mohsin

Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy.

Tuesday 23 August 2011

Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye,

Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye,
Is Say Behtar Hai K’ Har Baat Bhula Di Jaye..
Ne Apno K’ Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya,
Dil K’ Angan Mai B’ Dewaar Utha Di Jaye..

Mai Ne Yaroon K’ Bhicharne Say Ye Seekha ”MOHSIN”
Apne Dushman Ko B’ Jeene Ke Dua Di Jaye


Monday 22 August 2011

Kuch Rah_e_ishq Ki Masti Thi Kuch Log Thy Hum Diwany Sy,

Kuch Rah_e_ishq Ki Masti Thi
Kuch Log Thy Hum Diwany Sy,

Jab Shehar Tumhara Chor Diya Dil Khub Laga Viraany Mein,

Jo JAAN Sy ziyada Pyary thy Wo Log Nzar Sy Door Huwy,

Ek pyas Si Dil Mein Uth'i hai Ab Yadon Ko Dohrany Sy.

Ay Mout tu Thehar zara
Aakhir Main Unko Dekh To Loon,

Baat Faqat Ek Pal Ki Hai inkaar nahi Mar jaany Sy...


Sunday 21 August 2011

Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dil Mera

Abhi Kamsin ho, Rehne do, Kahien kho do gi Dil Mera
Tumhare hi liye rakha hai, Ley jaana Jawaan ho kar…..!!!
Reply
…Na Kamsin hon, na Naadan hon, Muhobbat ko samajhti hon
Tumhara kya Bharosa hai, Mukar jaao Jawaan ho kar…..!!!


Saturday 20 August 2011

Main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga,

Main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga,
marrun ga khud bhi tujhe bhi karri saza dunga…
yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho,
main tere shehr ke saare diye bhuja dun ga…

hawa ka hath bataon ga har tabahi main,
haray shajar se parinday main khud urra dun ga…
waffa karun ga kisi sogwaar chehre se,
purani qabar pe katbah naya saja dun ga…
issi khayal mein guzri hai shaam-e-gham aksar,
ke dard hadh se barrhe ga to muskura dun ga…
barrha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri,
main tere khat, teri tasveer tak jala dun ga…
bohat dino se mera dil udaas hai ‘Mohsin’
iss aaiine ko koi aks ab naya dunga…

Friday 19 August 2011

Maktab-e-Ishq mein pesh aaye "Sawalon" ki tarah,,,

Maktab-e-Ishq mein pesh aaye "Sawalon" ki tarah,,,

Hum pareshaan hi rahe apne "Khayalon" ki tarah,,,

Jab b anjaam-e-mohabat ne pukara khud ko,,,

Waqt ne pesh kiya hum ko "Misaalon" ki tarah,,,

Zikr jab ho ga mohabat mein tabaahi ka kahin,,,

Yaad "Hum" aayen ge duniya ko "Hawaalon" ki tarah.


Thursday 18 August 2011

Teri yad jo seenay se lga rkhi hai

Teri yad jo seenay se lga rkhi hai

Hum ne dunya me alag dunya bsa rkhi hai

Hum ko maloom nhi chahat k tqaze lekin

Hum ne teri baton k siwa har bat bhula rkhi hai

Safar mushkil hai maloom hai lekin sahib

Tu hamrah hai to har fikr mita rkhi hai

Tu bhula de to bhula de lekin hum ne

Teri khushbo b taveez bna rkhi hai

Tu alag ho to har bar yun lagta hai

Zindgi maut k pehloo me bitha rkhi hai

Teri batain, tera lehja, tera chehra humdam,

Tujh me KHALIQ Ne har cheez juda rkhi hai

Tu beshak he chala ja magr itna to bta de

Hum ne chahat me teri kya kasr utha rkhi hai.?


Wednesday 17 August 2011

Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..

Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha…..
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha.
~~Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray…..
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha.
~~Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia…..
ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha.
~~Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi……
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha.
~~Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut…..
is kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha.


Tuesday 16 August 2011

Hatheli Saamne Rakhna,Ke Sab Aansoo Gire Usme…

Hatheli Saamne Rakhna,
Ke Sab Aansoo Gire Usme…
Jo Ruk Jaayega Honthon Par,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”…

…Jo Chal Jaaye Hawa Thandi,
To Aankhen Band Kar Lena…
Jo Jhonkaa Tez Ho Sabse,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”…

Jo Zyaada Yaad Aaun Main,
To Ro Lena Jee Bhar Ke…
Agar Hichki Koi Aaye,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”…

Agar Tum Bhoolna Chaaho,
Mujhe Shaayad Bhulaa Do Tum…
Magar Jab Saans Lena Tum
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Monday 15 August 2011

Mere humsafar Teri Be-Rukhi Dil e mubtala Ki Shikst hy

Mere humsafar Teri Be-Rukhi Dil e mubtala Ki Shikst hy

Isy Kis Trah Main Kahun Fatah Ye Meri Ana Ki Shikst hy

Tu Chala Gya mujhy Chor Kar Main Ny Phir Bhi tUjh Ko Sadaien Dien

Mere hUmSafar tu Ruka Nahi Yeh Meri Sada Ki Shikst hy

Tujhy La Ky Dil Mein Bitha Diya tujhy Raz Har Ek Bata Diya

Tu Ny Phir Bhi kOi Wafa Na Ki Yeh Meri Wafa Ki Shikst hy

Main Charagh e Kuhna Mizaj Tha tUjhy BijliyOn Ki Talab Rahi

MUjhy AndhiyOn Ny bujha Diya Yeh Meri Ziya Ki Shikst hy

Mujhy Is Tra Na
Satao Gy mUjhy Zoam Tha K Na Aao Gy

Mera Ghalat Wehm O Guman Hy ye Meri Inteha Ki Shikst hy

Mjhy kOi tujh Sey Gila Nahi tu Mila Tha Kab K BiChar Gya

Mery jUrm Ki hy Yahi Saza Yeh Meri Saza Ki Shikst hy

Meri KhamOshi Ky Byan Ko tu Smajh Ky Bhi Na Smajh Saka

Mere Aansoun Ka Pyaam Hi Dil e Be-Nawa Ki Shikst hy
Gham e Dastan e Hyaat Key Sab Hi Tazkarey huye RayeGan

Mere CharaGar Tera Ye Hunar Meri Har dUa Kii Shikst hy


Sunday 14 August 2011

Ye Baarisho’n K Mausam

Ye Baarisho’n K Mausam

Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta

Mohabbaton Main Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy

Chahey Aasman Se Barsey

Chahey Chashm-e-Nam Se.


Saturday 13 August 2011

Hosla. chor gaya sath nibhne wala

Hosla chor gaya tha saath nibhaane wala,

Jaane kis simat gaya aj wo jaane wala,

Aaj phir aankh mein aaye hazaron aansoo.

Aaj phir yaad wo aaya hai bhulaane wala,

Ab kahin ja k mere zakhm bhare hain,

Dekho Ab kahin lout k aa jaaye na jaane wala,

Ay,"KHUDA"!

Us ka har khuwab salaamat rakhna,

Ghum na dekhe wo mere khuwab jalaane wala,

Ab kahin raah mein mil jaaye to itna kehna,

" SAGAR "

Mar gaya kab ka tere naaz uthaane wala . .

Friday 12 August 2011

“Kitna ikhtiyar tha usko apni chahat pe “Mohsin”

“Kitna ikhtiyar tha usko apni chahat pe
“Mohsin”
Is liye jab chaha yad kiya jab chaha bhula diya”
“janta tha wo mujko behlane k har andaz
“faraz”
Is liye jab chaha hansa diya jab chaha rula diya”
“Rakhta to tha wo mera bohut hi kheyal
“Wasi”
Is liye jab chaha khafa kiya jab chaha mana liya”
“Lagta to tha usko ha mujse bohut hi piyar
^SaGaR^
Is liy jab chaha apna bana liya jab chaha daman chura liya..!!!!

Thursday 11 August 2011

Nazar jub Tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,

Nazar jub Tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,

Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,

Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,

Magar jub Tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar kitabon pe Tera hi naam likhta hon,

Magar kuch Tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,

Magar jub Tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon

Wednesday 10 August 2011

Tum Meri Aankh Ke Tevvar Naa Bhula Paaoge ¤¦¤

Tum Meri Aankh Ke Tevvar Naa Bhula Paaoge ¤¦¤

¤¦¤ An Kahi Baat Ko Samajhoge to Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Humne Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Ikhatey Dekhe ¤¦¤

¤¦¤ Safaah-e-ziist Ko Paltoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Isii Andaaz Mein Hotey The Mukhatib Mujh Se ¤¦¤

¤¦¤ Khat kisi Aur Ko Likho Ge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Sard Raaton Ke Mehakte Huwe Sanaaton Mein ¤¦¤

¤¦¤ Jab kisi Phool Ko Choomoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

¤¦¤ Ab Teray Ashk Mein Honton Se Chura leta Hoon ¤¦¤

¤¦¤ Haath Se Khud Inhain Ponchoge To Yaad Aaongaa ¤¦¤

Tuesday 9 August 2011

Wahan Na ” Phool ” Khilte Hain Na Hi ” Mosum ” Badalte Hain

Wahan Na ” Phool ” Khilte Hain Na Hi ” Mosum ” Badalte Hain

Wahan To ” Kuch ” Nahi Hota Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan ” Wese ” To Her ” Soghaat ” Aasaani Se Milti Hai

Per Mera ” Dil ” Nahi Lugta Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan To ” Log ” Sudiyoun Ko Bhi ” Lumhon ” Me Badulte Hain

Mera Ek ” Pal ” Nahi Kut’ta Jahan Per ” Tum Nahi Hote

Sabub ” Rone ” Ka Wo Pooche To Itna Keh Dena ” Wasi”

Mujhe ” Hunsna ” Nahi Aata Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Monday 8 August 2011

"Tujh ko malom hai kitni tujh ko izzat di hai,

"Tujh ko malom hai kitni tujh ko izzat di hai,

Sari duniya say juda tujh ko Muhabat di hai,

Ankh badlo gay agr mujh se to mar jaon gai.

Itni hassas mujhe Rub ne tabyat di hai,

Chorna chaho jahan Sath wahin ruk jana,

Dil na mane ga mgr Main ne ijazat di hai,

Teri ankhon ki qasam, Zindgi samjha hai tujhe,

Tujh ko kuch soch k Saanson mein sharakat di hai..

Sunday 7 August 2011

Naqsh yadon ka mitaati hai to ro parti hai.

Naqsh yadon ka mitaati hai to ro parti hai.

wo mera khatt jo jalati he to ro parti hai.

khoon dikhta hai mery marty hoye sapno ka,

khuwab ankhon main basati he to ro parti hai.

log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,

baat logon se chupaati he to ro parti hai.

yaad karti he mujhy toot kar us lumhy,

shaam chehra jo dikhaati hai to ro parti hai.

woh bary zubt bhary hosly wali larki,

ghum ko tahreer banati he to ro parti hai.

Hassas Dilon Ko Torne Ke Liye Zaroorat Nhi Patharon Ki…!!

Hassas Dilon Ko Torne Ke Liye Zaroorat Nhi Patharon Ki…!!

“Wasi”

Ye Dil To Bikhar Jaate Hain Sirf Lafzon Ki Chot Sey…!

Friday 5 August 2011

Höntön Ki Hänsi Kö Nä Sämäjh Häqeeqät-e-Zindägi

Höntön Ki Hänsi Kö Nä Sämäjh
Häqeeqät-e-Zindägi

"Wasi
Mere DiL Mein Utär K Dekh Mein Kitnä Udääs Hön..!

Tum Mein Heeray Ki Sift Hy Tou Andhere Mein Milo.

Tum Mein Heeray Ki Sift Hy Tou Andhere Mein Milo.

Dhoop Mein Tou Kaanch k Tukre b Chamak Jate Hyn

Thursday 4 August 2011

Keb tak raho gey aakhir, Yun door door hum se..?

...Keb tak raho gey aakhir,
Yun door door hum se..?

Milna parey ga aakhir,
Ek din zaroor Hum se...

Daman bachaney waaley,
Ye be-Rukhi hai kaisi..?

Keh do ager hua hai,
Koi qasoor Hum se...

Hum chor dain gey tum se,
Yun baat cheet krna...

Poochtey phiro gey phir,
Tum apna qasoor hum se...

Hum cheen lain gey Tum se,
Ye Adai-e-Benayazi...

Tum mangtey phiro gey,
Apna Gharoor Hum se.

Wednesday 3 August 2011

“ABI GHAR NA JANA”

“ABI GHAR NA JANA”
Ye Bikhri Si Zulfein,
Ye Phela Sa Kajal,
Ye Bechain Aankhein,
Ye Simta Sa Aanchal,
Tere Haal Se Log Pehchan Lein Ge,
Tujhe Dekh Ker Sab Mujhe Jan Lein Ge,
Ye Behke Qadam
Larkhrati Jawani
Ye Betaab Dil Or Muhabbat Diwani
Shafak Jaise Galon Pe Ubhri Hui Hei
Mry Honton Ki Ik Mehekti Nishani
Tere Jism Se Urrti Mri Ye Khushbo
Suna De Gi Her Ik Ko Sari Kahani
Na Ban Jaye Apna Milan Ik Fasana
Suno Jan-e-Jana
“ABI GHAR NA JANA”